doosra itihas 32:1-33

  • sanhereeb ki dhamki (1-8)

  • usne yahova ko kuch nahin samjha (9-19)

  • swargdoot ne ashshooriyon ko naash kiya (20-23)

  • hijkiyah ki beemari; uska ghamand (24-26)

  • uski kaamyabiyaan aur maut (27-33)

32  hijkiyah ne jab vishvasyogya rehkar ye saare kaam kiye,+ to iske baad ashshoor ke raja sanhereeb ne aakaar yahooda par dhaava bol diya. usne vahaan kileband shehron mein ghuskar un par kabza karne ke liye gherabandi ki.+  jab hijkiyah ne dekha ki sanhereeb aa gaya hai aur usne yarooshalem se yuddh karne ki thaan li hai  to usne apne haakimon aur yoddhaon se salah-mashvira kiya aur faisla kiya ki woh shehar ke baahar ke soton ka paani+ band kar dega. un sabne uska saath diya.  bahot-se logon ko ikattha kiya gaya aur unhonne sabhi sote band kar diye aur nadi ki woh dhaara rok di jo us poore ilake mein behti thi. unhonne kaha, “hum nahin chahte ki jab ashshoor ke raja yahaan aayen to unhein bharpoor paani mile.”  iske alava, hijkiyah ne mazboot irade ke saath sheharpanah ka toota hua poora hissa banaya, us par meenarein khadi kin aur baahar ek aur sheharpanah banayi. usne daavidpur ke teele* ki marammat ki+ aur bahot saare hathiyar aur dhaalein banayin.  fir usne logon par senapati thehraye aur unhein shehar ke faatak ke paasvale chauk mein ikattha kiya. usne yah kehkar un sabki himmat bandhayi:  “tum sab himmat se kaam lo aur hausla rakho. tum ashshoor ke raja aur uski vishal sena se mat darna, na hi khauf khaana+ kyonki uske saath jitne hain unse kahin zyada hamare saath hain.+  use insani taakat par bharosa hai, magar hamare saath hamara parmeshvar yahova hai. woh hamari madad karega aur hamari taraf se yuddh karega.”+ yahooda ke raja hijkiyah ke in shabdon se logon ko bahot hausla mila.+  iske baad, jab ashshoor ka raja sanhereeb apni taakatvar sena* ke saath laakeesh+ mein tha to usne apne sevkon ko yarooshalem bheja taaki woh yahooda ke raja hijkiyah se aur yahoodiya ke un sabhi logon se jo yarooshalem mein the,+ yah kahein: 10  “ashshoor ke raja sanhereeb ne kaha hai, ‘tumhein kis baat par itna bharosa hai jo tum ab bhi yarooshalem mein ho, jabki ise gher liya gaya hai?+ 11  hijkiyah tumse kehta hai, “hamara parmeshvar yahova hamein ashshoor ke raja ke haath se chhudayega.” kya aisa kehkar woh tumhein gumrah nahin kar raha hai aur bhookha-pyasa nahin maarna chahta?+ 12  kyonki usi ne to tumhare parmeshvar ki* unchi jagah aur vediyaan dhaa di+ aur yahooda aur yarooshalem ke logon se kaha, “tumhein sirf ek hi vedi ke aage dandvat karna chahiye aur usi par balidan chadhana chahiye taaki uska dhuaan uthe.”+ 13  kya tum nahin jaante ki mainne aur mere purkhon ne doosre deshon ka kya hashra kiya hai?+ kya un raashtron ke devta unke deshon ko mere haath se chhuda paaye?+ 14  jin raashtron ko mere purkhon ne naash kar daala, kya unke devtaon mein se koi bhi apne logon ko mere haath se chhuda paaya tha? to fir tumhara parmeshvar tum logon ko mere haath se kaise chhuda lega?+ 15  tum log hijkiyah ki baaton mein mat aao, woh tumhein gumrah kar raha hai!+ us par vishvas mat karo kyonki kisi bhi raashtra ya raajya ka koi bhi devta apne logon ko mere aur mere purkhon ke haath se nahin chhuda paaya. fir tumhare parmeshvar ki hasti hi kya hai ki woh tumhein mere haath se chhudaye!’”+ 16  sanhereeb ke sevkon ne sachche parmeshvar yahova aur uske sevak hijkiyah ke khilaf aur bhi bahot kuch kaha. 17  sanhereeb ne kuch chitthiyaan bhi likhin+ jinmein usne israel ke parmeshvar yahova ke baare mein apman ki baatein kahin.