doosra itihas 16:1-14

  • seeriya ke saath aasa ki sandhi (1-6)

  • hanani ne aasa ko fatkaara (7-10)

  • aasa ki maut (11-14)

16  aasa ke raaj ke 36vein saal mein israel ke raja baasha+ ne yahooda par hamla bol diya. woh raamah+ ko banane* laga taaki na to uske yahaan se koi yahooda ke raja aasa ke ilake mein jaa sake aur na vahaan se koi yahaan aa sake.+  tab aasa ne yahova ke bhavan ke khazane aur raajmahal ke khazane se sona-chaandi nikaala+ aur seeriya ke raja ben-hadad ke paas bheja,+ jo damishk mein rehta tha aur usse kaha,  “jaise tere pita aur mere pita ke beech sandhi* thi vaise hi hum donon ke beech bhi sandhi hai. dekh, main tere liye sona-chaandi bhej raha hoon. tu aakaar israel ke raja baasha ke saath apni sandhi tod de. tab woh mera ilaka chhodkar chala jaayega.”  ben-hadad ne raja aasa ki baat maan li aur apne senapatiyon ko israel ke shehron par hamla karne bheja. unhonne jaakaar iyyon,+ daan+ aur aabel-maim ko aur naptali ke shehron ke sabhi godamon ko naash kar diya.+  jab iski khabar baasha ko mili to usne raamah ko banane* ka kaam fauran rok diya aur kaam vahin band kar diya.  fir raja aasa ne yahooda ke sabhi logon ko liya aur woh raamah+ se woh saare patthar aur shahteerein uthakar le gaye jinse baasha, raamah shehar bana raha tha.+ un cheezon se aasa ne geba+ aur mispa+ shehar banaye.*  tab hanani+ darshi yahooda ke raja aasa ke paas aaya aur usne usse kaha, “toone apne parmeshvar yahova par bharosa karne ke bajay seeriya ke raja par bharosa kiya, isliye seeriya ke raja ki sena tere haath se nikaal gayi hai.+  kya ithiyopiya aur libiya ke logon ki ek bahot badi aur vishal sena nahin aayi thi? kya unke bahot-se rath aur ghudsavaar nahin the? fir bhi yahova ne unhein tere haath mein kar diya tha kyonki toone us par bharosa kiya tha.+  yahova ki aankhein saari dharti par isliye firti rehti hain+ ki woh un logon ki khaatir apni taakat dikhaye* jinka dil us par poori tarah laga rehta hai.+ toone is maamle mein moorkhta ka kaam kiya hai isliye ab se tu ladaiyon mein uljha rahega.”+ 10  magar aasa ko yah baat bahot buri lagi. isliye woh darshi par bhadak utha aur use kaid mein daal diya. aur aasa baaki logon ke saath bhi bura salook karne laga. 11  aasa ka shuroo se lekar aakhir tak ka poora itihas, yahooda aur israel ke raajaon ki kitab mein likha hai.+ 12  apne raaj ke 39vein saal mein aasa ke pairon mein ek rog lag gaya aur woh bahot beemar ho gaya. magar apni beemari mein bhi woh madad ke liye yahova ke paas nahin gaya balki vaidyon ke paas gaya. 13  fir aasa apne raaj ke 41vein saal mein mar gaya.*+ 14  use daavidpur+ mein ek shaandar kabraa mein dafnaya gaya, jo usne khud ke liye banvayi thi. uski laash jis arthi par rakhi gayi thi, use balsan ke tel aur alag-alag masalon aur sugandhit telon se banaye mishran se bhara gaya tha.+ iske alava, uske samman mein ek badi aag jalayi gayi thi.*

kai footnote

ya “mazboot karne; dobara banane.”
ya “karar.”
ya “mazboot karne; dobara banane.”
ya “mazboot kiye; dobara banaye.”
ya “un logon ka saath de.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
zahir hai, aasa ki laash nahin balki masale jalaye gaye the.