yuhanna ki pehali chitthi 5:1-21
5 har koi jo vishvas karta hai ki yeeshu hi maseeh hai, woh parmeshvar se paida hua hai.+ aur jo koi jeevan denevale parmeshvar se pyar karta hai, woh uske bachchon se bhi pyar karta hai.
2 jab hum parmeshvar se pyar karte hain aur uski aagyayen maante hain to isi se hum jaante hain ki hum parmeshvar ke bachchon se pyar karte hain.+
3 parmeshvar se pyar karne ka matlab yahi hai ki hum uski aagyaon par chalein+ aur uski aagyayen hum par bojh nahin hain,+
4 kyonki har koi* jo parmeshvar se paida hua hai woh duniya par jeet haasil karta hai.+ aur hamne duniya par jo jeet haasil ki hai, woh apne vishvas ki badaulat ki hai.+
5 kaun duniya par jeet haasil kar sakta hai?+ kya vahi nahin jismein vishvas ho ki yeeshu, parmeshvar ka beta hai?+
6 yahi hai jo paani aur khoon ke zariye aaya, yaani yeeshu maseeh. woh sirf paani ke saath nahin,+ magar paani aur khoon ke saath aaya.+ pavitra shakti gavahi de rahi hai+ kyonki pavitra shakti sachchi gavahi deti hai.
7 isliye ki gavahi denevale teen hain,
8 pavitra shakti,+ paani+ aur khoon+ aur ye teenon ek hi baat par sahmat hain.
9 agar hum insanon ki gavahi par yakeen karte hain, to parmeshvar ki gavahi to usse bhi badhkar hai. kyonki parmeshvar ne khud apne bete ke baare mein gavahi di hai.
10 jo insan parmeshvar ke bete par vishvas karta hai usne apne dil mein us gavahi ko sweekar kiya hai jo parmeshvar ne use di hai. jo insan parmeshvar par vishvas nahin karta, usne use jhootha thehraya hai+ kyonki usne parmeshvar ki us gavahi par vishvas nahin kiya jo usne apne bete ke baare mein di hai.
11 aur woh gavahi yah hai ki parmeshvar ne hamein hamesha ki zindagi di hai+ aur yah zindagi uske bete ke zariye milti hai.+
12 jo bete ko sweekar karta hai uske paas yah zindagi hai. jo parmeshvar ke bete ko sweekar nahin karta, uske paas yah zindagi nahin hai.+
13 main tumhein ye baatein isliye likh raha hoon taaki tum jaano ki tumhare paas hamesha ki zindagi hai,+ kyonki tum parmeshvar ke bete ke naam par vishvas karte ho.+
14 hamein parmeshvar par bharosa hai*+ ki hum uski marzee ke mutabik chahe jo bhi maangein woh hamari sunta hai.+
15 hum jaante hain ki hum chahe jo bhi maangein woh hamari sunta hai, isliye hamein poora yakeen hai ki hum usse jo bhi maangte hain woh hamein zaroor dega.+
16 agar koi apne bhaai ko aisa paap karte huye dekh leta hai jiska anjam maut nahin hai, to woh apne bhaai ke liye prarthna kare aur parmeshvar use jeevan dega,+ haan un logon ko jeevan dega jinhonne aisa paap nahin kiya jiska anjam maut hai. magar aisa paap bhi hai jiska anjam maut hai.+ main aisa paap karnevale ke baare mein prarthna karne ke liye nahin kehta.
17 har bura kaam paap hai.+ magar aisa paap bhi hai jiska anjam maut nahin hai.
18 hum jaante hain ki har woh insan jo parmeshvar se paida hua hai woh paap karne mein nahin laga rehta, magar aise insan ki woh* hifazat karta hai jo parmeshvar se paida hua hai aur shaitan* us par kabza nahin kar sakta.+
19 hum jaante hain ki hum parmeshvar se hain, magar saari duniya shaitan* ke kabze mein padi hui hai.+
20 aur hum yah bhi jaante hain ki parmeshvar ka beta aaya hai+ aur usne hamein androoni samajh* di hai taaki jo sachcha hai hum uske baare mein gyaan le sakein. aur hum us sachche parmeshvar ke bete yeeshu maseeh ke zariye parmeshvar ke saath ekta mein hain.+ vahi sachcha parmeshvar hai aur hamesha ki zindagi vahi deta hai.+
21 pyare bachcho, khud ko moorton se bachaye rakho.+
kai footnote
^ shaa., “har woh cheez.”
^ ya “bejhijhak bolne ki himmat hai.”
^ shaa., “woh dusht.”
^ yaani parmeshvar ka beta yeeshu maseeh.
^ shaa., “us dusht.”
^ shaa., “samajhne ki kaabilyat; dimagi kaabilyat.”