pehala shamooel 8:1-22

  • israel ne raja ki maang ki (1-9)

  • shamooel ne logon ko chetavni di (10-18)

  • yahova ne logon ki guzarish poori ki (19-22)

8  jab shamooel boodha ho gaya to usne apne beton ko israel ka nyayi thehraya.  uske pehalauthe ka naam yoel tha aur doosre bete ka naam abiyah.+ woh donon bersheba mein nyay karte the.  magar uske bete uske nakshe-kadam par nahin chalte the. woh beimani ki kamai ke peechhe jaate,+ rishvat lete+ aur galat faisla sunakar anyay karte the.+  kuch samay baad israel ke sabhi pradhan ikattha huye aur raamah mein shamooel ke paas gaye.  unhonne usse kaha, “dekh, ab teri umra ho chuki hai aur tere bete tere nakshe-kadam par nahin chalte. isliye doosre raashtron ki tarah hamara nyay karne ke liye hum par ek raja thehra.”+  lekin shamooel ko yah baat bahot buri lagi ki woh apne liye ek raja ki guzarish kar rahe hain jo unka nyay kare. isliye shamooel ne yahova se prarthna ki.  yahova ne shamooel se kaha, “logon ne tujhse jo guzarish ki hai, tu vahi kar kyonki unhonne tujhe nahin, mujhe thukraya hai. unhonne mujhe apna raja maanne se inkar kar diya hai.+  jis din main unhein misra se nikaal laaya tha, us din se lekar aaj tak woh mujhe thukrate hi rahe hain. woh hamesha mujhe chhodkar+ doosre devtaon ki seva karte rahe hain.+ woh tere saath vaisa hi kar rahe hain jaisa unhonne mere saath kiya hai.  isliye ab tu unki baat maan. par saath hi tu unhein khabardar kar de ki jab un par ek raja raaj karega to anjam kya hoga. raja ke paas hak hoga ki woh jo chahe uski maang kar sakta hai.” 10  tab shamooel ne yahova ki batayi saari baatein un logon ko sunayin jo usse raja ki guzarish kar rahe the. 11  shamooel ne kaha, “jo raja tum par raaj karega, uske paas hak hoga ki woh jo chahe tumse maang kar sakta hai.+ woh tumhare beton ko lekar+ unhein apne rathon par lagayega+ aur ghudsavaar banayega.+ tumhare kuch beton ko uske rathon ke aage daudna padega. 12  woh kuch logon ko hazar-hazar sainikon ka aur kuch ko pachas-pachas sainikon ka adhikari thehrayega.+ woh kuch logon se hal chalvayega,+ apni fasal katvayega+ aur yuddh ke hathiyar aur apne rathon ka saaman banvayega.+ 13  woh tumhari betiyonn se khushboodar tel* banvayega, unse roti aur tarah-tarah ke pakvan banvayega.+ 14  woh tumhare kheton ki badhiya fasal aur angooron aur jaitoon ke baagon ki badhiya-badhiya upaj le lega+ aur apne sevkon ko dega. 15  woh tumhare anaj aur angooron ka dasvaan hissa le lega aur apne darbaariyon aur sevkon ko dega. 16  woh tumhare daas-daasiyaan, tumhare badhiya-se-badhiya gaay-bail aur gadhe le lega aur unhein apne kaam par lagayega.+ 17  woh tumhari bhed-bakriyon ka dasvaan hissa le lega.+ aur tum bhi uske sevak ban jaaoge. 18  ek din aisa aayega ki tum log apne hi chune huye raja ki vajah se ro-rokar yahova se binti karoge,+ magar woh tumhari nahin sunega.” 19  magar logon ne shamooel ki baat sunnae se inkar kar diya aur kaha, “nahin, hamein har haal mein ek raja chahiye. 20  tab hum bhi sab raashtron ki tarah honge. hamara raja hamara nyay aur aguvai karega aur hamari taraf se yuddh karega.” 21  shamooel ne logon ki poori baat suni aur fir unki baat yahova ko batayi. 22  yahova ne shamooel se kaha, “tu unki baat sun aur un par raaj karne ke liye ek raja thehra.”+ tab shamooel ne israel ke aadmiyon se kaha, “tum sab apne-apne shehar laut jaao.”

kai footnote

ya “itra.”