kurinthiyon ke naam doosri chitthi 1:1-24
1 main paulus jo parmeshvar ki marzee se maseeh yeeshu ka ek preshit hoon, hamare bhaai timuthiyus+ ke saath kurinth ke tum bhaaiyon ko likh raha hoon jo parmeshvar ki mandli ho. yah chitthi un sabhi pavitra janon ke liye bhi hai jo poore akhaya+ mein hain.
2 hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.
3 hamare prabhu yeeshu maseeh ke parmeshvar aur pita+ ki taareef ho. woh komal daya ka pita hai+ aur har tarah ka dilasa denevala parmeshvar hai.+
4 woh hamari sab pareekshaon mein hamein dilasa* deta hai+ taaki hum kisi bhi tarah ki pareeksha ka saamna karnevalon ko vahi dilasa de sakein+ jo hamein parmeshvar se milta hai.+
5 isliye ki jaise maseeh ki khaatir hum bahot dukh jhelte hain,+ vaise maseeh ke zariye hum bahot dilasa bhi paate hain.
6 chahe hum pareekshaon ka saamna karein, to bhi yah tumhare dilase aur uddhaar ke liye hai. aur jab hum dilasa paate hain to isse tumhein bhi dilasa milta hai. yah dilasa tumhein woh saare dukh sehne mein madad dega jo hum bhi sah rahe hain.
7 tumhare baare mein hamari aasha atal hai kyonki hum jaante hain ki jaise tum hamari tarah dukh jhelte ho vaise hi tum hamari tarah dilasa bhi paaoge.+
8 bhaaiyo, hum nahin chahte ki tum is baat se anjan raho ki hamne asia praant mein kaisi museebat jheli thi.+ hum itni takaleefon se guzre ki unhein sehna hamari bardasht se baahar tha. hamein to laga ki hum shaayad zinda hi nahin bacheinge.+
9 hamein to yahaan tak laga ki hamein maut ki saza suna di gayi hai. yah isliye hua taaki hum khud par nahin balki us parmeshvar par bharosa rakhein+ jo mare huon ko zinda karta hai.
10 usne hamein maut ke bahot bade khatre se bachaya hai aur bachayega. hamari aasha hai ki woh hamein aage bhi bachata rahega.+
11 tum bhi hamare liye minnatein karke hamari madad kar sakte ho+ taaki bahoton ki prarthnaon ki vajah se hum par kripa ki jaaye aur badle mein bahot-se log hamari taraf se dhanyavad de sakein.+
12 hamein is baat ka garv hai aur hamara zameer bhi gavahi deta hai ki hum duniya mein aur khaaskar tumhare beech aisi pavitrata aur seedhai se rahe hain jo parmeshvar sikhata hai aur hum duniyavi buddhi par nahin+ balki parmeshvar ki maha-kripa par nirbhar rahe hain.
13 darasal, hum un baaton ko chhod tumhein aur kuch nahin likh rahe jinhein tum padhkar* samajh sakte ho. aur main aasha karta hoon ki tum in baaton ko poori tarah* samjhoge
14 theek jaise kuch had tak tum samajhte bhi ho ki hum tumhare liye garv karne ki vajah hain aur tum bhi hamare prabhu yeeshu ke din hamare liye garv karne ki vajah thehroge.
15 isi bharose ke saath mainne socha tha ki tumhare paas doosri baar aaun taaki tumhein khushi ka ek aur mauka mile.*
16 kyonki mainne socha tha ki makiduniya jaate vakt aur vahaan se lautte vakt raaste mein tumse miloonga aur fir tum kuch door aakaar mujhe yahoodiya ke liye vida karoge.+
17 jab mainne yah irada kiya tha to kya mainne bina soche-samjhe aisa kiya tha? jab main kuch irada karta hoon to kya sirf apni man-marzee karne ke liye aisa karta hoon ki pehale to “haan-haan” kahoon magar fir “na-na”?
18 magar jaise parmeshvar par bharosa kiya jaa sakta hai, vaise hi tum hum par bhi bharosa kar sakte ho ki jab hum tumse “haan” kehte hain, to uska matlab “na” nahin hota.
19 isliye ki parmeshvar ka beta maseeh yeeshu, jiska hamne yaani mainne, silvanus* aur timuthiyus+ ne tumhare beech prachar kiya tha, woh pehale “haan” aur fir “na” nahin hua balki uske maamle mein “haan” ka matlab hamesha “haan” hua hai.
20 isliye ki parmeshvar ke chahe kitne hi vaade hon, woh sab usi ke zariye “haan” huye hain.+ isliye usi ke zariye hum parmeshvar se “aameen” kehte hain+ aur isse parmeshvar ki mahima hoti hai.
21 magar jo is baat ka pakka yakeen dilata hai ki tum aur hum maseeh ke hain aur jisne hamara abhishek kiya hai, woh parmeshvar hai.+
22 usne hum par apni muhar bhi lagayi hai+ aur jo aanevala hai uska bayana diya* hai yaani pavitra shakti,+ jo usne hamare dilon mein di hai.
23 main ab tak kurinth sirf isliye nahin aaya kyonki main tumhein aur zyada dukhi nahin karna chahta tha. agar yah baat jhooth hai to parmeshvar mere khilaf gavahi de.
24 aisi baat nahin ki hum tumhare vishvas ke maalik hain+ balki hum tumhari khushi ke liye tumhare sehkarmi hain, kyonki tum apne hi vishvas ki vajah se khade ho.
kai footnote
^ ya “hausla.”
^ ya shaayad, “jinhein tum pehale se achhi tarah jaante ho.”
^ shaa., “aakhir tak.”
^ ya shaayad, “taaki tumhein do baar faayda ho.”
^ seelas bhi kehlata tha.
^ ya “nishani di; pakka saboot diya.”