kurinthiyon ke naam doosri chitthi 12:1-21

  • paulus ke darshan (1-7k)

  • paulus ke “shareer mein ek kaanta” (7kh-10)

  • maha-preshiton se kam nahin (11-13)

  • kurinthiyon ke liye paulus ki chinta (14-21)

12  shekhi maarne se koi faayda to nahin, fir bhi mujhe aisa karna hi hoga. magar ab main prabhu ke dikhaye chamatkari darshanon+ aur usse mile sandeshon ke baare mein batana chahoonga.  main maseeh mein ek aadmi ko jaanta hoon jise 14 saal pehale teesre swarg mein utha liya gaya tha. use shareer ke saath uthaya gaya ya shareer ke bina, yah main nahin jaanta parmeshvar hi jaanta hai.  haan, main us aadmi ko jaanta hoon. use shareer ke saath uthaya gaya ya shareer ke bina, yah main nahin jaanta parmeshvar hi jaanta hai.  use uthakar firdaus mein le jaaya gaya aur usne aisi baatein sunin jo boli nahin jaa saktin aur jinhein kehne ki ek insan ko ijazat nahin.  main aise insan ke baare mein shekhi maaroonga, magar jahaan tak meri baat hai main apni kamzoriyon ko chhod kisi aur baat par shekhi nahin maaroonga.  agar main kabhi shekhi maarna bhi chahoon, to main moorkh nahin thehroonga kyonki main sach hi kahoonga. lekin main shekhi nahin maarta taaki koi bhi mujhe zyada shrey na de, siva un baaton ke jo usne mujhe karte dekha hai aur bolte suna hai.  koi mujhe sirf isliye bada na samjhe ki mujh par anokhe rehasya prakat kiye gaye hain. kahin main ghamand se fool na jaaun isliye mere shareer mein ek kaanta chubhaya gaya hai+ jo shaitan ke ek doot jaisa hai taaki woh mujhe thappad maarta* rahe jisse ki main khud ko had-se-zyada bada na samjhoon.  mainne prabhu se teen baar gidgidakar binti ki thi ki yah kaanta nikaal diya jaaye.  magar prabhu ne mujhse kaha, “meri maha-kripa tere liye kaafi hai. jab tu kamzor hota hai tab meri taakat poori tarah dikhayi deti hai.”+ isliye main badi khushi se apni kamzoriyon ke baare mein shekhi maaroonga taaki maseeh ki taakat tamboo ki tarah mere oopar chhaayi rahe. 10  main maseeh ki khaatir kamzoriyon mein, beizzati mein, tangi mein, zulmon aur mushkilon mein khush hota hoon. kyonki jab main kamzor hota hoon, tabhi taakatvar hota hoon.+ 11  main moorkh bana. tumne mujhe aisa banne ke liye majboor kiya. hona to yah chahiye tha ki tum meri taraf se bolte kyonki main tumhare maha-preshiton se ek baat mein bhi kam nahin hoon, bhale hi main tumhari nazar mein kuch nahin.+ 12  sach to yah hai ki tumne khud apni aankhon se mere preshit-pad ke saboot dekhe the, jo mainne bahot dheeraj dharte huye,+ saath hi chinh aur chamatkar aur shaktishali kaamon se dikhaye the.+ 13  mainne tum par kisi bhi tarah ka bojh nahin daala, sirf isi maamle mein tum doosri mandliyon se alag ho.+ kya mainne kuch galat kiya? agar haan, to mujhe maaf karna. 14  dekho! yah teesri baar hai ki main tumhare paas aane ke liye taiyar hoon, fir bhi main tum par bojh nahin banoonga kyonki main tumhari daulat nahin chahta,+ tumhein chahta hoon. bachchon+ se ummeed nahin ki jaati ki woh maa-baap ke liye paise bachakar rakhein, balki maa-baap se ummeed ki jaati hai ki woh bachchon ke liye paise bachakar rakhein. 15  main tumhari khaatir hanste-hanste kharch karoonga, yahaan tak ki khud bhi poori tarah kharch ho jaaunga.+ jab main tumse itna pyar karta hoon to kya mujhe kam pyar milna chahiye? 16  mainne tum par koi bojh nahin daala,+ fir bhi tum kehte ho ki main chaalaak tha aur mainne tumhein chhal se fansa liya. 17  aur mainne jitnon ko bhi tumhare paas bheja, unmein se ek ke zariye bhi mainne tumhara faayda nahin uthaya. kya uthaya? 18  mainne titus se guzarish ki aur uske saath ek bhaai ko bheja. titus ne tumhara bilkul bhi faayda nahin uthaya, kya uthaya?+ kya hamne ek hi tarah ka jazba nahin dikhaya? kya hum ek hi raah par nahin chale? 19  kya ab tak tum yah soch rahe ho ki hum tumhare saamne apni safai pesh kar rahe hain? hum tumhare saamne nahin, parmeshvar ke saamne maseeh mein safai de rahe hain. lekin pyare bhaaiyo, hum sabkuch tumhein mazboot karne ke liye karte hain. 20  mujhe dar hai ki jab main tumhare paas aaun to main tumhein aisa na paaun jaisa main chahta hoon aur tum bhi mujhe vaisa na paao jaisa tum chahte ho. kahin aisa na ho ki tummein takrar, jalan, gusse se aag-baboola hona, jhagde, peeth peechhe badnam karna, chugli lagana,* ghamand se foolna aur hangame paaye jaayen. 21  jab main dobara tumhare paas aaun to mera parmeshvar kahin tumhare saamne mujhe sharminda na kare aur mujhe aise kai logon ke liye shok na manana pade jinhonne pehale paap kiya tha aur jo ashuddhta, naajayaz yaun-sambandh* aur nirlajj kaamon* mein lage rahe aur pashchatap nahin kiya.

kai footnote

ya “mujhe peetta.”
ya “gapshap karna.”
yoonani mein porniya. shabdavli dekhein.
ya “sharmnak bartav.” shabdavli dekhein.