doosra itihas 9:1-31

  • sheeba ki raani milne aayi (1-12)

  • sulaiman ki daulat (13-28)

  • sulaiman ki maut (29-31)

9  sheeba ki raani+ ne sulaiman ki shohrat ke baare mein suna, isliye woh yarooshalem aayi taaki behad mushkil aur pecheeda savalon se* use parkhe. uske saath ek bahot bada aur shaandar kaarvaan aaya. woh apne saath balsan ke tel, bhaari taadad mein sone+ aur anmol ratnon se lade unt laayi. jab woh sulaiman ke paas aayi to uske man mein jitne bhi saval the, woh sab usne raja se poochhe.+  aur sulaiman ne uske sabhi savalon ke javab diye. aisi koi baat nahin thi* jiske baare mein use samjhana sulaiman ke liye mushkil raha ho.  jab sheeba ki raani ne sulaiman ki buddhi,+ uska banaya raajmahal,+  mez par laga shaahi khaana,+ uske adhikariyon ke baithne ke liye kiya gaya intazam, khaana parosnevalon ki sevayen aur unki khaas poshak, uske saaki aur unki khaas poshak aur woh hom-baliyaan dekhin jinhein woh niyamit taur par yahova ke bhavan mein chadhaya karta tha,+ to woh aisi dang reh gayi ki uski saans oopar-ki-oopar aur neeche-ki-neeche reh gayi.  usne raja se kaha, “mainne apne desh mein teri kaamyabiyon* ke baare mein aur teri buddhi ke baare mein jo charche sune the, woh bilkul sahi the.  lekin mainne tab tak yakeen nahin kiya jab tak mainne yahaan aakaar khud apni aankhon se nahin dekha.+ ab main dekh sakti hoon ki teri buddhi vaakai laajavab hai. mujhe lagta hai ki mujhe iska aadha bhi nahin bataya gaya tha.+ mainne tere baare mein jo suna tha, tu usse kahin zyada mahan hai.+  tere in aadmiyon aur sevkon ko kitna bada samman mila hai ki woh har samay tere saamne rehkar tere munh se buddhi ki baatein sunte hain!  tere parmeshvar yahova ki badai ho, jisne tujhse khush hokar tujhe apni raajgaddi par bithaya taaki tu apne parmeshvar yahova ki taraf se raaj kare. tera parmeshvar israel se pyar karta hai+ aur use sada tak kaayam rakhna chahta hai, iseeliye usne tujhe israel ka raja thehraya taaki tu nyay aur neki kare.”  iske baad sheeba ki raani ne raja ko 120 tode* sona, bahot saara balsan ka tel aur anmol ratna tohfe mein diye.+ usne raja sulaiman ko jitna balsan ka tel diya tha utna fir kabhi kisi ne nahin diya.+ 10  iske alava, heeram ke sevak aur sulaiman ke sevak, jo opeer se sona laaya karte the,+ vahaan se anmol ratna aur laal-chandan ki lakdi bhi laate the.+ 11  raja ne laal-chandan ki lakdi se yahova ke bhavan ke liye aur raajmahal+ ke liye seedhiyaan banayin,+ saath hi us lakdi se gaaykon ke liye surmandal aur taaronvale doosre baaje banaye.+ itni umda cheezen yahooda desh mein pehale kabhi nahin dekhi gayi thi. 12  raja sulaiman ne bhi sheeba ki raani ko woh sab diya jo usne maanga. raani uske liye jitne tohfe laayi thi usse kai guna zyada cheezen raja ne use di.* fir raani apne sevkon ke saath apne desh laut gayi.+ 13  sulaiman ko har saal kareeb 666 tode sona milta tha.+  14  iske alava use saudagaron, len-den karnevale vyapariyon aur arab ke sab raajaon aur desh ke raajyapalon se bhi sona milta tha kyonki woh sona-chaandi laakaar use dete the.