doosra itihas 14:1-15
14 fir abiyah ki maut ho gayi* aur use daavidpur+ mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta aasa raja bana. uske raaj ke das saalon ke dauran desh mein shaanti thi.
2 aasa ne vahi kiya jo uske parmeshvar yahova ki nazar mein sahi aur bhala tha.
3 usne paraye devtaon ki vediyaan aur unchi jagah mita di,+ pooja-stambh choor-choor kar diye+ aur pooja-laathein* kaat daalin.+
4 aur usne yahooda ke logon ko badhava diya ki woh apne purkhon ke parmeshvar yahova ki khoj karein aur uske kaanoon aur uski aagyaon ka paalan karein.
5 usne yahooda ke sab shehron mein se unchi jagah aur dhoop-stambh nikaal diye+ aur uske raaj mein yahooda desh mein chain raha.
6 usne yahooda mein kileband shehar banaye+ kyonki in saalon ke dauran desh mein chain tha aur kisi ne aasa se yuddh nahin kiya. yahova ne use shaanti di thi.+
7 aasa ne yahooda ke logon se kaha, “aao hum ye shehar banayen, inke chaaron taraf sheharpanah, meenarein,+ faatak* aur bede banayen. yah desh hamare adhikar mein hai kyonki hamne apne parmeshvar yahova ki khoj ki hai. hamne uski khoj ki aur usne hamein chaaron taraf shaanti di hai.” isliye woh shehar banane mein kaamyab rahe.+
8 aasa ki sena mein yahooda ke 3,00,000 aadmi the jo badi dhaalon aur bhaalon se lais the. aur binyameen gotra ke 2,80,000 veer yoddha the jo chhoti dhaalon* aur teer-kaman se lais the.+
9 baad mein ithiyopiya ka jerah 10,00,000 aadmiyon aur 300 rathon ki sena ke saath un par hamla karne aaya.+ jab woh maareshah pahuncha,+
10 to aasa uska mukabla karne gaya. aasa ne apni sena ko maareshah ke saapta ghaati mein tainat kiya.
11 fir aasa ne apne parmeshvar yahova ko yah kehkar pukara,+ “hey yahova, tu jin logon ki madad karna chahta hai, unki madad zaroor kar sakta hai, fir chahe woh ginti mein zyada hon ya unke paas taakat na ho.+ hey hamare parmeshvar yahova, hamari madad kar kyonki hamne tujh par bharosa kiya hai+ aur tere naam se hum is vishal sena ka mukabla karne aaye hain.+ hey yahova, tu hamara parmeshvar hai. nashvar insan ko tujh par jeet haasil karne na de.”+
12 isliye yahova ne aasa aur yahooda ke saamne ithiyopiya ke logon ko hara diya aur woh log bhaag gaye.+
13 aasa aur uske logon ne door garar+ tak ithiyopiya ke logon ka peechha kiya aur woh unhein tab tak ghaat karte gaye jab tak ki unmein se ek bhi zinda na bacha. yahova aur uski sena ne ithiyopiya ke logon ko kuchal diya. iske baad yahooda ke log loot ka dher saara maal lekar chal diye.
14 unhonne garar ke aas-paas ke sabhi shehron ko bhi naash kar diya kyonki un shehron mein yahova ka khauf sama gaya tha. yahooda ke logon ne un sabhi shehron ko loot liya kyonki vahaan loot ke liye dher saara maal tha.
15 unhonne un tambuon par bhi hamla kiya jinmein maveshi paalnevale rehte the. unhonne bhaari taadad mein unki bhed-bakriyaan aur unt le liye aur iske baad woh yarooshalem laut gaye.
kai footnote
^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
^ shaa., “do pallevale faatak.”
^ ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.