doosra itihas 15:1-19

  • aasa ne desh mein sudhaar kiya (1-19)

15  parmeshvar ki pavitra shakti oded ke bete ajaryah par aayi.  tab ajaryah aasa se milne gaya aur usse kaha, “hey aasa aur yahooda aur binyameen ke sab logo, meri baat suno! yahova tab tak tumhare saath rahega jab tak tum uske saath rahoge.+ agar tum uski khoj karoge to woh tumhein milega,+ lekin agar tum use chhod doge to woh bhi tumhein chhod dega.+  israel kaafi lambe samay* tak bina sachche parmeshvar ke, bina sikhanevale yaajak ke aur bina kaanoon ke raha tha.+  magar jab woh sankat mein pad gaye aur israel ke parmeshvar yahova ke paas laut aaye aur uski khoj karne lage, to woh unhein mila.+  un dinon koi bhi sahi-salamat kahin safar nahin kar sakta tha* kyonki desh ke sab logon mein kaafi khalbali machi hui thi.  ek raashtra doosre raashtra ko aur ek shehar doosre shehar ko kuchal raha tha, kyonki parmeshvar ne un par har tarah ka sankat laakaar unhein gadbadi mein daal diya tha.+  magar tum log mazboot bane raho aur himmat na haaro*+ kyonki tumhein apne kaam ka inam milega.”  jaise hi aasa ne ajaryah ke ye shabd aur bhavishyavakta oded ki bhavishyavani suni, use himmat mili aur usne yahooda aur binyameen ke poore ilake se aur epraim ke pahadi pradesh ke un shehron se, jin par usne kabza kiya tha, ghinauni moortein nikaal di.+ usne yahova ki vedi theek ki, jo yahova ke bhavan ke baramde ke saamne thi.+  usne yahooda aur binyameen ke sab logon ko aur epraim, manashshe aur shimon ke ilakon mein rehnevale pardesiyon ko ikattha kiya. ye pardesi badi taadad mein israel chhodkar aasa ke paas aa gaye the+ kyonki unhonne dekha tha ki aasa ka parmeshvar yahova uske saath hai. 10  un sabko aasa ke raaj ke 15vein saal ke teesre maheene mein yarooshalem mein ikattha kiya gaya. 11  us din unhonne loot ke maal se, jo woh laaye the, 700 bailon aur 7,000 bhedon ko yahova ke liye bali kiya. 12  saath hi, unhonne yah karar kiya ki woh poore dil aur poori jaan se apne purkhon ke parmeshvar yahova ki khoj kareinge.+ 13  jo koi israel ke parmeshvar yahova ki khoj nahin karega woh maar daala jaayega, fir chahe woh chhota ho ya bada, aadmi ho ya aurat.+ 14  unhonne turhiyaan aur narsinge foonkte huye zordar aavaz mein yahova se shapath khaayi aur khushi se jayjaykar ki. 15  is shapath par saare yahooda ke logon ne khushiyaan manayin, kyonki unhonne poore dil se shapath khaayi thi aur poore josh se uski khoj ki thi aur woh unhein mila.+ yahova unhein har taraf se shaanti deta raha.+ 16  yahaan tak ki raja aasa ne apni daadi maaka+ ko raajmata ke pad se hata diya kyonki maaka ne pooja-laath* ki upasna ke liye ek ashleel moorat khadi karvayi thi.+ aasa ne uski ashleel moorat kaat daali, use choor-choor karke kidron ghaati mein jala diya.+ 17  magar israel se unchi jagah nahin mitayi gayin.+ fir bhi aasa ka dil saari zindagi parmeshvar par poori tarah laga raha.+ 18  woh sachche parmeshvar ke bhavan mein woh saara sona, chaandi aur doosri cheezen le aaya jo usne aur uske pita ne pavitra thehrayi thi.+ 19  aasa ke raaj ke 35vein saal tak koi yuddh nahin hua.+

kai footnote

shaa., “bahot dinon.”
shaa., “na baahar jaanevale ko shaanti thi na andar aanevale ko.”
shaa., “tumhare haath dheele na padein.”
shabdavli dekhein.