yuhanna ki pehali chitthi 4:1-21
4 pyare bhaaiyo, aise har sandesh ko sach mat maan lena jo lagta hai ki ishvar-prerna se mila hai.+ magar use parakhna ki woh sachmuch parmeshvar ki taraf se hai ya nahin,+ kyonki duniya mein bahot-se jhoothe bhavishyavakta nikaal pade hain.+
2 koi sandesh parmeshvar ki taraf se hai ya nahin, yah tum is tarah jaan sakte ho: jo sandesh vaakai parmeshvar ki taraf se hai usmein yah sweekar kiya jaata hai ki yeeshu maseeh haad-maans ka insan bankar aaya tha,+
3 magar aisa har sandesh jismein yeeshu ke baare mein yah sweekar nahin kiya jaata, woh parmeshvar ki taraf se nahin hai.+ iske bajay, woh sandesh maseeh ke virodhi ki taraf se hai. tumne suna tha ki maseeh ka virodhi yah sandesh sunayega+ aur ab vaakai yah sandesh duniya mein sunaya jaa raha hai.+
4 pyare bachcho, tum parmeshvar se ho aur tumne in logon par jeet haasil ki hai+ kyonki parmeshvar jo tumhare saath ekta mein hai,+ woh shaitan se bada hai jo duniya ke saath ekta mein hai.+
5 ye log duniya se hain.+ isliye woh vahi baatein kehte hain jo duniya ki taraf se hain aur duniya unki sunti hai.+
6 hum parmeshvar se hain. jo koi parmeshvar ko jaanta hai woh hamari sunta hai.+ jo parmeshvar se nahin hai woh hamari nahin sunta.+ is tarah hum pehchan paate hain ki kaun-saa sandesh ishvar-prerna se hai aur kaun-saa sandesh jhootha hai.+
7 pyare bhaaiyo, hum ek-doosre se pyar karte rahein+ kyonki pyar parmeshvar se hai aur har koi jo pyar karta hai woh parmeshvar se paida hua hai aur parmeshvar ko jaanta hai.+
8 jo pyar nahin karta usne parmeshvar ko nahin jaana kyonki parmeshvar pyar hai.+
9 hamare maamle mein parmeshvar ka pyar is baat se zahir hua ki parmeshvar ne apna iklauta beta+ duniya mein bheja taaki hum uske zariye jeevan paayen.+
10 aisa nahin ki hamne parmeshvar se pyar kiya tha aur badle mein usne hamse pyar kiya, balki usi ne hamse pyar kiya aur apne bete ko bheja taaki woh hamare paapon ke liye apna balidan dekar parmeshvar se hamari sulah karaye.*+
11 pyare bhaaiyo, jab parmeshvar ne hamse is kadar pyar kiya hai, to hamara bhi farz banta hai ki hum ek-doosre se pyar karein.+
12 kisi ne parmeshvar ko kabhi nahin dekha.+ agar hum ek-doosre se pyar karte rahein, to parmeshvar hamare saath rehta hai aur hamare andar uska pyar poori had tak dikhayi deta hai.+
13 usne hamein apni pavitra shakti di hai, isliye hum jaante hain ki hum uske saath ekta mein hain aur woh hamare saath ekta mein hai.
14 iske alava, hamne khud dekha hai aur yah gavahi bhi de rahe hain ki pita ne apne bete ko duniya ka uddharkarta banakar bheja.+
15 jo insan sweekar karta hai ki yeeshu parmeshvar ka beta hai,+ parmeshvar uske saath ekta mein rehta hai aur woh parmeshvar ke saath ekta mein rehta hai.+
16 hum jaan gaye hain ki parmeshvar hamse kitna pyar karta hai aur hamein iska poora yakeen hai.+
parmeshvar pyar hai+ aur jo pyar karta rehta hai woh parmeshvar ke saath ekta mein rehta hai aur parmeshvar uske saath ekta mein rehta hai.+
17 is tarah hamse poori had tak pyar kiya gaya hai taaki nyay ke din hammein bejhijhak bolne ki himmat ho*+ kyonki is duniya mein hum theek vaise hain jaise maseeh hai.
18 pyar mein dar nahin hota+ balki jo pyar poora hai woh dar ko door kar deta hai* kyonki dar hamein rokta hai. darasal, jo darta hai uska pyar adhoora hai.+
19 hum isliye pyar karte hain kyonki pehale parmeshvar ne hamse pyar kiya.+
20 agar koi kehta hai, “main parmeshvar se pyar karta hoon,” magar apne bhaai se nafrat karta hai, to woh jhootha hai.+ isliye ki jo apne bhaai se pyar nahin karta+ jise usne dekha hai, woh parmeshvar se pyar nahin kar sakta jise usne nahin dekha.+
21 aur hamein usse yah aagya mili hai ki jo parmeshvar se pyar karta hai use apne bhaai se bhi pyar karna chahiye.+
kai footnote
^ ya “prayashchit ka balidan de; jo parmeshvar ko khush karta hai.”
^ ya “ka bharosa ho.”
^ ya “ko bhaga deta hai.”