doosra itihas 18:1-34

  • yahoshapat ki ahab se rishtedari (1-11)

  • meekayah ne haar ki bhavishyavani ki (12-27)

  • raamot-gilad mein ahab ki maut (28-34)

18  yahoshapat ne khoob daulat aur shohrat haasil ki thi,+ magar usne ahab se rishtedari kar li.+  isliye kuch saal baad yahoshapat, ahab se milne saamriya gaya.+ ahab ne uske liye aur uske saath aaye logon ke liye bahot-si bhedon aur gaay-bailon ka balidan kiya. aur usne yahoshapat ko raamot-gilad+ par hamla karne ke liye kaayal kar diya.  fir israel ke raja ahab ne yahooda ke raja yahoshapat se kaha, “kya tu yuddh karne mere saath raamot-gilad chalega?” yahoshapat ne usse kaha, “hum donon ek hain aur mere log tere hi log hain. hum yuddh mein zaroor tera saath deinge.”  magar yahoshapat ne israel ke raja se kaha, “kyon na hum pehale yahova se poochhein ki uski kya salah hai?”+  isliye israel ke raja ne sabhi bhavishyavaktaon ko ikattha kiya jo 400 the. usne unse poochha, “kya hum raamot-gilad par hamla karne jaayen?” unhonne kaha, “jaa, tu hamla kar, sachcha parmeshvar use tere haath mein kar dega.”  fir yahoshapat ne kaha, “kya yahaan yahova ka koi bhavishyavakta nahin hai?+ chalo hum uske zariye bhi poochhte hain.”+  tab israel ke raja ne yahoshapat se kaha, “ek aur aadmi hai+ jiske zariye hum yahova se salah maang sakte hain, magar mujhe us aadmi se nafrat hai. woh mere baare mein kabhi achhi baaton ki bhavishyavani nahin karta, hamesha buri baatein kehta hai.+ woh yimla ka beta meekayah hai.” magar yahoshapat ne kaha, “raja ko aisi baat nahin kehni chahiye.”  tab israel ke raja ne apne ek darbaari ko bulaya aur usse kaha, “yimla ke bete meekayah ko fauran yahaan le aa.”+  israel ka raja ahab aur yahooda ka raja yahoshapat, shaahi kapde pehne saamriya ke faatak ke paas ek khalihan mein apni-apni raajgaddi par baithe the. saare bhavishyavakta un donon ke saamne bhavishyavani kar rahe the. 10  tab kanaana ke bete sidkiyah ne apne liye lohe ke sing banvaye aur kaha, “tere liye yahova ka yah sandesh hai: ‘tu seeriya ke logon ko inse tab tak maarta* rahega jab tak ki woh mit nahin jaate.’” 11  baaki bhavishyavakta bhi yahi bhavishyavani kar rahe the. woh keh rahe the, “jaa, tu raamot-gilad par hamla kar. tu zaroor kaamyab hoga,+ yahova use tere haath mein kar dega.” 12  meekayah ko bulane ke liye jo doot gaya tha, usne meekayah se kaha, “dekh, saare bhavishyavakta raja ko ek hi baat bata rahe hain. woh use achhi baaton ki bhavishyavani suna rahe hain. isliye meharbani karke tu bhi unki tarah koi achhi baat suna.”+ 13  magar meekayah ne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath, main vahi baat bataunga jo mera parmeshvar mujhe batayega.”+ 14  fir meekayah raja ke paas aaya aur raja ne usse poochha, “meekayah, tu kya kehta hai, hum raamot-gilad par hamla karein ya na karein?” usne fauran javab diya, “jaa, tu raamot-gilad par hamla kar. tu zaroor kaamyab hoga, woh tumhare haath mein kar diye jaayenge.” 15  raja ne usse kaha, “main tujhe kitni baar shapath dharakar kahoon ki tu yahova ke naam se mujhe sirf sach batayega?” 16  tab meekayah ne kaha, “main dekh raha hoon ki saare israeli pahadon par titar-bitar ho gaye hain, un bhedon ki tarah jinka koi charvaha nahin hota.