doosra itihas 25:1-28

  • yahooda ka raja amajyah (1-4)

  • edom ke saath yuddh (5-13)

  • amajyah ne moortipooja ki (14-16)

  • israel ke raja yahoash se yuddh (17-24)

  • amajyah ki maut (25-28)

25  amajyah jab raja bana tab woh 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 29 saal raaj kiya. uski maa ka naam yahoaddan tha jo yarooshalem ki rehnevali thi.+  amajyah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha, magar poore dil se nahin.  jaise hi amajyah ne raaj par apni pakad mazboot ki, usne apne un sevkon ko maar daala jinhonne uske pita yahoash ka katla kiya tha.+  magar usne un sevkon ke beton ko nahin maara kyonki usne moosa ke kaanoon ki kitab mein likhi yahova ki yah aagya maani: “beton ke paap ke liye pitaon ko na maar daala jaaye aur na hi pitaon ke paap ke liye beton ko maar daala jaaye. jo paap karta hai uske paap ke liye usi ko maut ki saza di jaaye.”+  amajyah ne yahooda aur binyameen ke logon ko ikattha kiya aur unhein pitaon ke gharanon ke mutabik, hazaron aur saikdon ki tukdiyon ke pradhanon ki nigrani mein khada kiya.+ usne 20 saal aur usse zyada umra ke aadmiyon ka naam likhvaya+ aur paaya ki woh 3,00,000 yoddha the. woh taaleem paaye huye sainik the aur bhaale aur badi dhaalein lekar yuddh karne ke kaabil the.  inke alava, usne israel ke 1,00,000 veer yoddhaon ko 100 tode* chaandi dekar kiraye par bulaya.  magar sachche parmeshvar ke ek sevak ne aakaar usse kaha, “hey raja, tu israel ki sena ko apne saath mat aane de kyonki yahova israel ke saath nahin hai,+ woh epraimiyon mein se kisi ke saath nahin hai.  yuddh ke liye tu hi jaa aur himmat se lad. agar tu unhein le jaayega to sachcha parmeshvar tujhe dushman ke saamne gira dega, kyonki parmeshvar ke paas madad karne aur girane ki bhi taakat hai.”+  amajyah ne sachche parmeshvar ke sevak se kaha, “magar un 100 todon ka kya, jo mainne israel ki tukdiyon ko de diye hain?” sachche parmeshvar ke sevak ne kaha, “yahova ke paas tujhe usse bhi zyada dene ki taakat hai.”+ 10  tab amajyah ne epraim se aayi tukdiyon ko vaapas unki jagah bhej diya. magar un sainikon ko yahooda par bahot gussa aaya aur woh tamtamate huye apni jagah laut gaye. 11  fir amajyah himmat jutakar apni tukdiyon ko lekar namak ghaati+ gaya aur usne seir ke 10,000 aadmiyon ko maar daala.+ 12  yahooda ke aadmiyon ne 10,000 aadmiyon ko zinda pakda aur chattan ke oopar le gaye aur vahaan se unhein neeche gira diya. woh sab choor-choor ho gaye. 13  magar jin tukdiyon ko amajyah ne apne saath yuddh mein nahin aane diya aur vaapas bhej diya,+ unhonne saamriya+ se lekar bet-horon+ tak yahooda ke shehron ko loot liya aur 3,000 logon ko maar daala aur khoob saara maal lootkar le gaye. 14  magar jab amajyah edomiyon ko maar daalne ke baad lauta, to woh apne saath seir ke logon ke devtaon ki moortein le aaya aur unhein apna devta bana liya.+ woh unke aage dandvat karne laga aur balidan chadhane laga taaki unka dhuaan uthe. 15  is par yahova ka krodh amajyah par bhadak utha aur usne ek bhavishyavakta ko uske paas bheja. bhavishyavakta ne usse kaha, “tu un devtaon ke peechhe kyon jaata hai jo apne logon ko tere haath se bacha nahin sake?”