patras ki doosri chitthi 3:1-18
3 pyare bhaaiyo, main tumhein yah doosri chitthi likh raha hoon. pichhli chitthi ki tarah main is chitthi mein bhi kuch baatein yaad dila raha hoon taaki tumhein saaf-saaf sochne ki kaabilyat ka istemal karne ke liye udhaaroon+
2 aur tum un baaton ko yaad rakho jo pavitra bhavishyavaktaon ne bahot pehale batayi thi aur hamare prabhu aur udhaarkarta ki aagya yaad rakho jo usne tumhare preshiton ke zariye di thi.
3 sabse pehale to tum jaan lo ki aakhiri dinon mein khilli udanevale aayenge jo apni ichhaon ke mutabik chaleinge+
4 aur kaheinge, “usne vaada kiya tha ki woh maujood hoga, magar woh kahaan hai?+ jab se hamare purkhe maut ki nind so gaye hain, tab se sabkuch bilkul vaisa hi chal raha hai, jaisa srishti ki shurooat mein tha.”+
5 woh jaanboojhkar is hakeekat par dhyan nahin dete ki parmeshvar ke kehne par hi us vakt ka aakash kaayam hua aur zameen paani se oopar uthi aur prithvi paani ke beech mazbooti se kaayam hui.+
6 inhin ke zariye us vakt ki duniya par paani ka pralay aaya aur woh naash ho gayi.+
7 magar parmeshvar ke usi vachan se, aaj ke aakash aur prithvi ko aag se bhasm karne ke liye rakha gaya hai aur unhein nyay ke din aur bhaktiheen logon ke naash ke din tak aise hi rakha jaayega.+
8 magar pyare bhaaiyo, tum yah baat mat bhoolo ki yahova* ke liye ek din ek hazar saal ke barbar hai aur ek hazar saal, ek din ke barbar hai.+
9 yahova* apna vaada poora karne mein deri nahin kar raha,+ jaisa kuch log samajhte hain magar woh tumhare saath sabraa se pesh aa raha hai, kyonki woh nahin chahta ki koi bhi naash ho balki yah ki sabko pashchatap karne ka mauka mile.+
10 magar yahova* ka din+ aise aayega jaise chor aata hai.+ us din aakash bade garjan ke saath mit jaayega+ aur tatva behad garam hokar pighal jaayenge aur dharti aur us par honevale kaamon ka pardafash ho jaayega.+
11 isliye jab ye saari cheezen is tarah pighalnevali hain, to socho ki aaj tumhein kaisa insan hona chahiye! tumhara chaalchalan pavitra hona chahiye aur tumhein parmeshvar ki bhakti ke kaam karne chahiye
12 aur yahova* ke din ka intazar karna chahiye aur yah baat hamesha dhyan mein rakhni chahiye* ki woh din bahot jald aanevala hai.+ us din ki vajah se aakash lapton se jalkar naash ho jaayega+ aur tatva behad garam hokar pighal jaayenge!
13 magar hum parmeshvar ke vaade ke mutabik ek naye aakash aur nayi prithvi ka intazar kar rahe hain,+ jahaan neki ka basera hoga.+
14 isliye pyare bhaaiyo, jab tum in sab baaton ka intazar kar rahe ho, to apna bharsak karo ki aakhirkar uske saamne tum nishkalank aur bedag aur shaanti mein paaye jaao.+
15 aur yah samjho ki hamare prabhu ke sabraa rakhne se uddhaar paane ka mauka mil raha hai, theek jaise hamare pyare bhaai paulus ne bhi parmeshvar se mili buddhi ke mutabik tumhein likha tha.+
16 usne apni saari chitthiyon mein inhin baaton ke baare mein likha hai. magar unmein se kuch baatein samajhne mein mushkil hain aur jo log in baaton ki samajh nahin rakhte* aur daanvandol hain, woh inhein tod-marodkar batate hain jaise woh shastra ki baaki baaton ke saath bhi karte hain aur apne naash ka kaaran bante hain.
17 isliye pyare bhaaiyo, tum jo pehale se in baaton ki jaankari rakhte ho, khabardar raho ki tum un dushton ki dhokha denevali baaton mein aakaar unke saath gumrah na ho jaao balki isi tarah mazboot khade raho aur gir na jaao.+
18 tum parmeshvar ki maha-kripa aur bhi zyada paate raho aur hamare prabhu aur udhaarkarta yeeshu maseeh ke baare mein apna gyaan badhate jaao. uski mahima aaj aur hamesha-hamesha ke liye hoti rahe. aameen.
kai footnote
^ ya “iski zabardast ichha honi chahiye.” shaa., “tezee laayen.”
^ ya “na seekhnevale.”