kurinthiyon ke naam doosri chitthi 11:1-33
11 kaash! tum meri thodi-si moorkhta bardasht kar lete. sach to yah hai ki tum mujhe bardasht kar bhi rahe ho!
2 mujhe tumhare liye bahot chinta* hai, jaisi chinta parmeshvar ko hai kyonki mainne hi tumhari sagai ek aadmi yaani maseeh se karvayi hai taaki tumhein ek pavitra kunvari ki tarah use saunp doon.+
3 magar mujhe dar hai ki jaise saanp ne chaalaaki se havva ko behka liya tha,+ vaise hi tumhari soch na bigaad jaaye aur tumhari seedhai aur pavitrata bhrasht na ho jaaye jise paane ka hakdar maseeh hai.+
4 agar koi aakaar kisi aur yeeshu ka prachar karta hai jiska prachar hamne nahin kiya, ya koi aakaar tumhare andar aisa rujhan paida karna chahta hai jo tumhare rujhan* se hatkar hai, ya aisi khushkhabri sunata hai jo us khushkhabri se alag hai jo tumne sweekar ki thi,+ to tum badi aasani se uski baat maan lete ho.
5 main samajhta hoon ki main tumhare maha-preshiton se ek bhi baat mein kam nahin hoon.+
6 chahe main bolne mein anadi sahi,+ magar gyaan mein hargiz nahin hoon aur hamne yah gyaan har baat mein aur har tarah se tum par zahir kiya hai.
7 ya jab mainne khud ko isliye chhota kiya ki tum bade ho jaao aur bina koi daam liye tumhein khushi-khushi parmeshvar ki khushkhabri sunayi, to kya koi paap kiya?+
8 mainne doosri mandliyon se unki zaroorat ki cheezen* lin* taaki tumhari seva karoon.+
9 fir bhi jab main tumhare yahaan tha aur mujh par bhaari tangi aa padi, tab main kisi par bhi bojh nahin bana kyonki makiduniya se aaye bhaaiyon ne zaroorat se zyada cheezen dekar meri madad ki.+ haan, mainne har tarah se koshish ki ki tum par bojh na banoon aur aage bhi meri yahi koshish rahegi.+
10 jaise yah baat pakki hai ki maseeh ki sachchai mujhmein hai, vaise hi yah baat bhi pakki hai ki main akhaya ke ilakon mein is baat par garv karna nahin chhodoonga.+
11 kya iski vajah yah hai ki main tumse pyar nahin karta? parmeshvar jaanta hai ki main karta hoon.
12 lekin main jo kar raha hoon use karta rahoonga+ taaki jo hamare barbar darja rakhne ki shekhi maarte hain aur hamari barbari karne ke liye kisi mauke ki talash mein rehte hain unhein koi mauka na doon.
13 aise aadmi jhoothe preshit hain, chhal se kaam karte hain aur maseeh ke preshit hone ka dhong karte hain.+
14 ismein koi taajjub nahin kyonki shaitan khud bhi raushni denevale swargdoot ka roop dhaaran karta hai.+
15 isliye agar uske sevak bhi neki ke sevak hone ka dhong karte hain, to yah koi anokhi baat nahin hai. magar unka ant unke kaamon ke hisab se hoga.+
16 main fir kehta hoon ki koi yah na soche ki main moorkh hoon. agar tum aisa sochte bhi ho, to moorkh jaankar hi mujhe bardasht kar lo taaki main thoda aur garv kar sakoon.
17 main jo kah raha hoon woh prabhu ki misal par chalte huye nahin kah raha, balki main unki tarah bol raha hoon jo moorkh hain aur khud par bahot ghamand karte hain aur shekhi maarte hain.
18 bahot-se log duniyavi baaton* par shekhi maar rahe hain, isliye main bhi shekhi maaroonga.
19 kyonki tum to itne samajhdar ho ki moorkhon ki baatein khushi-khushi seh lete ho.
20 yahi nahin, tum aise har insan ko bardasht kar lete ho jo tumhein apna gulam bana leta hai, tumhari jaaydad hadap leta hai, jo tumhare paas hai use chheen leta hai, tumhare sir par savaar ho jaata hai aur tumhare munh par thappad maarta hai.
21 mere liye yah kehna sharm ki baat hai, kyonki kuch logon ko lagta hai ki hum itne kamzor hain ki apna adhikar sahi tarah se nahin chala rahe.
lekin agar kisi ko shekhi maarne mein sharm nahin aati to main bhi shekhi maarne mein sharm nahin karoonga, fir chahe koi mujhe moorkh hi kyon na samjhe.
22 kya woh ibrani hain? main bhi hoon.+ kya woh israeli hain? main bhi hoon. kya woh abraham ke vanshaj* hain? main bhi hoon.+
23 kya woh maseeh ke sevak hain? main paagalon ki tarah chilla-chillakar kehta hoon, main unse kahin badhkar hoon: mainne zyada mehnat ki hai,+ main baar-baar jel gaya,+ kitni hi baar mainne maar khaayi aur kai baar main marte-marte bacha.+
24 paanch baar mainne yahoodiyon se untalees-untalees kode khaaye,+
25 teen baar mujhe dandon se peeta gaya,+ ek baar mujhe pattharon se maara gaya,+ teen baar aisa hua ki main jin jahazon mein safar kar raha tha woh samundar mein toot gaye,+ ek raat aur ek din mainne samundar ke beech kaata.
26 main baar-baar safar ke khatron se, nadiyon ke khatron se, daakuon ke khatron se, apne hi logon se aaye khatron se,+ doosre raashtron ke logon se aaye khatron se,+ shehar ke khatron se,+ veerane ke khatron se, samundar ke khatron se, jhoothe bhaaiyon ke beech rehne ke khatron se guzra hoon.
27 mainne kadi mehnat aur sangharsh karne mein, aksar raat-raat bhar jaagte rehne mein,+ bhookh aur pyas mein,+ kai baar bhookhe pet rehne mein,+ thand mein aur kapdon ki kami* jhelte huye din bitaye hain.
28 in sab baaton ke alava har din saari mandliyon ki chinta mujhe khaaye jaati hai.+
29 kiski kamzori se main khud kamzor mehsoos nahin karta? kiske thokar khaane se mera ji nahin jalta?
30 agar mujhe shekhi maarni hi hai, to main un baaton par shekhi maaroonga jinse meri kamzoriyaan pata chalti hain.
31 prabhu yeeshu ka parmeshvar aur pita, jiski taareef sada hoti rahegi, jaanta hai ki main jhooth nahin bol raha.
32 damishk mein aritas raja ke adheen jo raajyapal tha, usne mujhe pakadne ke liye damishk ke shehar mein pehra bitha rakha tha
33 magar mujhe ek bade tokre mein bithakar shehar ki deevar mein bani ek khidki se neeche utar diya gaya+ aur main uske haath se bach gaya.
kai footnote
^ ya “jalan.” shaa., “parmeshvar jaisa josh.”
^ ya “parmeshvar ki shakti.”
^ ya “madad.”
^ shaa., “lootin.”
^ yaani insani baaton.
^ shaa., “beej.”
^ shaa., “nangapan.”