thisslunikiyon ke naam pehali chitthi 3:1-13

  • paulus athens mein intazar karte huye badi chinta mein (1-5)

  • timuthiyus ki khabar se dilasa (6-10)

  • thisslunikiyon ke liye prarthna (11-13)

3  isliye jab hamse aur na raha gaya, to hamne socha ki behtar yahi hoga ki hum athens+ mein akele reh jaayen  aur hamare bhaai timuthiyus+ ko tumhare paas bhejein, jo maseeh ki khushkhabri sunanevala parmeshvar ka sevak* hai taaki woh tumhein mazboot kare aur tumhare vishvas ke maamle mein tumhein dilasa de  aur tummein se koi bhi in dukh-takaleefon ki vajah se na dagmagaye.* tum khud jaante ho ki hum in dukh-takaleefon se nahin bach sakte.*+  jab hum tumhare saath the, to hum tumse kaha karte the ki hamein dukh-takaleefein jhelni padeingi. aur aisa hi hua hai jaisa ki tum jaante ho.+  iseeliye jab mujhse aur raha na gaya, to mainne timuthiyus ko tumhare paas bheja taaki jaanoon ki tum vishvasyogya bane huye ho,+ kyonki mujhe dar tha ki kahin fuslanevale+ ne tumhein fusla to nahin liya aur hamari kadi mehnat bekar to nahin gayi.  magar tumhare yahaan se abhi-abhi timuthiyus hamare paas aaya hai+ aur usne hamein tumhare pyar aur vafadari ke baare mein achhi khabar di hai. usne yah bhi bataya ki tum hamein bahot yaad karte ho aur hamein dekhne ke liye taras rahe ho, theek jaise hum bhi tumhein dekhne ke liye taras rahe hain.  isliye bhaaiyo, bhale hi hum bahot takaleefein* aur museebatein jhel rahe hain, fir bhi tumhare baare mein aur tumhari vafadari ke baare mein sunkar hamein bahot dilasa mila.+  yah jaankar ki tum prabhu mein mazbooti se khade ho, hamare andar nayi jaan aa jaati hai.*  tumhari vajah se parmeshvar ke saamne hum jo khushi mehsoos kar rahe hain, uske liye hum parmeshvar ka ehsan kaise chukayen? 10  hum raat-din gidgidate huye parmeshvar se minnatein karte hain ki kisi tarah tumhein aamne-saamne* dekh paayen aur tumhare vishvas mein jo kami hai use poora kar paayen.+ 11  hamari dua hai ki khud hamara parmeshvar aur pita, saath hi hamara prabhu yeeshu hamare liye koi raasta nikaale ki hum tumhare paas aa sakein. 12  hum yah bhi dua karte hain ki prabhu tumhein badhaye, haan, ek-doosre ke liye aur sabke liye tumhara pyar bhi badhta rahe+ theek jaise hum tumse behad pyar karte hain 13  taaki jab hamara prabhu yeeshu apne sab pavitra janon ke saath maujood ho,+ to hamare parmeshvar aur pita ke saamne woh tumhare dilon ko mazboot kare aur tumhein pavitra aur nirdosh thehraye.+

kai footnote

ya shaayad, “parmeshvar ka sahkarmi.”
shaa., “bahak na jaaye.”
ya “hamare liye dukh-takaleefein tay hain.”
shaa., “tangi.”
shaa., “hum zinda hain.”
shaa., “tumhara munh.”