kurinthiyon ke naam doosri chitthi 3:1-18
3 kya hamein ek baar fir naye sire se tumhein apna parichay dena hoga maano tum hamein jaante hi nahin? ya kuch logon ki tarah, kya hamein bhi apne liye tumhein sifarishi chitthiyaan deni hongi ya tumse sifarishi chitthiyaan leni hongi?
2 hamari sifarishi chitthi tum khud ho,+ jo hamare dilon par likhi hai aur jise saari duniya jaanti aur padhti hai.
3 yah baat zahir hai ki tum maseeh ki chitthi ho jise hum sevkon+ ne syahi se nahin, balki jeevit parmeshvar ki pavitra shakti se likha hai aur ise patthar ki patiyaon+ par nahin balki dilon par likha hai.+
4 maseeh ke zariye parmeshvar ke saamne hum yahi bharosa rakhte hain.
5 hum yah nahin kehte ki hammein jo zaroori yogyata hai yah hamari apni vajah se hai, balki hammein jo zaroori yogyata hai woh parmeshvar ki badaulat hai.+
6 vaakai usi ne hamein zaroorat ke hisab se yogya banaya hai ki hum kisi likhit kaanoon+ ke nahin, balki ek naye karar ke+ aur pavitra shakti ke sevak banein. kyonki likhit kaanoon to maut ki saza sunata hai+ magar pavitra shakti jeevan deti hai.+
7 yahi nahin, agar woh kaanoon jo maut deta hai aur jo pattharon par khodkar likha gaya tha,+ itni mahima ke saath diya gaya ki israeli log moosa ke chehre se nikaalnevale tej ki vajah se use nahin dekh sake,+ jabki woh aisa tej tha jise mit jaana tha,
8 to pavitra shakti aur bhi zyada mahima ke saath kyon nahin di jaayegi?+
9 agar doshi thehranevala kaanoon+ mahima se bharpoor tha,+ to nek thehranevali seva aur bhi kitni mahima se bharpoor hogi!+
10 darasal jise ek vakt mahima se bharpoor kiya gaya tha, uski mahima chheen li gayi kyonki jo mahima baad mein aayi woh usse bhi badhkar thi.+
11 to jise mita diya jaana tha agar use mahima ke saath laaya gaya tha,+ to jo rehnevala hai uski mahima aur kitni badhkar hogi!+
12 hamare paas aisi aasha hai+ isliye hum badi himmat ke saath bejhijhak bolte hain
13 aur hum woh nahin karte jo moosa karta tha. woh apna chehra parde se dhak leta tha+ taaki israeli us kaanoon ki mahima ko ektak na dekh sakein jise baad mein mita diya jaata.
14 magar unki sochne-samajhne ki shakti mand pad gayi thi.+ aaj ke din tak jab purana karar padha jaata hai to unke dilon par vahi parda pada rehta hai,+ kyonki woh parda sirf maseeh ke zariye hataya jaa sakta hai.+
15 asal mein, aaj ke din tak jab kabhi moosa ki kitabein padhkar sunayi jaati hain,+ to unke dilon par parda pada rehta hai.+
16 magar jab koi palatkar yahova* ke paas aata hai, to woh parda hata diya jaata hai.+
17 yahova* adrishya hai+ aur jahaan yahova* ki pavitra shakti hai, vahaan aazadi hai.+
18 hamare chehre par parda nahin pada hai aur hum sab aaine ki tarah yahova* ki mahima jhalkate hain. is dauran hamari chhavi parmeshvar ke jaisi banti jaa rahi hai aur hum dinon-din pehale se zyada uski mahima jhalka rahe hain, theek jaise yahova* hamein badalta jaa raha hai jo adrishya parmeshvar hai.*+
kai footnote
^ ya shaayad, “yahova ki pavitra shakti hamein badal rahi hai.”