patras ki doosri chitthi 1:1-21

  • namaskar (1)

  • apne bulave ke yogya bane raho (2-15)

    • vishvas ke saath doosre gun badhao (5-9)

  • bhavishyavaniyon par bharosa mazboot (16-21)

1  yeeshu maseeh ke daas aur preshit, shamaun patras ki yah chitthi un logon ke liye hai jinhonne hamare parmeshvar aur hamare udhaarkarta yeeshu maseeh ki neki ke zariye hamare jaisa anmol vishvas paaya hai:  meri dua hai ki tum parmeshvar ke baare mein aur hamare prabhu yeeshu ke baare mein sahi gyaan lete raho+ taaki tum par aur bhi maha-kripa ho aur tumhein aur bhi shaanti mile.  isliye ki parmeshvar ne apni shakti se hamein woh saari cheezen di hain, jo parmeshvar ki bhakti ke saath jeevan bitane ke liye zaroori hain. ye cheezen hamein isliye mili hain kyonki hamne us parmeshvar ke baare mein sahi gyaan paaya hai, jisne hamein apni mahima aur sadgun ke zariye bulaya hai.+  is mahima aur sadgun ki vajah se usne hamse anmol aur bahot hi shaandar vaade kiye hain+ taaki tum in vaadon ke zariye uske jaise adrishya ban sako.+ usne hamse ye vaade isliye kiye hain kyonki hum duniya ki us bhrashtata se chhutkara paa chuke hain, jo galat ichhaon* ki vajah se hoti hai.  isi vajah se tum ji-jaan se koshish karo+ ki apne vishvas ke saath sadgun badhao,+ sadgun ke saath gyaan,+  gyaan ke saath sanyam, sanyam+ ke saath dheeraj, dheeraj ke saath parmeshvar ki bhakti,+  parmeshvar ki bhakti ke saath bhaaiyon jaisa lagav aur bhaaiyon jaise lagav ke saath pyar badhate jaao.+  agar ye gun tummein hon aur tummein umadte rahein, to tum hamare prabhu yeeshu maseeh ke sahi gyaan ko amal mein laakaar fal paida karoge aur nikamme* nahin thehroge.+  jis insan mein ye gun nahin hain, woh andha hai aur usne apni aankhein band kar li hain aur woh raushni ko nahin dekhna chahta*+ aur bhool gaya hai ki use un paapon se shuddh kiya gaya hai+ jo usne bahot pehale kiye the. 10  isliye bhaaiyo, tum aur bhi kadi mehnat karo taaki tumhein jo bulva diya gaya hai+ aur chuna gaya hai, tum uske yogya bane raho. agar tum ye sab karte rahoge, to tum hargiz naakam nahin hoge.+ 11  darasal, is tarah tumhein hamare prabhu aur udhaarkarta yeeshu maseeh ke us raaj mein bade shaandar tareeke se daakhil kiya jaayega jo hamesha tak kaayam rahega.+ 12  isi vajah se mainne faisla kiya hai ki main tumhein ye baatein yaad dilata rahoonga, haalanki tum inhein jaante ho aur us sachchai mein mazbooti se khade ho jo tumne seekhi hai. 13  aur mujhe lagta hai ki jab tak main is dere* mein hoon+ tab tak tumhein ye baatein yaad dilana sahi rahega+ taaki tumhein josh dilata rahoon, 14  kyonki main jaanta hoon ki bahot jald mera yah dera gira diya jaayega, theek jaise hamare prabhu yeeshu maseeh ne bhi mujh par zahir kiya tha.+ 15  isliye main har vakt apna bharsak karoonga taaki mere chale jaane ke baad tum khud ko ye baatein yaad dila sako.* 16  jab hamne tumhein prabhu yeeshu maseeh ki shakti aur maujoodgi ke baare mein bataya tha, to hamne chaturai se gadhi hui jhoothi kahaniyon ka sahara nahin liya kyonki hum to uski shaandar mahima ke chashmadeed gavah the.+ 17  isliye ki usne parmeshvar yaani hamare pita se aadar aur mahima paayi, jab us mahapratapi ne usse yah kaha,* “yah mera pyara beta hai jise mainne khud manzoor kiya hai.”+ 18  haan, hamne aakash se ye shabd us vakt sune the jab hum uske saath pavitra pahad par the. 19  is tarah bhavishyavaniyon par hamara bharosa aur mazboot hua hai. aur (jab tak din nahin hota aur din ka taara+ nahin nikalata) tum un par dhyan dekar achha kar rahe ho maano ye ek jalte huye deepak ki tarah+ andheri jagah mein yaani tumhare dilon mein jagmaga rahi hain. 20  kyonki tum sabse pehale yah jaan lo ki shastra ki koi bhi bhavishyavani kisi ke apne vicharon ke mutabik nahin ki gayi. 21  kyonki koi bhi bhavishyavani insan ki marzee se kabhi nahin hui,+ balki insan pavitra shakti se udhaare jaakaar* parmeshvar ki taraf se bolte the.+

kai footnote

ya “vaasnaon.”
ya “nishfal.”
ya shaayad, “woh andha hai; woh door ki nahin sochta.”
ya “tamboo” yaani uska insani shareer.
ya “zikra kar sako.”
shaa., “ki aisi aavaz aayi.”
shaa., “ke bahav mein.”