doosra itihas 8:1-18

  • sulaiman ke doosre nirman kaam (1-11)

  • mandir mein upasna ki vyavastha (12-16)

  • sulaiman ke jahazon ka lashkar (17, 18)

8  sulaiman ko yahova ka bhavan aur apna raajmahal banane mein poore 20 saal lage.+ iske baad  usne woh shehar dobara banaye jo heeram+ ne use diye the aur vahaan israeliyon* ko basaya.  iske alava, sulaiman ne hamat-soba jaakaar us par kabza kar liya.  fir usne veerane mein tadmor aur un sabhi godamvale shehron ko mazboot kiya*+ jo usne hamat mein banaye the.+  usne oopri bet-horon+ aur nichli bet-horon+ ki deevarein, faatak aur bede banakar un shehron ko bhi mazboot kiya.  sulaiman ne baalat+ aur apne sabhi godamvale shehar, rathon ke shehar+ aur ghudsavaaron ke liye shehar bhi banaye aur yarooshalem aur labanon mein aur apne raajya ke poore ilake mein woh jo-jo banana chahta tha woh sab usne banaya.  hittiyon, emoriyon, parijjiyon, hivviyon aur yaboosiyon+ mein se bache huye log, jo israel ki praja nahin the+  aur jinhein israeliyon ne nahin mitaya tha, unke vanshaj israel desh mein rehte the.+ sulaiman ne in logon ko jabran mazdoori mein laga diya aur aaj tak woh yahi kaam karte hain.+  magar sulaiman ne kisi bhi israeli ko gulam banakar usse mazdoori nahin karvayi.+ woh to uske yoddha, sahayak sena-adhikariyon ke mukhiya aur saarthiyon aur ghudsavaaron ke pradhan the.+ 10  raja sulaiman ke kaam ki nigrani karnevale adhikariyon ki ginti 250 thi. unhein karamchariyon par adhikar diya gaya tha.+ 11  sulaiman firaun ki beti+ ko daavidpur se us mahal mein le aaya jo usne uske liye banvaya tha+ kyonki usne kaha, “bhale hi woh meri patni hai, magar woh israel ke raja daavid ke mahal mein nahin reh sakti kyonki jin jagahon par yahova ka sandook aaya hai woh pavitra hain.”+ 12  fir sulaiman ne yahova ki us vedi+ par yahova ke liye hom-baliyaan chadhayin+ jo usne baramde ke saamne banayi thi.+ 13  woh moosa ki aagya ke mutabik har din, sabt ke din,+ naye chaand ke maukon par+ aur saal ke in teen tyoharon par balidan chadhata tha:+ bin-khameer ki roti ka tyohar,+ katai ka tyohar+ aur chhapparon ka tyohar.+ 14  saath hi, usne apne pita daavid ke kaayde ke mutabik yaajkon ko seva ke liye alag-alag dalon mein thehraya+ aur leviyon ko unki zimmedariyaan saunpin taaki woh roz ke niyam ke mutabik parmeshvar ki taareef karein+ aur yaajkon ke saamne seva karein. usne pehredaron ke dalon ko alag-alag faatkon par thehraya+ kyonki sachche parmeshvar ke sevak daavid ne aisa karne ki aagya di thi. 15  raja ne yaajkon aur leviyon ko bhandar-gharon ke maamle mein ya kisi aur maamle mein jo bhi aagya di thi use maanne se woh nahin chooke. 16  jis din yahova ke bhavan ki buniyad daali gayi+ tab se lekar use banane ka kaam poora karne tak sulaiman ne har kaam ki achhi vyavastha ki.* is tarah yahova ke bhavan ka kaam poora hua.+ 17  iske baad sulaiman esyon-geber+ aur elot+ gaya jo edom desh ke tat par hain.+ 18  heeram+ ne apne sevkon ke zariye apne jahaz aur tajurbekar naavik sulaiman ke paas bheje. woh sulaiman ke sevkon ke saath milkar opeer+ gaye aur vahaan se 450 tode* sona+ raja sulaiman ke paas le aaye.+

kai footnote

shaa., “israel ke beton.”
ya “dobara banaya.”
ya “ka achha intazam kiya; poora kiya.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.