doosra itihas 19:1-11

  • yehoo ne yahoshapat ko fatkaara (1-3)

  • yahoshapat ne desh mein sudhaar kiya (4-11)

19  fir yahooda ka raja yahoshapat sahi-salamat*+ yarooshalem mein apne mahal laut aaya.  tab hanani+ darshi ka beta yehoo+ raja yahoshapat se milne aaya aur usse kaha, “kya tujhe ek dusht ki madad karni chahiye+ aur un logon se pyar karna chahiye jo yahova se nafrat karte hain?+ isliye yahova ka krodh tujh par bhadak utha hai.  fir bhi tujhmein kuch achhaiyaan paayi gayi hain+ kyonki toone desh se pooja-laathein* nikaal di aur sachche parmeshvar ki khoj karne ke liye apne dil ko taiyar kiya hai.”*+  yahoshapat yarooshalem mein hi raha aur woh ek baar fir bersheba se lekar epraim ke pahadi pradesh+ tak rehnevalon ke paas gaya taaki unhein unke purkhon ke parmeshvar yahova ke paas lauta le aaye.+  saath hi, yahooda mein jitne kileband shehar the unmein se har shehar mein usne nyayi thehraye+  aur unse kaha, “tum jo nyay karte ho us par dhyan do kyonki tum insan ki taraf se nahin, yahova ki taraf se nyay karte ho. aur jab tum faisla sunate ho to woh tumhare saath rehta hai.+  yahova ka dar tummein bana rahe.+ tum apna kaam saavdhani se karna kyonki hamara parmeshvar yahova kabhi anyay nahin karta,+ kisi ki tarafdari nahin karta+ aur na hi rishvat leta hai.”+  yahoshapat ne yarooshalem mein bhi kuch leviyon, yaajkon aur israel ke pitaon ke gharanon ke mukhiyaon ko nyayi thehraya taaki woh yahova ki taraf se yarooshalem ke logon ke mukadme suljhayen.+  usne unhein aagya di, “tum yahova ka dar maankar, vishvasyogya bane rehkar aur poore dil se aisa karna: 10  jab bhi doosre shehron mein rehnevale tumhare bhaai aisa maamla laate hain jismein kisi ka khoon kiya gaya ho+ ya kisi kaanoon, aagya, niyam ya nyay-siddhaant ko lekar saval utha ho to tum unhein aagah karna taaki woh yahova ke saamne doshi na thehrein. agar tum aisa nahin karoge to parmeshvar ka krodh tum par aur tumhare bhaaiyon par bhadak uthega. tum aisa hi karna taaki tum doshi na thahro. 11  dekho, yahova se jude har maamle ki dekhrekh karne ke liye pradhan yaajak amaryah ko tumhara adhikari thehraya gaya hai.+ aur raja se jude har maamle ki dekhrekh karne ke liye jabadyah ko thehraya gaya hai, jo ishmael ka beta aur yahooda ke gharane ka aguva hai. aur levi tumhare liye adhikari ke naate seva kareinge. tum sab himmat se kaam lena. yahova unke saath rahe jo bhala karte hain.”*+

kai footnote

ya “shaanti se.”
shabdavli dekhein.
ya “karne ki tere dil ne thaan li hai.”
ya “yahova bhalai ke saath rahe.”