kurinthiyon ke naam doosri chitthi 7:1-16
7 isliye pyare bhaaiyo, jab hamse ye vaade kiye gaye hain+ to aao hum tan aur man ki har gandgi ko door karke khud ko shuddh karein+ aur parmeshvar ka dar maante huye poori had tak pavitrata haasil karein.
2 hamein apne dilon mein jagah do.+ hamne kisi ka bura nahin kiya, kisi ko nuksan nahin pahunchaya, na hi kisi ka faayda uthaya.+
3 main yah baat tumhein doshi thehrane ke liye nahin kehta. isliye ki mainne pehale hi tumse kaha tha ki hum chahe jeeyen ya marein, tum hamare dil mein rehte ho.
4 main tumse bejhijhak khulkar baat kar sakta hoon. main tum par bahot garv karta hoon. mujhe poora dilasa mila hai, dukh-dard mein bhi mera dil khushi se umad raha hai.+
5 darasal jab hum makiduniya+ pahunche to hamein bilkul bhi chain nahin mila, magar hum har tarah ka dukh jhelte rahe. baahar jhagde the aur andar chintayen thi.
6 magar parmeshvar ne, jo nirash logon ko dilasa deta hai,+ hamein titus ki maujoodgi se dilasa diya.
7 magar sirf titus ke yahaan hone se nahin balki yah dekhkar bhi hamein dilasa mila ki usne tumhari vajah se tasalli paayi thi. usne lautkar hamein khabar di hai ki tum mujhe dekhne ke liye kitna taras rahe ho, bahot shok mana rahe ho aur mere liye kitni chinta kar rahe ho.* yah sunkar mujhe aur bhi khushi hui.
8 isliye chahe mainne tumhein apni chitthi se udas kiya ho,+ par mujhe iska afsos nahin. haan, shuroo mein mujhe afsos hua tha, (kyonki thodi der ke liye hi sahi, magar us chitthi ne tumhein udas kiya tha)
9 magar ab main khushi manata hoon isliye nahin ki tum sirf udas huye the, balki is kadar udas huye ki tumne pashchatap kiya. kyonki tumhare udas hone se parmeshvar khush hua aur tumhein hamari vajah se koi nuksan nahin hua.
10 isliye ki parmeshvar ko khush karnevali udasi pashchatap paida karti hai aur yah uddhaar ki or le jaati hai aur isse baad mein pachhtana nahin padta.+ magar duniya ke logon jaisi udasi maut laati hai.
11 dekho! parmeshvar ko khush karnevali udasi ne tumhare andar kaisi utsukta paida ki, haan, tumne khud par se kalank door karne ka kaisa jazba dikhaya, apni galti par tumhein kitna gussa aaya, tumhare andar dar paida hua, haan, tumhare andar kaisi zabardast ichha aur kaisa josh paida hua aur tumne apni galti sudhaari!+ tumne har tarah se saabit kiya ki tum is maamle mein bedag* ho.
12 mainne jo chitthi likhi woh uski vajah se nahin thi jisne bura kaam kiya tha,+ na hi uski vajah se likhi jiske saath anyay hua tha. balki mainne isliye likha taaki parmeshvar ke saamne yah saabit ho ki tum hamari baat maanne ke liye kitne utsuk ho.
13 iseeliye hamein dilasa mila hai.
lekin dilasa paane ke alava hum titus ko mili khushi ki vajah se aur bhi zyada khush huye, kyonki tum sabne uske dil ko taro-taaza kar diya.
14 isliye ki hamne tumhare baare mein garv ke saath titus ko jo bataya tha uske liye mujhe sharminda nahin hona pada. jis tarah hamari woh saari baatein sach thi jo hamne tumse kahi thi, usi tarah hamne garv ke saath titus ko jo kuch bataya tha woh sach saabit hua.
15 yahi nahin, jab woh yaad karta hai ki tum sabne kis tarah aagya maani+ aur darte-kaanpte uska swagat kiya, to tumhare liye uska pyar aur bhi badh jaata hai.
16 main khushi manata hoon kyonki mujhe har baat mein tum par poora bharosa hai.*
kai footnote
^ shaa., “tummein josh hai.”
^ ya “shuddh; nirdosh.”
^ ya shaayad, “tumhari vajah se mujhe badi himmat milti hai.”