doosra itihas 7:1-22

  • mandir yahova ki mahima se bhara (1-3)

  • udghatan samaroh (4-10)

  • yahova sulaiman ke saamne prakat hua (11-22)

7  jaise hi sulaiman ne prarthna khatm ki,+ aakash se aag barsi+ aur hom-bali aur doosre balidan bhasm ho gaye aur bhavan yahova ki mahima se bhar gaya.+  yaajak yahova ke bhavan mein nahin jaa sake kyonki yahova ka bhavan yahova ki mahima se bhar gaya.+  jab aag oopar se barsi aur yahova ki mahima bhavan par chhaa gayi, to sab israeli dekh rahe the. unhonne jhukkar aur farsh par munh ke bal girkar dandvat kiya aur yah kehkar yahova ka shukriya ada kiya, “kyonki woh bhala hai, uska atal pyar sada bana rehta hai.”  fir raja aur sab logon ne yahova ke saamne balidan chadhaye.+  raja sulaiman ne 22,000 bailon aur 1,20,000 bhedon ki bali chadhayi. is tarah raja aur sab logon ne sachche parmeshvar ke bhavan ka udghatan kiya.+  yaajak seva ke liye apni-apni thehrayi jagah khade the aur woh levi bhi khade the jinke paas yahova ke liye geet gaate samay bajanevale saaz hote the.+ (raja daavid ne ye saaz isliye banaye the taaki ye us vakt bajaye jaayen jab woh unke* saath parmeshvar ki taareef kare aur yah kehkar yahova ka shukriya ada kare, “kyonki uska atal pyar sada bana rehta hai.”) aur unke saamne yaajak zor-zor se turhiyaan foonk rahe the+ aur saare israeli vahaan khade the.  fir sulaiman ne yahova ke bhavan ke saamnevale aangan ke beech ka hissa pavitra thehraya kyonki vahaan par use hom-baliyaan aur shaanti-baliyon ki charbi chadhani thi.+ usne ye saare balidan vahaan isliye chadhaye kyonki uski banayi tambe ki vedi+ par itni taadad mein hom-baliyaan, anaj ke chadhave+ aur charbi nahin chadhayi jaa saki.+  is mauke par sulaiman ne saat din tak israeliyon ki ek badi bheed ke saath milkar tyohar manaya.+ is bheed mein lebo-hamat* se lekar misra ghaati* tak ke saare log shaamil the.+  magar aathvein din* unhonne ek pavitra sabha rakhi+ kyonki unhonne saat din tak vedi ka udghatan kiya tha aur saat din tyohar manaya tha. 10  fir saatvein maheene ke 23vein din sulaiman ne logon ko apne-apne ghar bhej diya. yahova ne daavid aur sulaiman aur apni praja israel ki khaatir jo bhalai ki thi, usse unka dil khushi se umad raha tha+ aur woh sab aanand manate huye apne-apne ghar laute.+ 11  is tarah sulaiman ne yahova ka bhavan aur raajmahal banane ka kaam poora kiya.+ usne yahova ke bhavan aur apne mahal mein jo bhi banana chaha, woh sab banane mein kaamyab raha.+ 12  fir yahova raat ke vakt sulaiman ke saamne prakat hua+ aur usse kaha, “mainne teri prarthna suni hai aur mainne yah jagah apne liye balidan ki jagah thehrayi hai.+ 13  jab main aakash ke jharokhe band kar doon aur baarish na ho aur main tiddiyon ko aadesh doon ki woh is zameen ko chat kar jaayen aur apne logon mein mahamari bhejoon, 14  tab agar mere log jo mere naam se jaane jaate hain,+ khud ko namra karein+ aur prarthna karke meri manzoori paane ki koshish karein aur apni buri raahon se fir jaayen,+ to main swarg se unki prarthna sunoonga aur unke paap maaf karoonga aur unke desh ko changa karoonga.+ 15  is jagah par jo log prarthna kareinge, main unki sunoonga aur meri nazar un par bani rahegi.+ 16  mainne yah bhavan chuna hai aur ise pavitra kiya hai taaki sada tak mera naam isse juda rahe+ aur main iski dekhbhal ke liye hamesha apni aankhein is par lagaye rakhoonga aur yah bhavan sada mere dil ke kareeb rahega.+ 17  aur agar tu woh sab karega jiski mainne tujhe aagya di hai aur mere niyam aur nyay-siddhaant maanega aur is tarah apne pita daavid ki tarah mere saamne sahi raah par chalega,+ 18  to main teri raajgaddi hamesha ke liye kaayam rakhoonga,+ theek jaise mainne tere pita daavid se yah karar kiya tha,+ ‘aisa kabhi nahin hoga ki israel ki raajgaddi par baithne ke liye tere vansh ka koi aadmi na ho.’+ 19  lekin agar tu mujhse munh fer lega aur meri aagyaon aur vidhiyon ko maanna chhod dega jo mainne tujhe di hain aur jaakaar paraye devtaon ki pooja karega aur unhein dandvat karega,+ 20  to main israel ko apne desh se ukhaad feinkoonga jo mainne use diya hai+ aur is bhavan ko, jise mainne apne naam ki mahima ke liye pavitra thehraya hai, apni nazron se door kar doonga. yah bhavan sab deshon mein mazak* bankar reh jaayega, iski barbadi dekhkar sab hanseinge.+ 21  aur yah bhavan malbe ka dher ho jaayega. iske paas se guzarnevala har koi ise fati aankhon se dekhta reh jaayega+ aur kahega, ‘yahova ne is desh ki aur is bhavan ki aisi haalaat kyon kar di?’+ 22  fir woh kaheinge, ‘woh isliye ki unhonne apne purkhon ke parmeshvar yahova ko chhod diya+ jo unhein misra se nikaal laaya tha+ aur unhonne doosre devtaon ko apna liya aur woh unhein dandvat karke unki seva karne lage.+ iseeliye woh un par yah sankat le aaya.’”+

kai footnote

shaayad yahaan leviyon ki baat ki gayi hai.
ya “hamat ke pravesh.”
shabdavli dekhein.
tyohar ke baadvala din ya 15vaan din.
shaa., “kahavat.”