doosra raja 12:1-21

  • yahooda ka raja yahoash (1-3)

  • usne mandir ki marammat ki (4-16)

  • seeriya ka hamla (17, 18)

  • yahoash ka katla (19-21)

12  yahoash+ yehoo ke raaj+ ke saatvein saal mein raja bana tha aur usne 40 saal yarooshalem mein rehkar raaj kiya. uski maa ka naam sibyah tha jo bersheba ki rehnevali thi.+  jab tak yaajak yahoyada yahoash ka maargdarshan karta raha tab tak woh yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.  magar uske raaj mein unchi jagah+ nahin mitayi gayin aur log un jagahon par balidan chadhate rahe taaki unka dhuaan uthe.  yahoash ne yaajkon se kaha, “yahova ke bhavan mein pavitra chadhave ke taur par jitna paisa diya jaata hai woh sab tum lena,+ yaani har kisi ka kar,+ har kisi ke liye tay ki gayi rakam aur woh paisa jo dil ke ubhaarne par log yahova ke bhavan mein laakaar dete hain.+  har yaajak khud jaakaar daan karnevalon* se paisa ikattha karega aur bhavan mein jahaan kahin dararein hon unki marammat ke liye saara paisa istemal karega.”+  raja yahoash ke raaj ka 23vaan saal ho gaya tha magar yaajkon ne ab tak bhavan ki marammat nahin karvayi.+  isliye raja ne yaajak yahoyada+ aur doosre yaajkon ko bulaya aur unse kaha, “bhavan ki marammat ab tak kyon nahin ki gayi? agar tum marammat ke kaam ke liye paisa istemal nahin kar rahe ho, to daan karnevalon se paisa lena band kar do.”+  yaajkon ne logon se paisa lene aur bhavan ki marammat karne ki zimmedari raja ko vaapas de di.  tab yaajak yahoyada ne ek peti+ li aur uske dhakkan mein chhed kiya aur use yahova ke bhavan mein aisi jagah rakha ki woh bhavan mein aanevalon ko daayin taraf vedi ke paas nazar aaye. darban ka kaam karnevale yaajak us peti mein woh saara paisa daalte the jo yahova ke bhavan mein laaya jaata tha.+ 10  jab bhi woh dekhte ki peti bhar gayi hai, woh jaakaar raja ke sachiv aur mahayajak ko batate aur woh donon aakaar yahova ke bhavan mein laaya gaya saara paisa ikattha karte* aur uski ginti karte.+ 11  fir woh paisa le jaakaar un aadmiyon ko dete jinhein yahova ke bhavan mein kaam ki nigrani saunpi gayi thi. fir nigrani karnevale paisa le jaakaar yahova ke bhavan ki marammat karnevale badhaiyon aur raajgeeron ko dete the,+ 12  aur raajmistriyon aur patthar kaatnevale kaareegaron ko bhi dete the. itna hi nahin, woh us paise se yahova ke bhavan ki marammat ke liye shahteerein aur gadhe huye patthar laaya karte the aur marammat ke kaam ka baaki saara kharch poora karte the. 13  magar yahova ke bhavan mein laaya gaya paisa chaandi ke katore, baati bujhane ki kainchiyaan, katoriyaan aur turhiyaan+ banane mein bilkul istemal nahin kiya gaya, na hi yahova ke bhavan ke liye sone-chaandi ki koi aur cheez banane mein lagaya gaya.+ 14  yah paisa woh sirf nigrani karnevalon ko diya karte the jo use yahova ke bhavan ki marammat mein lagate the. 15  woh nigrani karnevale un aadmiyon se kabhi hisab-kitab nahin maangte the jinhein kaareegaron ki mazdoori chukane ke liye paisa diya jaata tha kyonki woh bharosemand aadmi the.+ 16  lekin jo paisa dosh-baliyon+ aur paap-baliyon ke liye diya jaata tha woh yahova ke bhavan ki marammat mein nahin istemal kiya jaata tha. us par yaajkon ka hak tha.+ 17  baad mein seeriya ke raja hajael+ ne gat+ par hamla kiya aur us par kabza kar liya. fir usne yarooshalem par hamla karne ka faisla kiya.*+ 18  tab yahooda ke raja yahoash ne woh saari cheezen hajael ko bhej di jo uske purkhon ne yaani yahooda ke raja yahoshapat, yahoram aur ahajyah ne pavitra thehrayi thi aur woh cheezen bhi jo khud usne pavitra thehrayi thi. usne yahova ke bhavan ke khazane aur raajmahal ke khazane ka saara sona bhi use bhej diya. isliye hajael ne yarooshalem par hamla nahin kiya aur laut gaya.+ 19  yahoash ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 20  yahoash ke sevkon ne milkar uske khilaf saazish rachi+ aur silla jaanevale raaste par teele*+ ke bhavan mein use maar daala. 21  uska katla karnevale sevak the, shimat ka beta yojakar aur shomer ka beta yahojabad.+ unhonne use daavidpur mein uske purkhon ki kabraa mein dafna diya aur uski jagah uska beta amajyah raja bana.+

kai footnote

ya “jaan-pehchanvalon.”
ya “thailiyon mein daalte.” shaa., “thailiyon mein baandhte.”
shaa., “hajael ne yarooshalem ke khilaf apna munh kiya.”
ya “bet-millo.”