doosra itihas 23:1-21

  • yahoyada ne kadam uthaya; yahoash raja bana (1-11)

  • atalyah maari gayi (12-15)

  • yahoyada ne desh mein sudhaar kiya (16-21)

23  saatvein saal yahoyada ne himmat se kaam liya aur sau-sau ki tukdiyon ke in adhikariyon ke saath ek karar kiya:+ yaroham ka beta ajaryah, yahohanan ka beta ishmael, obed ka beta ajaryah, adayah ka beta maanseyah aur jikri ka beta eleeshapat.  fir woh poore yahooda mein gaye aur unhonne yahooda ke sab shehron se leviyon+ ko aur israel ke pitaon ke gharanon ke mukhiyaon ko ikattha kiya. jab woh yarooshalem aaye,  to poori mandli ne sachche parmeshvar ke bhavan mein raja ke saath ek karar kiya.+ iske baad yahoyada ne unse kaha, “dekho! raja ka beta ab raaj karega, theek jaise yahova ne daavid ke beton ke baare mein vaada kiya tha.+  tumhein yah karna hoga: sabt ke din jo levi aur yaajak kaam par honge+ unmein se ek-tihai aadmi darban honge,+  ek-tihai aadmi raajmahal ke paas tainat honge+ aur ek-tihai aadmi ‘ninv ke faatak’ par tainat honge. aur baaki log yahova ke bhavan ke aanganon mein honge.+  mandir mein seva karnevale yaajkon aur leviyon ko chhod kisi ko bhi yahova ke bhavan ke andar aane mat dena.+ sirf yaajkon aur leviyon ko aane dena kyonki woh pavitra logon ka dal hain aur baaki sab log yahova ki taraf apna farz nibhayenge.  tum levi apne haathon mein hathiyar liye raja ke chaaron taraf tainat rehna aur uski raksha karna. agar koi bhavan ke andar aaye to use maar daalna. raja jahaan kahin jaaye* tum uske saath rehna.”  leviyon aur poore yahooda ke logon ne theek vaisa hi kiya jaisa yahoyada yaajak ne unhein aadesh diya tha. sabt ke din har adhikari ne apne dal ke sabhi aadmiyon ko liya. jin aadmiyon ki seva karne ki baari thi, unke saath-saath un aadmiyon ko bhi liya gaya jinki baari nahin thi,+ kyonki yahoyada yaajak ne kisi bhi dal ko chhutti nahin di thi.+  fir yahoyada yaajak ne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon+ ko bhaale, chhoti dhaalein* aur golakar dhaalein di. ye hathiyar raja daavid ke the+ jo sachche parmeshvar ke bhavan mein rakhe huye the.+ 10  usne sab logon ko, jo haath mein hathiyar liye huye the, bhavan ke daayen kone se lekar baayen kone tak tainat kiya. usne unhein vedi aur bhavan ke paas yaani raja ke chaaron taraf khada karvaya. 11  fir woh raja ke bete+ ko baahar le aaye aur use taaj pehnaya aur uske oopar sakshi-patra*+ rakha aur use raja banaya. yahoyada aur uske beton ne uska abhishek kiya. fir woh kehne lage, “raja ki jay ho! raja ki jay ho!”+ 12  jab atalyah ne logon ke daudne aur raja ki jayjaykar karne ka shor suna, to woh fauran yahova ke bhavan mein vahaan aayi jahaan logon ki bheed ikattha thi.+ 13  usne dekha ki raja bhavan ke pravesh mein apne khambhe ke paas khada hai aur uske saath haakim+ aur turhi foonknevale bhi hain. desh ke sabhi log khushiyaan mana rahe hain,+ turhiyaan foonki jaa rahi hain aur gaayak saaz bajate huye jashna manane mein aguvai kar rahe hain. yah dekhte hi atalyah ne apne kapde faade aur woh chillane lagi, “yah saazish hai! saazish!” 14  tab yahoyada yaajak ne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon ko yah kehkar baahar bheja, “is aurat ko sainikon ke beech se baahar le jaao. agar koi iske peechhe-peechhe jaaye to use talvar se maar daalo!” yaajak ne unse kaha tha, “us aurat ko yahova ke bhavan mein ghaat mat karna.” 15  isliye woh use pakadkar le gaye aur jab woh mahal ke ghoda faatak ke pravesh ke paas pahunchi, to unhonne fauran use maar daala. 16  fir yahoyada ne apne aur raja aur logon ke beech ek karar kiya ki woh yahova ke log bane raheinge.+ 17  iske baad sab logon ne jaakaar baal ka mandir dhaa diya+ aur uski vediyaan aur moortein choor-choor kar di+ aur vediyon ke saamne hi baal ke pujari mattan ko maar daala.+ 18  fir yahoyada ne yahova ke bhavan ki nigrani ka zimma yaajkon aur leviyon ko saunpa. daavid ne inhein alag-alag dalon mein baantkar yahova ke bhavan ki zimmedari saunpi thi taaki woh yahova ke liye hom-baliyaan chadhayen,+ theek jaise moosa ke kaanoon mein likha hai+ aur daavid ke nirdesh ke mutabik khushiyaan manayen aur geet gaayen. 19  iske alava, yahoyada ne yahova ke bhavan ke faatkon par pehredaron ko tainat kiya+ taaki aisa koi bhi insan andar na jaa sake jo kisi bhi tarah se ashuddh hai. 20  fir usne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon,+ rutbedar aadmiyon, logon ke shaaskon aur desh ke sabhi logon ko saath liya aur woh sab raja ko yahova ke bhavan se baahar le gaye. woh oopri faatak se raajmahal ke andar aaye aur unhonne raja ko raajgaddi+ par bithaya.+ 21  desh ke sabhi logon ne khushiyaan manayin aur shehar mein shaanti chhaa gayi kyonki atalyah ko talvar se maar daala gaya tha.

kai footnote

shaa., “jab raja baahar jaaye aur jab woh andar aaye.”
ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
shaayad ek kharra jismein parmeshvar ka kaanoon likha tha.