doosra itihas 35:1-27

  • fasah ke bade tyohar ka intazam (1-19)

  • yoshiyah maar daala gaya (20-27)

35  yoshiyah ne yarooshalem mein yahova ke liye fasah manane+ ka intazam kiya aur unhonne pehale maheene ke 14vein din+ fasah ka bali-pashu halal kiya.+  usne yaajkon ko unke kaam par thehraya aur unhein badhava diya ki woh yahova ke bhavan mein apni seva mein lage rahein.+  fir usne leviyon se, jo poore israel mein sikhane ka kaam karte the+ aur yahova ke liye pavitra the, kaha, “pavitra sandook ko us bhavan mein rakho jise israel ke raja daavid ke bete sulaiman ne banaya tha.+ ab se tumhein sandook ko kandhon par dhokar le jaane ki zaroorat nahin hogi.+ ab tum apne parmeshvar yahova aur uski praja israel ki seva karo.  tum apne-apne pita ke gharane aur apne dal ke mutabik seva ke liye khud ko taiyar karo, theek jaise israel ke raja daavid aur uske bete sulaiman ne likha tha.+  tum sab pavitra jagah mein apne-apne dal ke mutabik is tarah khade raho ki har parivar ki seva ke liye uske saath ek levi parivar ka ek dal rahe.  fasah ka bali-pashu halal karo,+ khud ko pavitra karo aur apne bhaaiyon ke liye taiyari karo taaki yahova ne moosa ke zariye jo aagya di hai uska tum paalan kar sako.”  yoshiyah ne vahaan haazir sab logon ko nar memne aur bakri ke nar bachche daan mein diye taaki woh fasah ke liye unka balidan karein. usne kul milakar 30,000 bhed-bakriyaan aur 3,000 bail diye. raja ne ye saare jaanvar apne jhund mein se diye.+  uske haakimon ne bhi logon, yaajkon aur leviyon ke liye jaanvar daan kiye taaki woh inki swechha-bali de sakein. sachche parmeshvar ke bhavan ke aguve hilkiyah,+ jakaryah aur yahiel ne yaajkon ko fasah ke balidan ke liye 2,600 jaanvar diye, saath hi 300 bail bhi diye.  konanyah aur uske bhaai shamayah aur natnel ne aur leviyon ke pradhan hashbyah, yiel aur yojabad ne fasah ke balidan ke liye leviyon ko 5,000 jaanvar diye, saath hi 500 bail bhi diye. 10  tyohar ke liye taiyariyaan poori ho gayin aur jaise raja ne aagya di thi, yaajak apni-apni jagah khade ho gaye aur levi apne-apne dal ke mutabik khade ho gaye.+ 11  leviyon ne fasah ke bali-pashu halal kiye+ aur yaajkon ne unke haath se khoon lekar vedi par chhidka.+ aur levi jaanvaron ki khaal utarte rahe.+ 12  iske baad unhonne un baaki logon ko dene ke liye hom-baliyaan taiyar kin, jinhein apne pitaon ke kulon ke mutabik samoohon mein baanta gaya tha taaki moosa ki kitab mein di hidayton ke mutabik ye balidan yahova ko arpit kiye jaa sakein. unhonne bailon ke saath bhi aisa hi kiya. 13  unhonne dastoor ke mutabik fasah ke bali-pashu ko aag mein pakaya.*+ pavitra chadhave ko unhonne handon, gol peinde ki handiyon aur dongon mein pakaya aur use jaldi se baaki sabhi logon ke paas le aaye. 14  fir unhonne apne liye aur yaajkon ke liye taiyariyaan kin kyonki haaroonvanshi yaajak andhera hone tak hom-baliyaan aur charbivale hisse chadhate rahe. leviyon ne apne liye aur haaroonvanshi yaajkon ke liye taiyariyaan kin. 15  aur aasap ke vansh ke gaayak+ daavid, aasap, heman aur raja ke darshi yadootoon ki aagya ke mutabik+ apni-apni jagah khade huye aur pehredar alag-alag faatkon par tainat huye.+ unhein apni seva ka kaam nahin chhodna pada kyonki unke levi bhaaiyon ne unke liye taiyariyaan ki thi. 16  is tarah us din yahova ke liye saari sevaon ki taiyariyaan ki gayin taaki fasah manaya jaa sake+ aur yahova ki vedi par hom-baliyaan chadhayi jaa sakein, theek jaise raja yoshiyah ne aadesh diya tha.+ 17  vahaan haazir israeliyon ne us samay fasah manaya aur fir saat din tak bin-khameer ki roti ka tyohar manaya.+ 18  israel mein jaisa fasah manaya gaya, vaisa bhavishyavakta shamooel ke zamane se lekar ab tak nahin manaya gaya tha. yoshiyah, yaajkon, leviyon, vahaan maujood poore yahooda aur israel ke sabhi logon ne aur yarooshalem ke nivasiyon ne jaisa fasah manaya vaisa israel ke kisi aur raja ne nahin manaya tha.+ 19  yah fasah yoshiyah ke raaj ke 18vein saal mein manaya gaya. 20  jab yah sab poora ho gaya aur yoshiyah mandir* ko taiyar kar chuka, to uske baad misra ka raja niko+ yuddh karne farat ke paas karkmeesh gaya. aur yoshiyah uska saamna karne nikala.+ 21  tab niko ne apne dooton ke haath yoshiyah ko yah sandesh bheja: “hey yahooda ke raja, tu kyon mujhse ladne aa raha hai? main tujhse nahin kisi aur raashtra se ladne jaa raha hoon. parmeshvar ne mujhe jaldi jaane ke liye kaha hai. teri bhalai isi mein hai ki tu mujhse mat lad kyonki parmeshvar mere saath hai. uska virodh mat kar varna woh tujhe barbad kar dega.” 22  magar yoshiyah uske raaste se nahin hata. usne niko ki baat nahin maani jo parmeshvar ki taraf se thi. iske bajay woh bhes badalkar+ niko se ladne magiddo ke maidan mein gaya.+ 23  fir teerandazon ne teeron se raja yoshiyah par vaar kiya aur raja ne apne sevkon se kaha, “mujhe yahaan se le chalo, main buri tarah ghaayal ho gaya hoon.” 24  uske sevkon ne use rath se uthaya aur uske doosre rath par bithakar yarooshalem le aaye. is tarah yoshiyah ki maut ho gayi aur use uske purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya.+ poore yahooda aur yarooshalem ne uske liye maatam manaya. 25  yirmayah+ ne yoshiyah ke liye raag alapa aur sabhi gaayak-gaayikayen+ aaj bhi apne shokgeeton mein yoshiyah ka zikra karte hain. fir yah faisla kiya gaya ki ye shokgeet israel mein gaaye jaayen. in geeton ko shokgeeton mein shaamil kiya gaya hai. 26  yoshiyah ki zindagi ki baaki kahani aur usne yahova ke kaanoon ke mutabik apne atal pyar ka saboot dete huye jo kaam kiye unka byaura 27  aur shuroo se lekar aakhir tak usne jo-jo kaam kiye unka byaura israel aur yahooda ke raajaon ki kitab mein likha hai.+

kai footnote

ya shaayad, “bhoona.”
shaa., “bhavan.”