doosra itihas 5:1-14

  • mandir ke udghatan ki taiyariyaan (1-14)

    • sandook mandir laaya gaya (2-10)

5  is tarah sulaiman ne yahova ke bhavan ke liye woh saara kaam poora kiya jo use karna tha.+ iske baad sulaiman woh saari cheezen bhavan mein le aaya jo uske pita daavid ne pavitra thehrayi thi.+ usne sona, chaandi aur baaki saari cheezen sachche parmeshvar ke bhavan ke khazanon mein rakh di.+  tab sulaiman ne israel ke sabhi aguvon ko, yaani sabhi gotron ke mukhiyaon aur pitaon ke gharanon ke pradhanon ko yarooshalem bulvaya taaki woh daavidpur yaani siyyon se yahova ke karar ka sandook le aayen. tab woh sabhi yarooshalem aaye.+  israel ke sabhi aadmi saatvein maheene mein tyohar* ke samay raja ke saamne ikattha huye.+  jab israel ke saare aguve aaye to leviyon ne karar ka sandook uthaya.+  yaajak aur levi* karar ka sandook, bheint ka tamboo+ aur usmein rakhi saari pavitra cheezen le aaye.  raja sulaiman aur israel ki poori mandli, jise usne bulvaya tha, karar ke sandook ke saamne haazir the. itni taadad mein bhedon aur gaay-bailon ki bali chadhayi gayi+ ki unki ginti nahin ki jaa sakti thi.  fir yaajak yahova ke karar ka sandook us jagah le aaye jo uske liye banayi gayi thi. woh use bhavan ke bheetri kamre yaani param-pavitra bhaag mein le aaye aur use karoobon ke pankhon ke neeche rakh diya.+  is tarah karoobon ke pankh us jagah ke oopar faile huye the jahaan sandook rakha gaya tha aur karoob, sandook aur uske dandon ko dhaanpe huye the.+  sandook ke dande itne lambe the ki unke sire pavitra bhaag se dikhte the jo bheetri kamre ke saamne tha. magar dandon ke sire baahar se nahin dikhayi dete the. aaj tak ye cheezen vahin rakhi hui hain. 10  sandook mein patthar ki do patiyaon ko chhod aur kuch nahin tha jo moosa ne uske andar rakhi thi. moosa ne ye patiyayen horeb mein us vakt rakhi thi+ jab yahova ne israeliyon ke saath unke misra se nikaalkar aate vakt+ ek karar kiya tha.+ 11  jab yaajak pavitra jagah se baahar nikaal aaye (kyonki vahaan maujood sabhi yaajkon ne khud ko pavitra kiya tha,+ fir chahe woh kisi bhi dal ke the)+ 12  to aasap,+ heman,+ yadootoon+ aur unke beton aur bhaaiyon ke dalon ke sabhi levi gaayak+ behtareen kapde pehne jhaanjh, taaronvale baaje aur surmandal bajate huye vedi ke poorab mein khade the. unke saath 120 yaajak turhiyaan foonkte huye khade the.+ 13  turhiyaan foonknevale aur gaayak sur-mein-sur milakar yahova ki taareef aur uska shukriya ada kar rahe the. unki turhiyon, jhaanjh aur doosre saazon ki tez aavaz goonj rahi thi aur woh yah kehkar yahova ki taareef kar rahe the, “kyonki woh bhala hai, uska atal pyar sada bana rehta hai.”+ jab woh aisa kar rahe the to yahova ka bhavan baadal se bhar gaya.+ 14  baadal ki vajah se yaajak vahaan khade hokar seva nahin kar paaye kyonki sachche parmeshvar yahova ka bhavan uski mahima se bhar gaya tha.+

kai footnote

yaani chhapparon ka tyohar.
ya “levi yaajak.”