doosra itihas 24:1-27
24 yahoash jab raja bana tab woh saat saal ka tha+ aur usne 40 saal yarooshalem mein rehkar raaj kiya. uski maa ka naam sibyah tha jo bersheba ki rehnevali thi.+
2 jab tak yaajak yahoyada zinda tha tab tak yahoash yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.+
3 yahoyada ne do aurton se uski shaadi karayi aur uske kai bete-betiyaan huye.
4 baad mein yahoash ke dil mein yah ichha jaagi ki woh yahova ke bhavan ki marammat kare.+
5 isliye usne yaajkon aur leviyon ko ikattha kiya aur unse kaha, “yahooda ke shehron mein jaao aur poore israel se paisa ikattha karo taaki har saal tumhare parmeshvar ke bhavan ki marammat ki jaa sake.+ tumhein is kaam ke liye fauran kadam uthana hai.” magar leviyon ne fauran kadam nahin uthaya.+
6 isliye raja ne pradhan yaajak yahoyada ko bulaya aur usse kaha,+ “toone leviyon se kyon nahin poochha ki yahooda aur yarooshalem se pavitra kar laane ka kaam kyon nahin hua, jiski aagya yahova ke sevak moosa ne di thi?+ israel ki mandli se us tamboo ke liye pavitra kar kyon nahin ikattha kiya gaya jismein gavahi ka sandook rakha hai?+
7 us dusht aurat atalyah ke bete+ sachche parmeshvar yahova ke bhavan mein zabardasti ghus gaye the+ aur unhonne vahaan ki saari pavitra cheezen le jaakaar baal devtaon ke liye istemal kar di thi.”
8 fir raja ke hukm par ek peti+ taiyar ki gayi aur use yahova ke bhavan ke faatak ke baahar rakha gaya.+
9 iske baad poore yahooda aur yarooshalem mein ailan kiya gaya ki yahova ke liye woh pavitra kar+ laaya jaaye jiski aagya sachche parmeshvar ke sevak moosa ne veerane mein israel ko di thi.
10 saare haakim aur sab log bahot khush huye+ aur woh daan laakaar peti mein daalte rahe. woh tab tak laate the jab tak ki peti bhar nahin jaati.*
11 jab bhi levi dekhte ki peti bhar gayi hai, woh use raja ke paas le jaate aur raja ka sachiv aur pradhan yaajak ka sahayak aakaar use khaali karte.+ fir woh peti ko vaapas uski jagah rakh dete. woh aisa har din karte the aur unhonne bahot saara paisa jama kiya.
12 fir raja aur yahoyada woh paisa un aadmiyon ko dete jo yahova ke bhavan ke kaam ki dekhrekh karte the. aur kaam ki dekhrekh karnevale paise se yahova ke bhavan ki marammat karne ke liye patthar kaatnevalon aur kaareegaron ko kaam par lagate the.+ saath hi, woh lohe aur tambe ka kaam karnevalon ko bhi yahova ke bhavan ki marammat karne ke liye lagate the.
13 kaam ki dekhrekh karnevalon ne kaam shuroo karva diya aur unki nigrani mein marammat ka kaam chalta raha. aakhirkar unhonne parmeshvar ke bhavan ko mazboot banakar use bilkul vaisa hi bana diya jaisa pehale tha.
14 jaise hi unhonne kaam poora kar diya, bacha hua paisa laakaar raja aur yahoyada ko de diya aur unhonne yah paisa yahova ke bhavan ke liye cheezen, seva mein aur bali chadhane mein istemal honevali cheezen aur sone aur chaandi ke pyale aur doosri cheezen banane mein lagaya.+ jab tak yahoyada zinda tha tab tak woh yahova ke bhavan mein niyamit taur par hom-baliyaan chadhate the.+
15 fir yahoyada ki maut ho gayi. woh 130 saal ka tha. usne ek lambee aur khushhal zindagi ji thi.
16 unhonne use daavidpur mein raajaon ki kabraa mein dafnaya+ kyonki usne israel mein bhale kaam kiye the,+ khaaskar sachche parmeshvar aur uske bhavan ke maamle mein.
17 yahoyada ki maut ke baad, yahooda ke haakim raja ke paas aaye aur use jhukkar pranam kiya aur raja ne unki baat maani.
18 logon ne apne purkhon ke parmeshvar yahova ka bhavan chhod diya aur woh pooja-laathon* aur moorton ki seva karne lage. unke is paap ki vajah se parmeshvar ka krodh yahooda aur yarooshalem par bhadak utha.
19 yahova unke paas bhavishyavaktaon ko bhejta raha taaki woh unhein uske paas lauta laayen. woh un logon ko chetavni* dete rahe magar unhonne sunnae se inkar kar diya.+
20 parmeshvar ki pavitra shakti yahoyada+ yaajak ke bete jakaryah par aayi aur usne ek unchi jagah par khade hokar logon se kaha, “sachche parmeshvar ne kaha hai, ‘tum log kyon yahova ki aagyayen todte ho? tum kaamyab nahin hoge! tum logon ne yahova ko chhod diya hai isliye woh bhi tumhein chhod dega.’”+
21 magar unhonne uske khilaf saazish ki+ aur raja ke hukm par use yahova ke bhavan ke aangan mein pattharon se maar daala.+
22 is tarah raja yahoash woh pyar* bhool gaya jo uske pita* yahoyada ne usse kiya tha. usne yahoyada ke bete ko maar daala. jakaryah ne marte vakt kaha, “yahova yah dekhe aur tujhse lekha le.”+
23 saal ki shurooat mein seeriya ki sena yahoash se ladne aayi aur yahooda aur yarooshalem par hamla kar diya.+ unhonne logon ke sabhi haakimon+ ko maar daala aur saara maal lootkar damishk ke raja ko bhej diya.
24 seeriya ki sena chhoti thi, fir bhi yahova ne yahooda ki vishal sena ko uske havale kar diya+ kyonki unhonne apne purkhon ke parmeshvar yahova ko chhod diya tha. isliye unhonne* yahoash ko saza di.
25 yahoash ko bahot-se zakhm lage the.* jab seeriya ke log yahoash ko chhodkar chale gaye, to uske apne sevkon ne uske khilaf saazish rachi kyonki usne yahoyada yaajak ke beton* ka khoon bahaya tha.+ unhonne usi ke bistar par use maar daala.+ use daavidpur mein dafnaya gaya,+ magar raajaon ki kabraa mein nahin.+
26 uske khilaf saazish karnevale the,+ jaabad jo ammoni aurat shimat ka beta tha aur yahojabad jo moabee aurat shimrit ka beta tha.
27 yahoash ke beton ke baare mein, uske khilaf jo sandesh sunaye gaye the+ unke baare mein aur sachche parmeshvar ke bhavan ki marammat*+ ka poora byaura raajaon ki kitab ke lekhanon* mein likha hai. yahoash ki jagah uska beta amajyah raja bana.
kai footnote
^ ya shaayad, “jab tak ki sab nahin de dete.”
^ ya “ke khilaf gavahi.”
^ ya “atal pyar.”
^ yaani jakaryah ka pita.
^ yaani seeriya ki sena ne.
^ ya “bahot-si beemariyaan lagi thi.”
^ ya “bete.” shaayad samman dene ke liye bahuvachan istemal hua hai.
^ shaa., “buniyad daalne.”
^ ya “varnan; tippani.”