doosra itihas 36:1-23
36 fir yahooda ke logon ne yoshiyah ke bete yahoahaj+ ko yarooshalem mein uske pita ki jagah raja banaya.+
2 yahoahaj jab raja bana tab woh 23 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar teen maheene raaj kiya.
3 magar misra ke raja ne use yarooshalem mein raja ke pad se hata diya aur desh par 100 tode* chaandi aur ek tode sone ka jurmana laga diya.+
4 aur misra ke raja ne yahoahaj ke bhaai elyakeem ko yahooda aur yarooshalem ka raja bana diya aur uska naam badalkar yahoyakeem rakh diya. magar niko,+ yahoyakeem ke bhaai yahoahaj ko misra le gaya.+
5 yahoyakeem+ jab raja bana tab woh 25 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par 11 saal raaj kiya. woh apne parmeshvar yahova ki nazar mein bure kaam karta raha.+
6 baibilon ke raja nabookadnessar+ ne us par hamla kar diya taaki use tambe ki do bediyon se jakadkar baibilon le jaaye.+
7 aur nabookadnessar yahova ke bhavan se kuch bartan baibilon le gaya aur unhein vahaan apne mahal mein rakh liya.+
8 yahoyakeem ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo ghinaune kaam kiye aur usmein jo buraiyaan paayi gayin, un sabka byaura israel aur yahooda ke raajaon ki kitab mein likha hai. uski jagah uska beta yahoyakeen raja bana.+
9 yahoyakeen+ jab raja bana tab woh 18 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par teen maheene, das din raaj kiya. woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha.+
10 saal ki shurooat mein* raja nabookadnessar ne apne aadmiyon ko bheja taaki woh yahoyakeen ko pakadkar baibilon le aayen,+ saath hi yahova ke bhavan se keemti cheezen le aayen.+ fir usne yahoyakeen ke chaacha sidkiyah ko yahooda aur yarooshalem ka raja banaya.+
11 sidkiyah+ jab raja bana tab woh 21 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 11 saal raaj kiya.+
12 woh apne parmeshvar yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. usne bhavishyavakta yirmayah ke saamne khud ko namra nahin kiya,+ jo yahova ke aadesh par bolta tha.
13 sidkiyah ne raja nabookadnessar se bhi bagavat ki,+ jisne use parmeshvar ke naam se shapath dharayi thi. sidkiyah dheeth aur kathor bana raha aur usne israel ke parmeshvar yahova ke paas lautne se inkar kar diya.
14 yaajkon ke sabhi pradhanon aur logon ne bhi parmeshvar se vishvasghat karne mein had kar di. unhonne woh saare ghinaune kaam kiye jo doosre raashtra karte the aur yahova ke bhavan ko dooshit kar diya,+ jise parmeshvar ne yarooshalem mein pavitra thehraya tha.
15 unke purkhon ka parmeshvar yahova apne doot bhejkar unhein khabardar karta raha, baar-baar aagah karta raha kyonki uske dil mein apne logon aur nivas ke liye karuna thi.
16 magar woh sachche parmeshvar ke dooton ka mazak udate rahe,+ uski baaton ko tuchh samjha+ aur uske bhavishyavaktaon ki khilli udate rahe.+ aisa woh tab tak karte rahe jab tak ki yahova ka krodh apne logon par bhadak na utha+ aur unke change hone ki koi gunjaish nahin bachi.
17 isliye parmeshvar ne un par kasdiyon ke raja se hamla karaya.+ us raja ne aakaar unke pavitra-sthan mein hi unke javanon ko talvar se maar daala.+ usne ladkon, ladkiyon, boodhon, beemaron sabko maar daala, kisi par bhi taras nahin khaaya.+ parmeshvar ne sabkuch us raja ke haath mein kar diya.+
18 woh sachche parmeshvar ke bhavan ki saari cheezen, har chhoti-badi cheez baibilon le gaya. saath hi yahova ke bhavan ke khazane aur raja aur uske haakimon ke khazane bhi lootkar le gaya.+
19 usne sachche parmeshvar ke bhavan ko jala diya,+ yarooshalem ki sheharpanah tod daali,+ uski saari kileband meenarein jala di aur vahaan ki ek-ek keemti cheez naash kar di.+
20 jo talvar se bach gaye the unhein woh bandi banakar baibilon le gaya+ aur woh tab tak uske aur uske beton ke gulam bane rahe+ jab tak ki faaras ke raajya* ka raaj shuroo na hua.+
21 aisa isliye hua taaki yahova ki woh baat poori ho jo usne yirmayah se kehalvayi thi+ aur un saare sabton ka karz chukaya jaaye jo desh ne tab tak nahin manaye the.+ jitne samay desh ujaad pada raha utne samay yaani 70 saal ke poora hone tak desh ne sabt manaya.+
22 faaras ke raja kusroo+ ke raaj ke pehale saal mein yahova ne uske man ko udhaara ki woh apne poore raajya mein ek ailan karvaye taaki yahova ne yirmayah se jo baatein kehalvayi thi+ woh poori hon. raja kusroo ne yah ailan dastavez mein bhi likhvaya:+
23 “faaras ke raja kusroo ne kaha hai, ‘swarg ke parmeshvar yahova ne dharti ke saare raajya meri mutthi mein kar diye hain+ aur mujhe yah hukm diya hai ki main yahooda ke yarooshalem mein uska bhavan banvaun.+ isliye tummein se jo koi uske logon mein se hai, uske saath uska parmeshvar yahova rahe aur woh yarooshalem jaaye.’”+