doosra raja 10:1-36
10 ahab+ ke 70 bete saamriya mein rehte the. isliye yehoo ne yijrel ke haakimon, mukhiyaon+ aur ahab ke bachchon ki dekhbhal karnevale aadmiyon ke naam chitthiyaan likhkar saamriya bhejin. usne unko likha,
2 “jab tumhare paas yah chitthi pahunchegi, to tumhare saath tumhare maalik ke bete honge aur tumhare paas yuddh-rath, ghode aur kileband shehar aur hathiyar bhi honge.
3 tum apne maalik ke beton mein se sabse kaabil aur honhar* bete ko chunna aur use uske pita ki raajgaddi par bithana. fir tum apne maalik ke gharane ki raksha ke liye ladna.”
4 lekin woh sab dar gaye aur kehne lage, “jab do raja uske saamne tik na sake,+ to hum kaise tikeinge?”
5 isliye raajmahal* ki nigrani karnevale aadmi, shehar ke raajyapal, mukhiyaon aur ahab ke bachchon ki dekhbhal karnevalon ne yehoo ko yah sandesh bheja: “hum tere sevak hain. tu hamse jo bhi kahega, hum kareinge. hum kisi ko raja nahin banayenge. tujhe jo sahi lage woh kar.”
6 tab yehoo ne unhein doosri chitthi likhi, “agar tum meri taraf ho aur mera hukm maanne ke liye taiyar ho, to ek kaam karo. apne maalik ke beton ka sir kaatkar kal is vakt mere paas yijrel le aao.”
raja ahab ke 70 bete shehar ke un khaas-khaas aadmiyon ke saath the jo unki dekhbhal karte the.
7 jaise hi unhein yehoo ki chitthi mili, unhonne raja ke 70 beton ko maar daala.+ unhonne un aadmiyon ke sir kaatkar tokron mein bhare aur yehoo ke paas yijrel bhej diye.
8 doot ne yehoo ke paas aakaar kaha, “woh raja ke beton ke sir laaye hain.” yehoo ne kaha, “shehar ke faatak par unke do dher laga do aur kal subah tak unhein vahin rehne do.”
9 subah jab woh baahar gaya to sab logon ke saamne khade hokar kehne laga, “tum sab nirdosh* ho. yah sach hai ki mainne apne maalik ke khilaf saazish ki aur use maar daala,+ magar in sabko kisne maara hai?
10 isliye tum sab jaan lo ki yahova ne ahab ke gharane ko jo saza sunayi thi aur uske baare mein yahova ne jo kaha tha, uski ek-ek baat sach niklegi.*+ yahova ne bilkul vaisa hi kiya, jaisa usne apne sevak eliyah se kehalvaya tha.”+
11 iske alava, yehoo ne ahab ke gharane ke un logon ko bhi maar daala jo yijrel mein bache the. saath hi, usne ahab ke sabhi khaas-khaas aadmiyon, doston aur pujariyon ko maar daala,+ ek ko bhi zinda nahin chhoda.+
12 iske baad woh saamriya ke liye nikaal pada. raaste mein ek aisi jagah thi jahaan charvahe bhedon ka oon kataarte the.
13 vahaan yehoo ki mulakat yahooda ke raja ahajyah+ ke bhaaiyon se hui. usne unse poochha, “tum log kaun ho?” unhonne kaha, “hum ahajyah ke bhaai hain. hum raja ke beton aur raajmata ke beton ki khairiyat poochhne jaa rahe hain.”
14 yehoo ne fauran apne aadmiyon se kaha, “pakad lo in sabko!” unhonne unko pakad liya aur oon kataarnevali jagah ke paas jo kund tha, vahaan un sabko maar daala. ek ko bhi zinda nahin chhoda. woh kul milakar 42 aadmi the.+
15 jab yehoo vahaan se aage badha to uski mulakat rekab+ ke bete yahonadab+ se hui jo usse milne aa raha tha. jab yahonadab ne use salam kiya* to yehoo ne usse poochha, “kya tu poore* dil se mere saath hai, jaise main poore dil se tere saath hoon?”
yahonadab ne kaha, “haan, main hoon.”
yehoo ne kaha, “to fir apna haath mujhe de.”
yahonadab ne use apna haath diya aur yehoo ne use apne saath rath par chadhaya.
16 fir usne yahonadab se kaha, “tu mere saath chal aur dekh ki main yah bardasht nahin kar sakta ki yahova ke siva kisi aur ki upasna ki jaaye.”*+ is tarah yahonadab ko yehoo ke yuddh-rath par chadha diya gaya.
