timuthiyus ke naam pehali chitthi 3:1-16

  • nigrani karnevalon ki yogyatayen (1-7)

  • sahayak sevkon ki yogyatayen (8-13)

  • parmeshvar ki bhakti ka pavitra rehasya (14-16)

3  yah baat bharose ke laayak hai: agar koi aadmi nigrani ka kaam karne ki koshish mein aage badhta hai,+ to woh ek badhiya kaam karne ki chahat rakhta hai.  isliye nigrani karnevale ko aisa hona chahiye jis par koi aarop na ho, uski ek hi patni ho, woh har baat mein sanyam baratta ho, sahi soch rakhta ho,*+ kaayde se chalta ho, mehman-navazee karnevala ho,+ sikhane ke kaabil ho,+  piyakkad na ho,+ maarpeet karnevala na ho, magar lihaz karnevala ho,+ jhagdaloo na ho,+ paise ka laalchi na ho,+  apne parivar ki achhi tarah aguvai karta ho,* jiske bachche poori gambheerta se uske adheen rehte hon,+  (kyonki agar ek aadmi apne hi parivar ki aguvai karna* nahin jaanta, to woh parmeshvar ki mandli ki dekhbhal kaise karega?)  naya vishvasi na ho+ taaki woh ghamand se fool na jaaye aur vahi saza na paaye jo shaitan ko di gayi hai.  yahi nahin, baaharvale bhi uske baare mein achha kehte hon*+ taaki uski badnami* na ho aur woh shaitan ke fande mein na fanse.  isi tarah, sahayak sevkon ko bhi gambheer hona chahiye. woh dogali baatein* bolnevale, bahot zyada daakh-madira peenevale aur beimani ki kamai ke laalchi na hon.+  aur woh saaf zameer ke saath vishvas yaani pavitra rehasya ko thaame rehte hon.+ 10  yahi nahin, pehale unhein parkha jaaye ki woh yogya hain ya nahin, fir jab woh nirdosh paaye jaayen to unhein sevkon ka kaam diya jaaye.+ 11  isi tarah, aurton ko gambheer hona chahiye. woh doosron ko badnam karnevali na hon,+ har baat mein sanyam baratnevali hon, sab baaton mein vishvasyogya hon.+ 12  sahayak sevak ek hi patni ka pati ho, apne bachchon aur parivar ki achhi tarah se aguvai karnevala ho. 13  isliye ki jo achhi tarah seva karte hain woh achha naam kamate hain aur us vishvas ke baare mein, jo maseeh yeeshu mein hai, bejhijhak bolne ki himmat paate hain. 14  haalanki main tere paas jald aane ki ummeed kar raha hoon fir bhi main tujhe ye baatein likh raha hoon 15  taaki agar mujhe aane mein der hui to bhi tujhe pata rahega ki parmeshvar ke gharane mein tujhe kis tarah pesh aana chahiye.+ yah gharana jeevit parmeshvar ki mandli hai aur sachchai ka khambha aur sahara hai. 16  vaakai, parmeshvar ke liye bhakti ka yah pavitra rehasya bahot mahan hai: ‘yeeshu haad-maans ke shareer mein zahir kiya gaya,+ adrishya shareer dekar use nek thehraya gaya,+ woh swargdooton ke saamne prakat hua,+ doosre raashtron mein uska prachar kiya gaya,+ duniya mein us par yakeen kiya gaya+ aur use mahima dekar swarg utha liya gaya.’

kai footnote

ya “samajh-boojh se; samajhdari se kaam leta ho.”
ya “ke liye achha intazam karta ho.”
ya “ke liye achha intazam karna.”
ya “beizzati.”
ya “uska achha naam ho.”
ya “dhokha denevali baatein.”