doosra itihas 10:1-19

  • israel ki bagavat (1-19)

10  rahoobiyam shekem+ gaya kyonki poora israel use raja banane ke liye shekem mein ikattha hua tha.+  jaise hi iski khabar nabat ke bete yaarobam+ ko mili, woh misra se vaapas aa gaya. (woh ab bhi misra mein tha kyonki woh raja sulaiman ki vajah se misra bhaag gaya tha.)+  fir logon ne yaarobam ko bulvaya aur woh aur poora israel rahoobiyam ke paas aaya aur woh kehne lage,  “tere pita ne hamse kadi mazdoori karvakar hum par bhaari bojh laad diya tha.+ agar tu hamare saath thodi riayat kare aur yah bhaari bojh zara halka kar de, to hum teri seva kareinge.”  rahoobiyam ne unse kaha, “tum log teen din baad vaapas aana.” tab log vahaan se chale gaye.+  is beech raja rahoobiyam ne un buzurgon* se salah ki jo uske pita sulaiman ke salahkar hua karte the. usne unse poochha, “tumhari kya raay hai, in logon ko kya javab dena sahi rahega?”  buzurgon ne usse kaha, “agar tu in logon ke saath bhalai kare, unhein khush kare aur unse pyar se baat kare, to woh hamesha tere sevak bane raheinge.”  magar rahoobiyam ne buzurgon* ki salah thukra di aur un javanon se salah-mashvira kiya jo uske saath pale-badhe the aur ab uske sevak the.+  usne unse poochha, “tum kya salah dete ho? main in logon ko kya javab doon jinhonne mujhse kaha hai, ‘tere pita ne hum par jo bhaari bojh laada tha use halka kar de’?” 10  uske saath pale-badhe javanon ne usse kaha, “jin logon ne tujhse kaha hai, ‘tere pita ne hum par jo bhaari bojh laada tha use halka kar de,’ unse tu kehna, ‘meri chhoti ungli mere pita ki kamar se bhi moti hogi. 11  mere pita ne tum par jo bhaari bojh laada tha main use aur badha doonga. mera pita tumhein kodon se pitvata tha, magar main tumhein keelonvale kodon se pitvaunga.’” 12  teesre din yaarobam aur sab log rahoobiyam ke paas aaye, theek jaise raja ne unse teesre din aane ko kaha tha.+ 13  magar raja rahoobiyam ne unke saath kathorta se baat ki. is tarah usne buzurgon* ki salah thukra di. 14  usne javanon ki salah maankar logon se kaha, “main tum logon ka bojh aur bhaari kar doonga, use badha doonga. mera pita tumhein kodon se pitvata tha, magar main tumhein keelonvale kodon se pitvaunga.” 15  is tarah raja ne logon ki baat nahin maani. iske peechhe sachche parmeshvar yahova ka haath tha.+ usne aisa isliye kiya taaki woh vachan poora ho jo usne sheelo ke rehnevale ahiyah ke zariye nabat ke bete yaarobam se kaha tha.+ 16  jab raja ne israeliyon ki baat maanne se inkar kar diya, to unhonne raja se kaha, “ab daavid ke saath hamara kya saajha? yishai ke bete ki virasat usi ke paas rahe. israeliyo, tummein se harek apne devtaon ke paas laut jaaye! hey daavid, ab tu apne hi gharane ki dekhbhal karna!”+ yah kehkar israel ke sabhi log apne-apne ghar* laut gaye.+ 17  magar rahoobiyam un israeliyon par raaj karta raha jo yahooda ke shehron mein rehte the.+ 18  fir raja rahoobiyam ne hadoram+ ko israeliyon ke paas bheja, jo jabran mazdoori karnevalon ka adhikari tha. magar israeliyon ne use pattharon se maar daala. raja rahoobiyam kisi tarah apne rath par savaar hokar yarooshalem bhaag gaya.+ 19  tab se lekar aaj tak israeli daavid ke gharane se bagavat karte aa rahe hain.

kai footnote

ya “mukhiyaon.”
ya “mukhiyaon.”
ya “mukhiyaon.”
shaa., “tamboo.”