doosra itihas 20:1-37
20 baad mein moabee+ aur ammoni+ log aur unke saath kuch ammonim log* yahoshapat se yuddh karne aaye.
2 yahoshapat ko yah khabar di gayi: “saagar* ke ilake se, edom+ se ek vishal sena tujhse yuddh karne aayi hai. woh abhi hasason-taamar yaani engadi+ mein hain.”
3 yah sunkar yahoshapat dar gaya aur usne yahova ki khoj karne ki thaani.+ isliye usne poore yahooda mein upvas ka ailan kiya.
4 fir yahooda ke log yahova se madad maangne ke liye ikattha huye.+ woh yahova se salah karne yahooda ke sab shehron se aaye.
5 yahooda aur yarooshalem ke logon ki mandli yahova ke bhavan mein naye aangan ke saamne ikattha hui. tab yahoshapat mandli ke saamne khada hua
6 aur usne kaha:
“hey yahova, hamare purkhon ke parmeshvar, kya swarg mein tu hi parmeshvar nahin hai?+ kya raashtron ke sab raajyon par tera hi adhikar nahin hai?+ tere haath mein shakti aur taakat hai aur koi tere khilaf khada nahin ho sakta.+
7 hey hamare parmeshvar, kya toone apni praja israel ke saamne is desh se logon ko khaded nahin diya tha? aur kya toone yah desh apne dost abraham ke vansh ke liye hamesha ki jaageer banakar nahin de diya tha?+
8 woh is desh mein bas gaye aur unhonne tere naam ki mahima ke liye yahaan ek pavitra-sthan banaya+ aur kaha,
9 ‘agar hum talvar chalne, kadi saza paane ya mahamari ya akaal ki vajah se sankat mein pad jaayen, to hamein is bhavan ke saamne aur tere saamne khade hone de (kyonki tera naam is bhavan se juda hai)+ aur tujhe madad ke liye pukarne de aur tu hamari sune aur hamein bachaye.’+
10 ab ammoni, moabee aur seir ke pahadi pradesh+ ke logon ko dekh. jab israeli misra se nikle the to toone unhein in logon par hamla karne ki ijazat nahin di thi. israeliyon ne unka naash nahin kiya tha aur unse door chale gaye the.+
11 dekh, ab ye log uska kaisa badla de rahe hain, ye hamein is jaageer se khadedne aaye hain jo toone hamein virasat mein di hai.+
12 hey hamare parmeshvar, kya tu unhein saza nahin dega?+ hamare paas is vishal sena ka mukabla karne ki taakat nahin hai jo hum par hamla karne aayi hai. aur hum nahin jaante ki hamein kya karna chahiye,+ hamari aankhein teri or lagi hain.”+
13 is dauran, yahooda ke sab aadmi apni patniyon, bachchon,* yahaan tak ki chhote-chhote bachchon ke saath yahova ke saamne khade the.
14 tab us mandli ke beech yahjiel par yahova ki pavitra shakti aayi, jo jakaryah ka beta tha. jakaryah banayah ka, banayah yiel ka aur yiel mattanyah ka beta tha, jo aasap ke beton mein se ek levi tha.
15 yahjiel ne kaha, “hey poore yahooda aur yarooshalem ke logo aur hey raja yahoshapat, dhyan se suno! yahova tumse kehta hai, ‘is vishal sena se mat daro aur na hi khauf khaao kyonki yah ladai tumhari nahin, parmeshvar ki hai.+
16 tum kal unse yuddh karne jaao. woh sees ki tang ghaati se aayenge aur tum unhein ghaati ke chhor par yaruel veerane ke saamne paaoge.
17 tumhein yah ladai ladne ki zaroorat nahin hogi. tum apni jagah khade rehna aur dekhna+ ki yahova kaise tumhara uddhaar karta hai.*+ hey yahooda aur yarooshalem, tum mat darna aur na hi khauf khaana.+ kal tum unse yuddh karne jaana aur yahova tumhare saath rahega.’”+
18 yah sunte hi yahoshapat ne zameen ki taraf sir jhukakar dandvat kiya aur poore yahooda aur yarooshalem ke logon ne yahova ke saamne girkar yahova ki upasna ki.
19 tab woh levi, jo kahatiyon ke vanshaj+ aur korahvanshi the, khade huye taaki buland aavaz mein+ israel ke parmeshvar yahova ki taareef karein.