17 fir yehoo saamriya pahuncha aur vahaan ahab ke gharane ke jitne bhi log bache the un sabko usne maar daala. usne unka poori tarah safaya kar diya,+ theek jaise yahova ne eliyah se kaha tha.+
18 iske baad yehoo ne sab logon ko ikattha kiya aur unse kaha, “ahab ne baal ki upasna ke liye jo kiya woh bahot kam tha,+ ab yehoo badh-chadhkar uski upasna karega.
19 isliye baal ke sab bhavishyavaktaon,+ sab bhakton aur sab pujariyon+ ko mere paas ikattha karo. dhyan rakho ki ek bhi chhootne na paaye kyonki main baal ke liye ek bada balidan chadhanevala hoon. jo koi is mauke par haazir nahin hoga use maar daala jaayega.” darasal yah yehoo ki ek chaal thi. woh baal ke sabhi upasakon ko mita dena chahta tha.
20 yehoo ne yah bhi kaha, “baal ke liye ek khaas sabha ka ailan kiya jaaye.” isliye iska ailan kiya gaya.
21 iske baad yehoo ne israel ke kone-kone mein iski khabar bhijvayi aur baal ke sabhi upasak sabha mein aaye, ek bhi nahin chhoota. woh sab-ke-sab baal ke mandir mein gaye+ jis vajah se mandir khachakhach bhar gaya.
22 yehoo ne poshak-ghar ke adhikari se kaha, “baal ke sabhi bhakton ke liye poshakein le aa.” woh un sabke liye poshakein le aaya.
23 fir yehoo aur rekab ka beta yahonadab+ baal ke mandir mein gaye. yehoo ne baal ke bhakton se kaha, “achhi tarah dekho ki yahaan koi yahova ka upasak to nahin hai. yahaan sirf baal ke upasak hone chahiye.”
24 iske baad woh balidan aur hom-baliyaan chadhane andar gaye. yehoo ne apne 80 aadmiyon ko baahar khada kiya tha aur unhein bataya tha, “un sabko maar daalna, kisi ko bhi mat chhodna. agar tummein se koi kisi ko bhaag jaane dega, to use bhaagnevale ke badle maar daala jaayega.”
25 jaise hi yehoo aag mein balidan chadha chuka, usne pehredaron aur sahayak sena-adhikariyon se kaha, “andar aao, in sabko maar daalo! ek bhi bhaagne na paaye!”+ pehredar aur sahayak sena-adhikari sabko talvar se maarte gaye aur unki laashein baahar feinkte gaye. woh logon ko ghaat karte-karte baal ke mandir ke andarvale kamre* tak pahunch gaye.
26 fir woh mandir se saare pooja-stambh+ baahar le aaye aur unhein jala diya.+
27 unhonne baal ka pooja-stambh dhaa diya+ aur mandir+ ko gira diya aur us jagah ko shauchalay bana diya. woh aaj tak aisa hi hai.
28 is tarah yehoo ne israel se baal ki upasna ka naamo-nishan mita diya.
29 magar woh un paapon se door nahin raha, jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the. yehoo ne betel aur daan mein bane sone ke bachhde ki moortein rehne di.+
30 yahova ne yehoo se kaha, “mainne ahab ke gharane ke baare mein apne man mein jo-jo thaana tha,+ woh sab toone kiya aur is tarah meri nazar mein sahi kaam kiya. toone jo sahi kadam uthaya, us vajah se chaar peedhiyon tak tere bete israel ki raajgaddi par baitheinge.”+
31 magar yehoo ne israel ke parmeshvar yahova ke kaanoon ko poore dil se maanne ka dhyan nahin rakha.+ woh un paapon se door nahin raha jo yaarobam ne israel se karvaye the.+
32 unhin dinon yahova israel ke ilake ki seema ghatane laga. hajael poore israel ke alag-alag praanton par hamla karta raha.+
33 usne yardan ke poorab mein gilad ke poore ilake se hamla karna shuroo kiya, jahaan gaad, rooben aur manashshe gotra ke log+ rehte the. ismein arnon ghaati ke paasvale aroer se lekar gilad aur baashaan tak ka ilaka bhi shaamil tha.+
34 yehoo ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye, unka aur uske bade-bade kaamon ka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.
35 fir yehoo ki maut ho gayi* aur use saamriya mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta yahoahaj+ raja bana.
36 yehoo ne saamriya se israel par 28 saal raaj kiya tha.
kai footnote
^ ya “seedhe-sachche.”
^ shaa., “ghar.”
^ ya “nek.”
^ shaa., “dharti par nahin giregi.”
^ ya “aasheervad diya.”
^ shaa., “seedhe-sachche.”
^ ya “dekh ki yahova ke liye mujhmein kitna josh hai.”
^ shaa., “shehar,” shaayad kile jaisi ek imarat.
^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”