doosra itihas 22:1-12

  • yahooda ka raja ahajyah (1-9)

  • atalyah ne raajgaddi hadpi (10-12)

22  fir yarooshalem ke logon ne yahoram ke sabse chhote bete ahajyah ko uski jagah raja banaya, kyonki arbi logon ke saath aaye lutere-dal ne uske sabhi bade beton ko maar daala tha.+ is tarah yahoram ka beta ahajyah yahooda ka raja bana.+  us vakt woh 22 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar ek saal raaj kiya. uski maa ka naam atalyah+ tha jo omri+ ki poti* thi.  ahajyah ne ahab ke gharane ke taur-tareeke apna liye+ kyonki uski maa use dusht kaam karne ki salah deti thi.  woh ahab ke gharane ki tarah yahova ki nazar mein bure kaam karta raha, kyonki uske pita ki maut ke baad ahab ke gharane ke log uske salahkar ban gaye. is vajah se woh barbad ho gaya.  unki salah maankar woh israel ke raja ahab ke bete yahoram ke saath seeriya ke raja hajael+ se yuddh karne raamot-gilad+ gaya. us yuddh mein teerandazon ne yahoram ko ghaayal kar diya.  woh theek hone ke liye yijrel+ lauta kyonki raamah mein seeriya ke raja hajael ke sainikon ne use ghaayal kar diya tha.+ ahab ka beta yahoram+ zakhmi ho gaya* tha, isliye use dekhne ke liye yahooda ka raja ahajyah* jo yahoram+ ka beta tha, yijrel gaya.+  yahoram ke paas jaana ahajyah ki maut ki vajah ban gaya. yah sab parmeshvar ki taraf se hua tha. jab woh yahoram ke paas gaya to woh aur yahoram, nimshi ke pote* yehoo se milne gaye.+ yahova ne yehoo ka abhishek kiya tha taaki woh ahab ke gharane ko mita de.+  jab yehoo ahab ke gharane ka naash karne laga, to usne yahooda ke haakimon aur ahajyah ke bhateejon ko dekha, jo ahajyah ke mantri the aur usne unko maar daala.+  fir yehoo ahajyah ko dhoondhne laga. uske aadmiyon ne ahajyah ko saamriya mein pakad liya jahaan woh chhipa tha. woh use yehoo ke paas le aaye. unhonne use maar daala aur dafna diya+ kyonki unhonne kaha, “yah yahoshapat ka pota hai jo poore dil se yahova ki khoj karta tha.”+ ahajyah ke gharane mein aisa koi nahin tha jo uski raajgaddi sambhal sake. 10  jab ahajyah ki maa atalyah+ ne dekha ki uska beta mar gaya hai, to usne yahooda ke shaahi khaandan ke sabhi vaarison ko maar daala.*+ 11  lekin raja ki beti yahoshavat ne ahajyah ke bete yahoash+ ko bacha liya. usne yahoash ko raja ke beton mein se chupke se utha liya jinhein atalyah maar daalnevali thi. yahoshavat ne yahoash aur uski dhaai ko sone ke kamre mein rakha. raja yahoram+ ki beti yahoshavat ne kisi tarah yahoash ko atalyah se chhipaye rakha, isliye woh use nahin maar saki.+ (yahoshavat, yaajak yahoyada+ ki patni aur ahajyah ki ek behen thi.) 12  yahoash chhe saal tak unke saath raha. use sachche parmeshvar ke bhavan mein chhipakar rakha gaya. is dauran atalyah desh par raaj karti rahi.

kai footnote

shaa., “beti.”
ya “beemar.”
kuch ibrani hastlipiyon mein “ajaryah.”
shaa., “bete.”
shaa., “raaj ke saare beej naash kar diye.”