doosra itihas 26:1-23

  • yahooda ka raja ujjiyah (1-5)

  • usne kai yuddh jeete (6-15)

  • use kodhi bana diya gaya (16-21)

  • uski maut (22, 23)

26  fir yahooda ke sab logon ne amajyah ke bete ujjiyah+ ko uski jagah raja banaya. us vakt ujjiyah 16 saal ka tha.+  jab raja* ki maut ho gayi* to usne elat+ ko fir se banaya aur use vaapas yahooda ke adhikar mein kar diya.+  ujjiyah+ jab raja bana tab woh 16 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 52 saal raaj kiya. uski maa ka naam yakolyah tha jo yarooshalem ki rehnevali thi.+  ujjiyah apne pita amajyah ki tarah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.+  jakaryah ke dinon mein woh parmeshvar ki khoj karta raha. jakaryah ne hi use sachche parmeshvar ka dar maanna sikhaya tha. jab tak ujjiyah sachche parmeshvar yahova ki khoj karta raha, tab tak parmeshvar ki aasheesh se woh falta-foolta raha.+  woh palishtiyon se ladne gaya+ aur gat,+ yabne+ aur ashdod+ ki sheharpanahon mein chhed karke un shehron mein ghus gaya aur usne un par kabza kar liya. fir usne ashdod ke ilake mein aur palishtiyon ke ilake mein shehar banaye.  sachcha parmeshvar use palishtiyon, goorbal mein rehnevale arbi logon+ aur maooni logon par jeet haasil karne mein madad deta raha.  ammoni log+ ujjiyah ko nazrana dene lage. uski shohrat door misra tak fail gayi kyonki woh bahot taakatvar ho gaya tha.  iske alava, ujjiyah ne yarooshalem ke ‘konevale faatak’+ ke paas, ‘ghaati ke faatak’+ ke paas aur pushte ke paas mazboot meenarein khadi kin.+ 10  usne veerane mein bhi meenarein+ khadi kin aur bahot-se kund khudvaye* (kyonki uske paas badi taadad mein maveshi the). usne shafelah aur maidan mein* bhi meenarein banvayin aur kund khudvaye. pahadon par aur karmel mein uske kisan aur angooron ke baagon ke maali the, kyonki woh kheti-baadi ka bada shaukeen tha. 11  ujjiyah ki ek mazboot sena bhi thi jo hathiyaron se lais thi. unhein alag-alag dalon mein baanta gaya tha aur isi kaayde se woh yuddh mein jaate the. raaj-sachiv+ yiel aur adhikari maanseyah ne unki ginti ki aur unka naam likhvaya tha.+ woh donon raja ke ek haakim hananyah ki kaman ke neeche kaam karte the. 12  raja ke veer yoddhaon ke senapati, pitaon ke gharanon ke mukhiya the aur unki kul ginti 2,600 thi. 13  aur unki kaman ke neeche 3,07,500 sainik the jo yuddh ke liye taiyar the. raja ki taraf se dushmanon se ladnevali yah sena bahot taakatvar thi.+ 14  ujjiyah ne apni poori sena ko dhaalon, barchhon,+ topon, bakhtar,+ teer-kamanon aur gofan ke pattharon se lais karaya.+ 15  itna hi nahin, usne yarooshalem mein kushal kaareegaron se yuddh ke yantra banvaye the. ye yantra meenaron+ par aur sheharpanahon ke konon par rakhe gaye the aur inse teer chhode jaate aur bade-bade patthar feinke jaate the. ujjiyah ki shohrat door-door tak fail gayi kyonki use bahot madad mili thi aur woh kaafi taakatvar ho gaya tha. 16  magar jaise hi woh taakatvar ho gaya, uska man ghamand se fool utha aur yah uski barbadi ka kaaran ban gaya. woh dhoop ki vedi par dhoop jalane ke liye yahova ke mandir mein ghus gaya aur aisa karke usne apne parmeshvar yahova ke saath vishvasghat kiya.+ 17  jab woh andar gaya to fauran ajaryah yaajak aur yahova ke 80 aur diler yaajak uske peechhe-peechhe gaye. 18  unhonne raja ujjiyah ko rokte huye kaha, “ujjiyah, yahova ke liye dhoop jalana tera kaam nahin hai!+ yah kaam sirf yaajkon ka hai kyonki woh haaroon ke vanshaj hain+ aur unhein pavitra kiya gaya hai. tu pavitra-sthan se baahar chala jaa, toone vishvasghat kiya hai. is kaam ke liye yahova parmeshvar se tujhe samman nahin milega.” 19  magar ujjiyah, jiske haath mein dhoopdan tha, un yaajkon par bhadak utha.+ woh yaajkon par gussa kar hi raha tha ki tabhi uske maathe par kodh+ fut nikala. yah sab yahova ke bhavan mein, dhoop ki vedi ke paas yaajkon ke saamne hua. 20  pradhan yaajak ajaryah aur baaki sab yaajkon ne dekha ki uske maathe par kodh ho gaya hai! woh use fauran vahaan se baahar le jaane lage aur woh khud bhi jaldi karne laga, kyonki yahova ne use kodhi bana diya. 21  raja ujjiyah apni maut tak kodhi raha. woh ek alag ghar mein rehne laga+ kyonki use yahova ke bhavan mein jaane ki ijazat nahin thi. uske bete yotam ne mahal ki baagdor sambhali aur woh desh ke logon ka nyay karta tha.+ 22  ujjiyah ki zindagi ki baaki kahani, shuroo se lekar aakhir tak ka itihas aamoj ke bete bhavishyavakta yashayah ne darz kiya tha.+ 23  fir ujjiyah ki maut ho gayi* aur use uske purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya, magar use raajaon ki kabraa ki paasvali zameen mein dafnaya gaya kyonki unhonne kaha, “woh kodhi hai.” uski jagah uska beta yotam+ raja bana.

kai footnote

yaani uske pita amajyah.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
ya “pathar par.”
ya “kaate,” shaayad chattan mein se.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”