20 agle din subah woh jaldi uthe aur takoa ke veerane+ mein gaye. jab woh jaa rahe the to yahoshapat khada hua aur kehne laga, “yahooda aur yarooshalem ke logo, meri suno! tum apne parmeshvar yahova par vishvas rakho taaki tum mazboot khade reh sako.* uske bhavishyavaktaon par vishvas rakho+ aur tum kaamyab hoge.”
21 yahoshapat ne logon se salah karne ke baad kuch aadmiyon ko chuna taaki woh yahova ki taareef mein geet gaayen.+ woh pavitra poshak pehne, hathiyarband sainikon ke aage-aage chalte huye yah geet gaayenge: “yahova ka shukriya ada karo kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.”+
22 jab woh khushi-khushi taareef ke geet gaane lage to yahova ne yahooda par dhaava bolnevale ammon, moab aur seir ke pahadi pradesh ke logon par peechhe se hamla karvaya aur un logon ne ek-doosre ko maar daala.+
23 ammoni aur moabee log seir ke pahadi pradesh ke logon par toot pade+ taaki unhein naash kar dein, unhein mita dein. seir ke logon ko naash karne ke baad unhonne ek-doosre ko naash kar diya.+
24 jab yahooda ke log veerane mein pehre ki meenar tak pahunche+ to unhonne vahaan se dekha ki dushmanon ki laashein zameen par padi hain.+ koi bhi zinda nahin bacha tha.
25 tab yahoshapat aur uske log unhein lootne ke liye vahaan gaye. unhein dher saari cheezen, kapde aur sundar-sundar cheezen milin aur woh laashon se ye cheezen utarne lage. woh tab tak batorte rahe jab tak ki aur na le jaa sake.+ loot ka itna saara maal tha ki unhein batorne mein teen din lage.
26 chauthe din woh sab baraka ghaati mein ikattha huye aur vahaan unhonne yahova ki taareef ki.* iseeliye unhonne us jagah ka naam baraka* ghaati rakha+ aur aaj tak uska naam yahi hai.
27 iske baad yahooda aur yarooshalem ke sabhi aadmi khushiyaan manate huye yarooshalem laut gaye kyonki yahova ne unhein dushmanon par jeet dilayi thi.+ unke aage-aage yahoshapat tha.
28 woh taaronvale baaje aur surmandal bajate huye+ aur turhiyaan foonkte huye+ yarooshalem aaye aur yahova ke bhavan gaye.+
29 jab sab deshon ke raajyon ne suna ki yahova ne israel ke dushmanon se yuddh kiya hai, to parmeshvar ka khauf un sabmein sama gaya.+
30 isliye yahoshapat ke raaj mein shaanti bani rahi aur uska parmeshvar use chaaron taraf ke dushmanon se raahat deta raha.+
31 yahoshapat yahooda par raaj karta raha. jab woh raja bana tab woh 35 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 25 saal raaj kiya. uski maa ka naam ajoobah tha jo shilhi ki beti thi.+
32 yahoshapat apne pita aasa ke nakshe-kadam par chalta raha.+ woh us raah se nahin bhatka aur usne yahova ki nazar mein sahi kaam kiye.+
33 lekin uske raaj ke dauran unchi jagah nahin mitayi gayin+ aur logon ne apne purkhon ke parmeshvar ki khoj karne ke liye ab tak apne dil ko taiyar nahin kiya tha.+
34 yahoshapat ki zindagi ki baaki kahani yaani shuroo se lekar aakhir tak ka itihas hanani+ ke bete yehoo+ ke lekhanon mein likha hai. in lekhanon ko israel ke raajaon ki kitab mein shaamil kiya gaya tha.
35 iske baad yahooda ke raja yahoshapat ne israel ke raja ahajyah ke saath sandhi ki. ahajyah dusht kaam karta tha.+
36 yahoshapat ne tarsheesh jaanevale jahaz+ banane ke kaam mein uske saath saajhedari ki. aur unhonne esyon-geber+ mein jahaz banaye.
37 magar eliezer ne, jo maaresha ke rehnevale dodavahoo ka beta tha, yahoshapat ke khilaf yah bhavishyavani ki: “yahova tere kaam ko naakam kar dega kyonki toone ahajyah ke saath sandhi ki hai.”+ isliye unke jahaz tootkar tahas-nahas ho gaye+ aur tarsheesh nahin jaa sake.
kai footnote
^ ya shaayad, “maooni log.”
^ zahir hai, mrit saagar.
^ shaa., “beton.”
^ ya “tumhein chhudata hai.”
^ ya “dheeraj dhar sako.”
^ shaa., “ko aasheervad diya.”
^ matlab “aasheervad.”