+ 16  bhavishyavakta baat kar hi raha tha ki raja ne use beech mein tokkar kaha, “tujhe kisne raja ka salahkar banaya hai?+ chup ho jaa,+ varna tu maar daala jaayega!” tab bhavishyavakta yah kehkar chup ho gaya, “main jaanta hoon ki parmeshvar ne tera naash karne ka faisla kiya hai kyonki toone yah kaam kiya hai aur meri salah nahin maani.”+ 17  yahooda ke raja amajyah ne apne salahkaron se baat karne ke baad, apne dooton ke haath israel ke raja yahoash ko (jo yahoahaj ka beta aur yehoo ka pota tha) yah sandesh bheja: “yuddh ke maidan mein aa, hum ek-doosre se mukabla* karein.”+ 18  israel ke raja yahoash ne yahooda ke raja amajyah ko yah javab bheja: “labanon ke kaantedar paudhe ne labanon ke devdar ko ek sandesh bheja, ‘apni beti ka haath mere bete ke haath mein de de.’ magar labanon ka ek jangli jaanvar vahaan se guzra aur usne kaantedar paudhe ko raund daala. 19  tu kehta hai, “dekha, mainne* edom ko hara diya hai!”+ tera man ghamand se fool gaya hai, tu apni vaah-vaahi chahta hai. magar ab tu apne mahal mein hi reh. kyon tu bekar mein museebat ko daavat de raha hai? khud to doobega hi, saath mein poore yahooda ko bhi le doobega.” 20  magar amajyah ne yahoash ki baat nahin maani.+ sachche parmeshvar ki yahi marzee thi ki woh dushmanon ke haath mein kar diye jaayen+ kyonki woh edom ke devtaon ke peechhe chalne lage the.+ 21  isliye israel ka raja yahoash, yahooda ke raja amajyah se yuddh karne nikala aur unka mukabla bet-shemesh+ mein hua jo yahooda ke ilake mein hai. 22  israel ne yahooda ko hara diya aur yahooda ke sabhi log apne-apne ghar* bhaag gaye. 23  israel ke raja yahoash ne bet-shemesh mein yahooda ke raja amajyah ko pakad liya, jo yahoash ka beta aur yahoahaj* ka pota tha. yahoash amajyah ko pakadkar yarooshalem le aaya aur vahaan ki sheharpanah ka ek hissa tod diya. usne epraim faatak+ se lekar ‘konevale faatak’+ tak ka 400 haath* lamba hissa dhaa diya. 24  yahoash ne sachche parmeshvar ke bhavan se saara sona-chaandi aur doosra saaman loot liya, jo obed-edom ki dekhrekh mein tha. usne raajmahal ke khazanon se bhi saara sona-chaandi aur doosra saaman loot liya+ aur kuch logon ko bandi bana liya. fir woh saamriya laut gaya. 25  israel ke raja yahoahaj ke bete yahoash+ ki maut ke baad yahooda ka raja amajyah+ (jo yahoash ka beta tha) 15 saal aur jeeya.+ 26  amajyah ki zindagi ki baaki kahani, shuroo se lekar aakhir tak ka itihas, yahooda aur israel ke raajaon ki kitab mein likha hai. 27  jab se amajyah ne yahova ke peechhe chalna chhod diya, tab se yarooshalem mein uske dushman uske khilaf saazish karne lage,+ isliye woh laakeesh bhaag gaya. magar uske dushmanon ne apne aadmiyon ko laakeesh bheja aur use vahaan marva daala. 28  woh uski laash ghodon par laadkar le aaye aur yahooda ke shehar mein uske purkhon ki kabraa mein dafna di.

kai footnote

ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “ka saamna.”
shaa., “toone.”
shaa., “tamboo.”
ahajyah bhi kehlata tha.
kareeb 178 m. (584 fut). ati. kh14 dekhein.