doosra raja 11:1-21
11 jab ahajyah ki maa atalyah+ ne dekha ki uska beta mar gaya hai,+ to usne shaahi khaandan ke sabhi vaarison ko maar daala.*+
2 lekin raja yahoram ki beti aur ahajyah ki behen yahosheba ne ahajyah ke bete yahoash+ ko bacha liya. usne yahoash ko raja ke beton mein se chupke se utha liya jinhein atalyah maar daalnevali thi. yahosheba, yahoash aur uski dhaai ko sone ke kamre mein le gayi aur unhein vahaan chhipa diya. unhonne kisi tarah yahoash ko atalyah se chhipaye rakha, isliye woh nahin maara gaya.
3 yahoash chhe: saal tak uske saath raha. use yahova ke bhavan mein chhipakar rakha gaya. is dauran atalyah desh par raaj karti rahi.
4 saatvein saal yahoyada ne sau-sau shaahi angrakshakon* ke dal ke adhikariyon ko aur mahal ke sau-sau pehredaron ke dal ke adhikariyon+ ko bulvaya aur unhein yahova ke bhavan mein apne paas ikattha kiya. yahoyada ne yahova ke bhavan mein un adhikariyon ke saath ek karar kiya aur unhein shapath dharayi ki woh us karar ko maaneinge. iske baad usne unhein raja ka beta dikhaya.+
5 usne unhein aadesh diya, “tumhein yah karna hoga: tummein se ek-tihai aadmi sabt ke din kaam par honge aur raajmahal par kadi nazar rakheinge,+
6 ek-tihai aadmi ‘ninv ke faatak’ par tainat honge aur bache huye ek-tihai aadmi mahal mein pehredaron ke peechhevale faatak par tainat honge. tum sab baari-baari se bhavan par nazar rakhoge.
7 pehredaron ke un do dalon ko bhi aana hoga jinki sabt ke din kaam par aane ki baari nahin hai aur unhein yahova ke bhavan mein raja ki hifazat ke liye sakht pehra dena hoga.
8 tum sab apne haathon mein hathiyar liye raja ke chaaron taraf tainat rehna aur uski raksha karna. agar koi sainikon ke ghere ke andar ghusne ki koshish kare to use maar daalna. raja jahaan kahin jaaye* tum uske saath rehna.”
9 sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon+ ne theek vaisa hi kiya jaisa yahoyada yaajak ne unhein aadesh diya tha. sabt ke din har adhikari ne apne dal ke sabhi aadmiyon ko liya. jin aadmiyon ki seva karne ki baari thi, unke saath-saath un aadmiyon ko bhi liya gaya jinki baari nahin thi. woh sab yahoyada yaajak ke paas ikattha huye.+
10 yaajak ne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon ko bhaale aur golakar dhaalein di. ye hathiyar raja daavid ke the jo yahova ke bhavan mein rakhe huye the.
11 mahal ke pehredar+ haath mein hathiyar liye parmeshvar ke bhavan mein apni-apni jagah tainat huye. woh bhavan ke daayen kone se lekar baayen kone tak tainat the. woh vedi+ aur bhavan ke paas yaani raja ke chaaron taraf khade the.
12 fir yahoyada, raja ke bete+ ko baahar laaya aur use taaj pehnaya aur uske oopar sakshi-patra*+ rakha aur unhonne uska abhishek karke use raja banaya. fir woh taaliyaan bajane lage aur kehne lage, “raja ki jay ho! raja ki jay ho!”+
13 jab atalyah ne logon ke daudne ka shor suna to woh fauran yahova ke bhavan mein vahaan aayi jahaan logon ki bheed ikattha thi.+
14 usne dekha ki dastoor ke mutabik raja khambhe ke paas khada hai+ aur uske saath pradhan aur turhi foonknevale+ bhi hain. desh ke sabhi log khushiyaan mana rahe hain aur turhiyaan foonki jaa rahi hain. yah dekhte hi atalyah ne apne kapde faade aur woh chillane lagi, “yah saazish hai! saazish!”
15 tab yahoyada yaajak ne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon ko hukm diya,+ “is aurat ko sainikon ke beech se baahar le jaao. agar koi iske peechhe-peechhe jaaye to use talvar se maar daalo!” yaajak ne unse kaha tha, “us aurat ko yahova ke bhavan mein ghaat mat karna.”
16 isliye woh use pakadkar le gaye aur jab woh us jagah pahunchi jahaan se ghode mahal+ mein jaaya karte the, to use maar daala gaya.
17 fir yahoyada ne yahova aur raja aur logon ke beech ek karar kiya+ ki woh yahova ke log bane raheinge. usne raja aur logon ke beech bhi ek karar kiya.+
18 iske baad desh ke sab logon ne baal ke mandir mein jaakaar uski vediyaan dhaa di,+ uski moortein choor-choor kar di+ aur vediyon ke saamne hi baal ke pujari mattan ko maar daala.+
fir yahoyada yaajak ne kuch aadmiyon ko yahova ke bhavan ki nigrani karne ka kaam saunpa.+
19 fir usne sau-sau ki tukdiyon ke adhikariyon,+ shaahi angrakshakon, mahal ke pehredaron+ aur desh ke sabhi logon ko saath liya aur woh sab raja ko yahova ke bhavan se baahar le gaye. woh mahal ke pehredaronvale faatak se raajmahal ke andar aaye. fir woh jaakaar raajgaddi par baith gaya.+
20 desh ke sabhi logon ne khushiyaan manayin aur shehar mein shaanti chha gayi kyonki raajmahal ke paas atalyah ko talvar se maar daala gaya tha.
21 yahoash+ jab raja bana tab woh saat saal ka tha.+
kai footnote
^ shaa., “raaj ke saare beej naash kar diye.”
^ shaa., “kaari logon.”
^ shaa., “jab woh baahar jaaye aur jab woh andar aaye.”
^ shaayad ek kharra jismein parmeshvar ka kaanoon likha tha.