doosra itihas 31:1-21

  • hijkiyah ne jhoothi upasna mita di (1)

  • yaajkon aur leviyon ki dekhbhal (2-21)

31  tyohar ke fauran baad vahaan maujood sabhi israeli yahooda ke shehron mein gaye, saath hi binyameen, epraim aur manashshe ke ilakon+ mein bhi gaye aur unhonne pooja-stambh choor-choor kar diye,+ pooja-laathein* kaat daalin+ aur unchi jagah aur vediyaan dhaa di.+ woh tab tak ye kaam karte rahe jab tak ki unhonne ye saari cheezen poori tarah mita na di. iske baad, sabhi israeli apne-apne shehar aur apni-apni jaageer mein laut gaye.  fir hijkiyah ne yaajkon aur leviyon ko unke apne-apne dal ke mutabik seva ke liye thehraya.+ har yaajak aur levi ko uske liye thehrayi gayi seva saunpi.+ unka kaam tha hom-baliyaan aur shaanti-baliyaan chadhana, bhavan mein seva karna aur yahova ke bhavan ke aanganon* ke faatkon ke paas uska shukriya ada karna aur uski taareef karna.+  raja ne apni jaaydad ka kuch hissa, yahova ke kaanoon mein batayi hom-baliyon ke liye,+ subah aur shaam ke chadhave ke liye,+ sabt+ aur naye chaand ke maukon par+ aur tyoharon+ mein di jaanevali hom-baliyon ke liye diya.  itna hi nahin, raja ne yarooshalem ke logon ko aagya di ki woh yaajkon aur leviyon ko woh hissa dein jis par unka hak hai,+ taaki woh yahova ke kaanoon ko sakhti se maanein.*  raja ka yah aadesh paate hi israeliyon ne apni upaj ke pehale fal mein se yah sab bahotayat mein laakaar diya: anaj, nayi daakh-madira, tel,+ shehad aur khet ki baaki upaj.+ unhonne har cheez ka dasvaan hissa laakaar diya aur is tarah unhonne daan mein bahot saari cheezen laakaar di.+  yahooda ke shehron mein rehnevale israel ke log aur yahooda ke log gaay-bailon aur bhedon ka bhi dasvaan hissa le aaye aur un pavitra cheezon ka dasvaan hissa le aaye,+ jo unhonne apne parmeshvar yahova ke liye pavitra thehrayi thi. is tarah daan ki gayi cheezon ka dher lag gaya.  unhonne daan dena teesre maheene mein+ shuroo kiya tha aur woh saatvein maheene+ tak dete rahe.  jab hijkiyah aur haakim aaye aur woh dher dekha, to unhonne yahova ki taareef ki aur uski praja israel ko aasheervad diya.  jab hijkiyah ne yaajkon aur leviyon se us dher ke baare mein poochha, 10  to saadok ke gharane ke pradhan yaajak ajaryah ne kaha, “jab se log yahova ke bhavan mein daan laakaar dene lage hain,+ tab se logon ko khaane ko bharpoor cheezen mil rahi hain. iske baad bhi itna kuch bach gaya hai. yahova ne apne logon ko aasheesh di hai, tabhi itna kuch bach gaya hai.”+ 11  tab hijkiyah ne unse kaha ki woh yahova ke bhavan mein bhandar-ghar*+ taiyar karein aur unhonne taiyar kiye. 12  logon ke daan, dasvaan hissa+ aur pavitra cheezen laayi jaa rahi thi. in saari cheezon ki nigrani ka zimma levi konanyah ko saunpa gaya aur uska bhaai shimi doosre pad par tha. 13  raja hijkiyah ke aadesh par konanyah aur uske bhaai shimi ki madad karne ke liye in sabko sahayak adhikari chuna gaya: yahiel, ajajyah, nahat, asahel, yareemot, yojabad, eliel, yismakyah, mahat aur banayah. aur ajaryah ko sachche parmeshvar ke bhavan ki nigrani ka zimma saunpa gaya. 14  levi yimnah ke bete kore ko, jo poorab ke faatak ka pehredar tha,+ sachche parmeshvar ke liye di gayin swechha-baliyon+ ka zimma saunpa gaya. woh yahova ke liye bheint ki gayin cheezon ka aur un cheezon ka batvara karta tha+ jo bahot pavitra thi.+ 15  uske nirdeshan mein adan, minyameen, yeshoo, shamayah, amaryah aur shakanyah yaajkon ke shehron+ mein kaam karte the. unhein bharosemand jaankar yah pad saunpa gaya tha taaki woh alag-alag dalon mein kaam karnevale apne bhaaiyon ko cheezen barbar baantein,+ fir chahe woh chhote hon ya bade. 16  inke alava, woh un sab aadmiyon ko bhi ye cheezen dete the jinka naam vanshavli mein likha tha aur jo apne-apne dal ki baari ke mutabik har din yahova ke bhavan mein aakaar seva karte the. saath hi teen saal aur usse zyada umra ke ladkon ko bhi dete the jinka naam vanshavli mein likha tha. 17  vanshavli mein yaajkon ka naam unke pitaon ke gharanon ke mutabik likha gaya tha.+ aur 20 saal aur usse zyada umravale leviyon ka naam bhi unke pitaon ke gharanon ke mutabik+ aur unke alag-alag seva-dal ke mutabik likha gaya tha.+ 18  is vanshavli mein leviyon ke sabhi bachchon, patniyon aur bete-betiyonn ka yaani unki poori mandli ka naam likha gaya, kyonki leviyon ne pavitra seva ke liye khud ko alag rakha tha aur unhein bharosemand jaankar seva ka pad saunpa gaya tha. 19  vanshavli mein haaroonvanshi yaajkon ka naam bhi likha gaya tha, jo apne shehron ke aas-paas charagah ke maidanon mein rehte the.+ sabhi shehron mein kuch aadmiyon ko naam lekar chuna gaya tha taaki woh yaajkon ke parivar ke har ladke aur aadmi ko, saath hi leviyon ki vanshavli mein darz sab logon ko daan ki cheezon mein se hissa dein. 20  hijkiyah ne yah intazam poore yahooda mein karvaya aur woh aise kaam karta raha jo yahova ki nazron mein bhale aur sahi the aur woh apne parmeshvar ka vishvasyogya bana raha. 21  usne apne parmeshvar ki khoj karne ke liye jo bhi kaam haath mein liya, fir chahe woh sachche parmeshvar ke bhavan mein seva se juda ho+ ya parmeshvar ke kaanoon aur uski aagya se juda ho, usne use poore dil se kiya aur woh kaamyab raha.

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “ki chhaavniyon.”
ya “ke liye khud ko poori tarah laga dein.”
ya “bhojan ke kamre.”