kurinthiyon ke naam doosri chitthi 5:1-21
5 hum jaante hain ki jab dharti par hamara yah ghar yaani shareer ka yah dera mit jaayega,+ tab hamein parmeshvar ki taraf se swarg mein hamesha kaayam rehnevali imarat milegi, aisa ghar jo haath se nahin banaya gaya.+
2 kyonki hum is ghar mein vaakai karahte hain aur hamare andar use* pehanne ki dili tamanna hai jo hamare liye swarg se hai*+
3 aur jab hum use pehan leinge to hum nange nahin paaye jaayenge.
4 darasal hum jo is dere mein hain, hum bojh se dabe huye karahte hain. aisi baat nahin ki hum ise utaarna chahte hain, balki swarg ke us dere ko pehanna chahte hain+ taaki jo nashvar hai use jeevan nigal sake.+
5 jisne hamein isi baat ke liye taiyar kiya hai, woh parmeshvar hai.+ jo aanevala hai uske bayane* ke taur par usne hamein apni pavitra shakti di hai.+
6 isliye hum hamesha himmat rakhte hain aur jaante hain ki jab tak hum is ghar jaise shareer mein hain, tab tak hum prabhu se door hain+
7 kyonki hum aankhon-dekhi cheezon se nahin balki vishvas se chalte hain.
8 magar hum himmat rakhte hain aur yahi chahte hain ki is insani shareer mein ab na jeeyen aur prabhu ke saath nivas karein.+
9 isliye chahe hum uske saath nivas karein ya usse door hon, hamara yahi lakshya hai ki hum use khush karein.
10 kyonki hammein se harek ko maseeh ke nyay-aasan ke saamne haazir hona padega* taaki har kisi ne is shareer mein rehkar jaise kaam kiye hain, fir chahe achhe hon ya bure, unke hisab se use badla mile.+
11 yah jaante huye ki hamein prabhu ka dar maanna chahiye, hum logon ko kaayal karte rehte hain ki woh hamari sunein aur parmeshvar achhi tarah jaanta hai ki hum kaise insan hain. aur main ummeed karta hoon ki tum sabka zameer bhi achhi tarah jaan gaya hai ki hum kaise insan hain.
12 hum tumhare saamne ek baar fir naye sire se apni sifarish nahin kar rahe, balki tumhein badhava de rahe hain ki tum hamare baare mein garv karo taaki tum unhein javab de sako jo dil dekhkar nahin balki soorat dekhkar shekhi maarte hain.+
13 agar hamara dimag thikane nahin tha+ to yah parmeshvar ke liye tha, agar hamara dimag theek hai to yah tumhare liye hai.
14 maseeh ka pyar hamein majboor karta hai kyonki hamne yah nichod nikaala hai: ek aadmi sabke liye mara+ aur is tarah sabhi mar gaye.
15 woh sabke liye mara taaki jo jeete hain woh ab se khud ke liye na jeeyen,+ balki uske liye jeeyen jo unke liye mara aur zinda kiya gaya.
16 isliye ab se hum kisi bhi insan ko insani nazariye se nahin dekhte.+ bhale hi hum ek vakt par maseeh ko shareer ke mutabik jaante the, magar ab use hargiz aise nahin jaante.+
17 isliye agar koi maseeh ke saath ekta mein hai, to woh ek nayi srishti hai.+ purani cheezen guzar chuki hain, dekho! nayi cheezen vajood mein aayi hain.
18 magar saari cheezen parmeshvar ki taraf se hain jisne maseeh ke zariye apne saath hamari sulah karvayi+ aur hamein sulah karvane ki seva di.+
19 yaani yah ailan karne ki seva ki parmeshvar, maseeh ke zariye apne saath duniya ki sulah karva raha hai+ aur usne unke gunahon ka unse hisab nahin liya+ aur hamein sulah ka sandesh saunpa.+
20 isliye hum maseeh ke badle kaam karnevale raajdoot+ hain,+ maano parmeshvar hamare zariye guzarish kar raha hai. maseeh ke badle kaam karnevalon ke naate hum binti karte hain, “parmeshvar ke saath sulah kar lo.”
21 jisne kabhi paap nahin kiya,+ use parmeshvar ne hamare liye paap-bali* thehraya taaki uske zariye hum parmeshvar ki nazar mein nek thehrein.+
kai footnote
^ ya “us nivas ko.”
^ ya “jo swarg ka nivas hai.”
^ ya “nishani; pakke saboot.”
^ ya “zahir kiya jaayega.”
^ ya “paap.”