doosra itihas 12:1-16

  • yarooshalem par sheeshak ka hamla (1-12)

  • rahoobiyam ke raaj ka ant (13-16)

12  jaise hi rahoobiyam ka raaj mazbooti se kaayam ho gaya+ aur woh taakatvar ban gaya, usne aur poore israel ne yahova ka kaanoon maanna chhod diya.+  rahoobiyam ke raaj ke paanchvein saal mein misra ke raja sheeshak+ ne yarooshalem par hamla kiya, kyonki israeliyon ne yahova ke saath vishvasghat kiya tha.  raja sheeshak misra se apne saath 1,200 rath, 60,000 ghudsavaar aur sainikon ki anginat tukdiyaan lekar aaya. uski sena mein libiya aur ithiyopiya ke logon ki sena aur sukkiyon ki sena thi.+  usne yahooda ke kileband shehron par kabza kar liya aur yarooshalem tak aa gaya.  bhavishyavakta shamayah+ rahoobiyam aur yahooda ke haakimon ke paas aaya, jo sheeshak ki vajah se yarooshalem mein ikattha huye the. shamayah ne unse kaha, “yahova ne kaha hai, ‘tumne mujhe chhod diya hai isliye mainne tumhein chhod diya+ aur sheeshak ke havale kar diya hai.’”  is par raja aur israel ke haakimon ne khud ko namra kiya+ aur kaha, “yahova nek hai.”  jab yahova ne dekha ki unhonne khud ko namra kiya hai, to yahova ka yah sandesh shamayah ke paas pahuncha, “unhonne khud ko namra kiya hai. isliye main unhein naash nahin karoonga+ aur bahot jald unhein chhudaunga. main sheeshak ke zariye yarooshalem par apne krodh ka pyala nahin undeloonga.  fir bhi, woh uske sevak ban jaayenge aur tab woh jaan leinge ki meri seva karne aur doosre deshon ke raajaon* ki seva karne mein kya fark hai.”  isliye misra ke raja sheeshak ne yarooshalem par hamla kar diya. woh yahova ke bhavan ka khazana aur raja ke mahal ka khazana loot le gaya.+ woh sabkuch le gaya, yahaan tak ki sone ki woh dhaalein bhi jo sulaiman ne banvayi thi.+ 10  isliye raja rahoobiyam ne un dhaalon ke badle tambe ki dhaalein banvayin aur unki dekhbhal ki zimmedari un pehredaron ke sardaron ko di jo raajmahal ke pravesh par pehra dete the. 11  jab bhi raja yahova ke bhavan mein aata to pehredar andar aate aur ye dhaalein lekar chalte aur fir unhein vaapas pehredaron ke khaane mein rakh dete the. 12  raja ne khud ko namra kiya tha, isliye yahova ne apna krodh us par nahin bhadkaya+ aur unhein poori tarah naash nahin kiya.+ iske alava, yahooda ke logon mein kuch achhaiyaan paayi gayi thi.+ 13  raja rahoobiyam yarooshalem mein taakatvar hota gaya aur woh raaj karta raha. jab woh raja bana tab woh 41 saal ka tha aur usne 17 saal yarooshalem mein rehkar raaj kiya, jise yahova ne israel ke sabhi gotron mein se isliye chuna tha ki us shehar se uska naam juda rahe. raja ki maa naama ek ammoni aurat thi.+ 14  magar rahoobiyam ne bure kaam kiye kyonki usne apne dil mein yahova ki khoj karne ki nahin thaani thi.+ 15  rahoobiyam ka shuroo se lekar aakhir tak ka poora itihas bhavishyavakta shamayah aur darshi iddo ke lekhanon mein likha gaya+ jo vanshavli ke roop mein hai. aur rahoobiyam aur yaarobam ke beech lagatar yuddh chalta raha.+ 16  fir rahoobiyam ki maut ho gayi* aur use daavidpur mein dafnaya gaya.+ rahoobiyam ki jagah uska beta abeeyah+ raja bana.

kai footnote

shaa., “raajyon.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”