thisslunikiyon ke naam pehali chitthi 1:1-10

  • namaskar (1)

  • thisslunikiyon ke vishvas ke liye dhanyavad (2-10)

1  paulus, silvanus*+ aur timuthiyus+ thisslunikiyon ki mandli ko likh rahe hain, jo parmeshvar hamare pita aur prabhu yeeshu maseeh ke saath ekta mein hai: tumhein parmeshvar ki maha-kripa aur shaanti mile.  hum jab bhi prarthnaon mein tumhara zikra karte hain, to hamesha parmeshvar ka dhanyavad karte hain.+  hum apne pita aur parmeshvar ke saamne har vakt tumhein yaad karte hain ki tum kaise vishvasyogya rehkar seva karte ho, pyar se kadi mehnat karte ho aur hamare prabhu yeeshu maseeh par aasha+ rakhne ki vajah se dheeraj dharte ho.  isliye bhaaiyo, tum jo parmeshvar ke pyare ho, hum jaante hain ki tum uske chune huye ho.  kyonki hamne tumhare beech jis khushkhabri ka prachar kiya tha, woh khaali baatein nahin thi balki yah taakat, pavitra shakti aur pakke yakeen ke saath tumhare paas pahunchayi gayi thi. aur tum khud jaante ho ki hamne tumhari khaatir kaisa kaam kiya tha.  tumne kai museebatein sehte huye+ pavitra shakti se milnevali khushi ke saath vachan ko sweekar kiya aur tum hamari aur prabhu ki misal par chalnevale bane.+  isliye tum makiduniya aur akhaya ke sabhi vishvasiyon ke liye ek misal ban gaye.  sach to yah hai ki tumhare yahaan se yahova* ke vachan ki charcha na sirf makiduniya aur akhaya mein faili hai, balki parmeshvar par tumhare vishvas ki charcha har jagah ho rahi hai,+ isliye hamein kuch aur kehne ki zaroorat nahin.  kyonki log khud batate hain ki hum pehali baar kis tarah tumse mile the aur tumne kis tarah apni moorton ko chhod diya+ aur jeevit aur sachche parmeshvar ki taraf fire ki uski seva karo 10  aur swarg se uske bete yeeshu ke aane ka intazar karo,+ jise usne mare huon mein se zinda kiya aur jo hamein parmeshvar ke aanevale krodh se bachayega.+

kai footnote

seelas bhi kehlata tha.
ati. ka5 dekhein.