+ yahova kehta hai, ‘inka koi maalik nahin hai. inmein se har koi shaanti se apne ghar laut jaaye.’” 17  tab israel ke raja ne yahoshapat se kaha, “dekha, mainne kaha tha na, yah aadmi mere baare mein achhi baaton ki bhavishyavani nahin karega, sirf buri baatein kahega.”+ 18  fir meekayah ne kaha, “isliye ab yahova ka sandesh suno. mainne dekha hai ki yahova apni raajgaddi par baitha hai+ aur uske daayin aur baayin taraf swarg ki saari sena khadi hai.+ 19  fir yahova ne kaha, ‘israel ke raja ahab ko kaun bevkoof banayega taaki woh raamot-gilad jaaye aur vahaan maara jaaye?’ tab sena mein se kisi ne kuch kaha to kisi ne kuch. 20  fir ek swargdoot+ yahova ke saamne aakaar khada hua aur usne kaha, ‘main ahab ko bevkoof banaunga.’ yahova ne poochha, ‘tu yah kaise karega?’ 21  usne kaha, ‘main jaakaar uske sabhi bhavishyavaktaon ke munh se jhooth bulvaunga.’ parmeshvar ne kaha, ‘tu use bevkoof bana lega, tu zaroor kaamyab hoga. jaa, toone jaisa kaha hai vaisa hi kar.’ 22  isliye yahova ne tere in bhavishyavaktaon ke munh se jhooth bulvaya hai,+ magar yahova ne ailan kiya hai ki tujh par sankat aayega.” 23  tab kanaana ka beta sidkiyah,+ meekayah+ ke paas gaya aur uske gaal par zor se thappad maara+ aur kaha, “yahova ka swargdoot kab se mujhe chhodkar tujhse baat karne laga hai?”+ 24  meekayah ne kaha, “iska javab tujhe us din milega jab tu bhaagkar andar ke kamre mein jaa chhipega.” 25  tab israel ke raja ne hukm diya, “le jaao is meekayah ko. ise shehar ke pradhan aamon aur raja ke bete yoash ke havale kar do. 26  unse kehna, ‘raja ne aadesh diya hai ki ise jail mein band kar do+ aur jab tak main sahi-salamat laut nahin aata tab tak ise naam ke liye khaana-paani dete rehna.’” 27  magar meekayah ne kaha, “agar tu sahi-salamat lauta to iska matlab yah hoga ki yahova ne mere zariye baat nahin ki hai.”+ fir usne kaha, “logo, tum sab yah baat yaad rakhna.” 28  iske baad israel ka raja ahab aur yahooda ka raja yahoshapat raamot-gilad gaye.+ 29  israel ke raja ne yahoshapat se kaha, “main apna bhes badalkar yuddh mein jaaunga, magar tu apne shaahi kapde pehne rehna.” israel ke raja ne bhes badla aur woh donon yuddh mein gaye. 30  vahaan seeriya ke raja ne apni rath-sena ke senapatiyon ko yah hukm diya tha, “tum log seedhe israel ke raja se yuddh karna, uske siva kisi aur se mat ladna, fir chahe woh koi maamooli sainik ho ya bada adhikari.” 31  jaise hi rath-sena ke senapatiyon ne yahoshapat ko dekha unhonne socha, “yahi israel ka raja hoga.” isliye woh sab yahoshapat par hamla karne lage aur woh madad ke liye pukarne laga.+ yahova ne uski madad ki aur dushmanon ko fauran usse door le gaya. 32  jaise hi senapatiyon ko pata chala ki woh israel ka raja nahin hai, unhonne uska peechha karna chhod diya. 33  tab kisi sainik ne yoon hi ek teer chalaya aur woh teer israel ke raja ko vahaan jaa laga jahaan kavach aur bakhtar ka doosra hissa juda hua tha. raja ne apne saarthi se kaha, “rath ghumakar mujhe yuddh ke maidan* se baahar le jaa, main buri tarah ghaayal ho gaya hoon.”+ 34  poore din ghamasan ladai chalti rahi aur israel ke raja ko sahara dekar shaam tak seeriya ke logon ke saamne rath par khada rakhna pada. aur sooraj dhalte-dhalte woh mar gaya.+

kai footnote

ya “dhakelta.”
shaa., “mujhe chhaavni.”