doosra itihas 27:1-9
-
yahooda ka raja yotam (1-9)
27 yotam+ jab raja bana tab woh 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 16 saal raaj kiya. uski maa ka naam yaroosha tha jo saadok ki beti thi.+
2 yotam apne pita ujjiyah ki tarah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.+ uske pita aur usmein yahi fark tha ki woh apne pita ki tarah zabardasti yahova ke mandir mein nahin ghusa.+ magar log ab bhi bure kaam karte the.
3 usne yahova ke bhavan ka oopri faatak banvaya+ aur opel ki sheharpanah par kaafi kaam karvaya.+
4 usne yahooda ke pahadi pradesh+ mein bhi shehar banvaye+ aur janglon mein kile+ aur meenarein banvayin.+
5 usne ammoniyon ke raja se yuddh kiya+ aur aakhirkar unhein hara diya, isliye ammoniyon ne us saal use 100 tode* chaandi aur das-das hazar kor* gehoon aur jau diye. ammoniyon ne doosre aur teesre saal bhi use yah sab diya.+
6 is tarah yotam dinon-din taakatvar hota gaya, kyonki usne apne parmeshvar yahova ki raahon par chalne ki thaan li thi.
7 yotam ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo yuddh kiye, unke baare mein aur uske chaalchalan ke baare mein israel aur yahooda ke raajaon ki kitab mein likha hai.+
8 jab woh raja bana tab woh 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 16 saal raaj kiya.+
9 fir yotam ki maut ho gayi* aur use daavidpur+ mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta aahaj raja bana.+
kai footnote
^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”