+ usne chitthiyon mein parmeshvar ke khilaf yah likha, “jaise doosre raashtron ke devta apne logon ko mere haath se nahin chhuda paaye,+ usi tarah hijkiyah ka parmeshvar bhi apne logon ko mere haath se nahin chhuda paayega.” 18  yarooshalem ke jo log sheharpanah par khade the, unse sanhereeb ke sevak unchi aavaz mein yahoodiyon ki bhasha mein baat karte rahe taaki unke andar dar aur khauf paida karke shehar par kabza kar lein.+ 19  unhonne yarooshalem ke parmeshvar ke khilaf vahi baatein kahin jo unhonne duniya ke baaki deshon ke un devtaon ke khilaf kahi thi jo insan ke haath ke bane hain. 20  magar raja hijkiyah aur aamoj ka beta, bhavishyavakta yashayah+ is baare mein prarthna karte rahe aur madad ke liye swarg ki taraf pukarte rahe.+ 21  fir yahova ne ek swargdoot ko bheja jisne ashshoor ke raja ki chhaavni mein jaakaar har veer yoddha,+ aguve aur senapati ko maar daala. nateeja yah hua ki sanhereeb ko apmanit hokar apne desh lautna pada. baad mein woh apne devta ke mandir mein gaya aur vahaan uske apne hi kuch beton ne use talvar se maar daala.+ 22  is tarah yahova ne hijkiyah aur yarooshalem ke nivasiyon ko ashshoor ke raja sanhereeb aur baaki sabke haath se bachaya aur chaaron taraf ke dushmanon se unhein raahat dilayi. 23  fir kai log yahova ke liye bheint lekar yarooshalem aaye aur yahooda ke raja hijkiyah ko tohfe mein badhiya-badhiya cheezen di.+ iske baad se sab raashtra hijkiyah ka bahot aadar karne lage. 24  un dinon hijkiyah beemar ho gaya. uski haalaat itni kharab ho gayi ki woh marnevala tha. usne yahova se prarthna ki+ aur parmeshvar ne uski suni aur use ek nishani di.+ 25  magar hijkiyah ke saath jo bhalai ki gayi thi, uski usne kadar nahin ki kyonki uska man ghamand se fool gaya tha. isliye parmeshvar ka krodh us par aur yahooda aur yarooshalem par bhadak utha. 26  magar hijkiyah ne apne man ka ghamand door karke khud ko namra kiya+ aur yarooshalem ke logon ne bhi khud ko namra kiya, isliye hijkiyah ke dinon mein yahova ka krodh un par nahin bhadka.+ 27  hijkiyah ne khoob saari daulat aur shohrat haasil ki.+ usne apne liye bhandar-ghar banaye+ taaki unmein sona, chaandi, keemti patthar, balsan ka tel, dhaalein aur baaki sabhi manbhavni cheezen rakhe. 28  usne anaj, nayi daakh-madira aur tel jama karne ke liye bhi bhandar-ghar banaye, saath hi sab kism ke maveshiyon aur bhed-bakriyon ke liye baade banaye. 29  usne kai shehar bhi banaye aur badi taadad mein bhed-bakriyaan aur gaay-bail ikattha kiye kyonki parmeshvar ne use bahot daulat di thi. 30  hijkiyah ne hi geehon+ nadi ka oopri sota band kar diya+ aur uske paani ka rukh aisa mod diya ki woh seedhe daavidpur+ ke pashchim ki taraf bahe. hijkiyah apne har kaam mein kaamyab raha tha. 31  magar jab baibilon ke haakimon ke dooton ko hijkiyah ke desh mein dekhi gayi nishani+ ke baare mein poochhne ke liye uske paas bheja gaya,+ to sachche parmeshvar ne use chhod diya taaki use parakhkar jaane ki uske dil mein kya hai.+ 32  hijkiyah ki zindagi ki baaki kahani aur usne atal pyar ka saboot dete huye jo kaam kiye,+ unka byaura aamoj ke bete yashayah bhavishyavakta ke darshan ke lekhanon mein+ aur yahooda aur israel ke raajaon ki kitab mein likha hai.+ 33  fir hijkiyah ki maut ho gayi* aur use us chadhai par dafnaya gaya jo daavid ke beton ke kabraistan ki taraf jaati hai.+ uski maut par poore yahooda aur yarooshalem ke logon ne uska samman kiya. uski jagah uska beta manashshe raja bana.

kai footnote

ya “millo.” is ibrani shabd ka matlab “bharna” hai.
ya “apni sena ki poori taakat aur shaan.”
shaa., “uski.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”