+ 15  raja sulaiman ne mishrit sone ki 200 badi-badi dhaalein+ (har dhaal mein 600 shekel* sona laga tha)+ 16  aur 300 chhoti-chhoti dhaalein* banayin (har chhoti dhaal mein teen meena* sona laga tha). raja ne ye dhaalein ‘labanon ke van bhavan’ mein rakhin.+ 17  raja ne haathi-daant ki ek badi raajgaddi bhi banayi aur us par shuddh sona madha.+ 18  raajgaddi tak jaane ke liye chhe seedhiyaan thi aur raajgaddi se paanvon ki chauki lagi thi jo sone ki thi. raajgaddi ke donon taraf haath rakhne ke liye tek bani thi aur donon taraf tek ke paas ek-ek sher+ khada hua bana tha. 19  raajgaddi tak jaanevali chhe seedhiyon mein se har seedhi ke donon taraf bhi ek-ek sher khada hua bana tha yaani kul milakar 12 sher the.+ aisi raajgaddi kisi aur raajya mein nahin thi. 20  raja sulaiman ke sabhi pyale sone ke the aur ‘labanon ke van bhavan’ ke saare bartan bhi shuddh sone ke the. ek bhi cheez chaandi ki nahin thi kyonki sulaiman ke dinon mein chaandi ka koi mol nahin tha.+ 21  raja ke jahaz heeram ke sevkon ke saath tarsheesh+ jaate the.+ har teen saal mein ek baar tarsheesh ke jahazon ka lashkar sona, chaandi, haathi-daant,+ bandar aur mor laata tha. 22  raja sulaiman itna buddhiman tha aur uske paas daulat ka aisa ambaar tha ki duniya ka koi bhi raja uski barbari nahin kar sakta tha.+ 23  sachche parmeshvar ne use bahot buddhi di thi aur uski buddhi ki baatein sunnae dharti ke kone-kone se raja uske paas aaya karte the.*+ 24  jab bhi koi sulaiman ke paas aata to woh tohfe mein raja ko sone-chaandi ki cheezen, kapde,+ hathiyar, balsan ka tel, ghode aur khachchar deta tha. aisa saal-dar-saal chalta raha. 25  sulaiman ke paas ghodon aur rathon ke liye 4,000 astabal the aur uske 12,000 ghode* the.+ usne inhein rathon ke shehron mein aur yarooshalem mein apne paas rakha tha.+ 26  woh mahanadi* se lekar palishtiyon ke desh aur misra ki sarhad tak ke sabhi raajaon par raaj karta tha.+ 27  raja ne yarooshalem mein itni taadad mein chaandi ikatthi kee ki woh patthar jitni aam ho gayi thi aur usne devdar ki itni saari lakdi ikatthi kee ki uski taadad shafelah ke goolar pedon jitni ho gayi thi.+ 28  sulaiman ke liye misra aur doosre deshon se ghode laaye jaate the.+ 29  sulaiman ki zindagi ki baaki kahani+ yaani shuroo se lekar aakhir tak ka itihas bhavishyavakta naatan ke lekhanon mein,+ sheelo ke rehnevale ahiyah ki bhavishyavani ki kitab mein+ aur darshi iddo ki us kitab mein likha hai+ jismein nabat ke bete yaarobam+ ke baare mein darshan likhe hain. 30  sulaiman ne yarooshalem mein rehkar poore israel par 40 saal raaj kiya. 31  fir uski maut ho gayi* aur use uske pita daavid ke shehar daavidpur mein dafnaya gaya.+ uski jagah uska beta rahoobiyam raja bana.+

kai footnote

ya “taaki paheliyaan poochhkar.”
shaa., “koi baat usse chhipi na thi.”
ya “baaton.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya shaayad, “uske barbar ki keemat ke tohfe bhi raja ne use diye.”
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kh14 dekhein.
ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
ibrani shastra mein bataye ek meena ka vazan 570 g. tha. ati. kh14 dekhein.
shaa., “uska munh dekhna chahte the.”
ya “ghudsavaar.”
yaani farat nadi.
shaa., “woh apne purkhon ke saath so gaya.”