doosra raja 14:1-29

  • yahooda ka raja amajyah (1-6)

  • edom aur israel ke saath yuddh (7-14)

  • israel ke yahoash ki maut (15, 16)

  • amajyah ki maut (17-22)

  • israel ka raja yaarobam dviteeya (23-29)

14  jab israel mein yahoahaj ke bete raja yahoash+ ke raaj ka doosra saal chal raha tha, tab yahooda mein raja yahoash ka beta amajyah raja bana.  us samay amajyah 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 29 saal raaj kiya. uski maa ka naam yahoaddeen tha jo yarooshalem ki rehnevali thi.+  amajyah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha, magar woh apne purkhe daavid+ ki tarah nahin tha. usne sabkuch vaisa hi kiya jaisa uske pita yahoash ne kiya tha.+  magar uske raaj mein unchi jagah nahin mitayi gayin+ aur log ab bhi un jagahon par balidan chadhate the taaki unka dhuaan uthe.+  jaise hi amajyah ne raaj par apni pakad mazboot ki, usne apne un sevkon ko maar daala jinhonne uske pita yahoash ka katla kiya tha.+  magar usne un kaatilon ke beton ko nahin maara kyonki usne moosa ke kaanoon ki kitab mein likhi yahova ki yah aagya maani: “beton ke paap ke liye pitaon ko na maar daala jaaye aur na hi pitaon ke paap ke liye beton ko maar daala jaaye. jo paap karta hai uske paap ke liye usi ko maut ki saza di jaaye.”+  fir amajyah ne namak ghaati+ mein edom+ se yuddh karke uske 10,000 aadmiyon ko maar daala aur edomi shehar sela par kabza kar liya.+ usne shehar ka naam badalkar yoktel rakha aur aaj tak uska naam yahi hai.  iske baad amajyah ne apne dooton ke haath israel ke raja yahoash ko (jo yahoahaj ka beta aur yehoo ka pota tha) yah sandesh bheja: “yuddh ke maidan mein aa, hum ek-doosre se mukabla* karein.”+  israel ke raja yahoash ne yahooda ke raja amajyah ko yah javab bheja: “labanon ke kaantedar paudhe ne labanon ke devdar ko ek sandesh bheja, ‘apni beti ka haath mere bete ke haath mein de de.’ magar labanon ka ek jangli jaanvar vahaan se guzra aur usne kaantedar paudhe ko raund daala. 10  maana ki toone edom ko haraya hai,+ magar tera man ghamand se itna kyon fool raha hai? toone jo naam kamaya hai uski khushiyaan mana, par apne mahal mein rehkar. kyon tu bekar mein museebat ko daavat de raha hai? khud to doobega hi, saath mein poore yahooda ko bhi le doobega.” 11  magar amajyah ne yahoash ki baat nahin maani.+ isliye israel ka raja yahoash, yahooda ke raja amajyah se yuddh karne nikala aur unka mukabla bet-shemesh+ mein hua jo yahooda ke ilake mein hai.+ 12  israel ne yahooda ko hara diya aur yahooda ke sabhi log apne-apne ghar* bhaag gaye. 13  israel ke raja yahoash ne bet-shemesh mein yahooda ke raja amajyah ko pakad liya, jo yahoash ka beta aur ahajyah ka pota tha. yahoash amajyah ko pakadkar yarooshalem le aaya aur usne vahaan ki sheharpanah ka ek hissa tod diya. usne epraim faatak+ se lekar ‘konevale faatak’+ tak ka 400 haath* lamba hissa dhaa diya. 14  yahoash ne yahova ke bhavan se aur raajmahal ke khazanon se saara sona-chaandi aur doosra saaman loot liya aur kuch logon ko bandi bana liya. fir woh saamriya laut gaya. 15  yahoash ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye unka, uske bade-bade kaamon ka aur usne kaise yahooda ke raja amajyah se yuddh kiya, un sabka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 16  fir yahoash ki maut ho gayi* aur use saamriya mein israel ke raajaon ki kabraa mein dafnaya gaya.+ uski jagah uska beta yaarobam*+ raja bana. 17  israel ke raja yahoahaj ke bete yahoash ki maut ke baad+ yahooda ka raja amajyah+ (jo yahoash ka beta tha) 15 saal aur jeeya.+ 18  amajyah ki zindagi ki baaki kahani yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likhi hai. 19  baad mein yarooshalem mein uske khilaf saazish rachi gayi,+ isliye woh laakeesh bhaag gaya. magar uske dushmanon ne apne aadmiyon ko laakeesh bheja aur use vahaan marva daala. 20  woh uski laash ghodon par laadkar yarooshalem le aaye aur vahaan daavidpur mein uske purkhon ki kabraa mein use dafnaya gaya.+ 21  fir yahooda ke sab logon ne amajyah ke bete ajaryah*+ ko uski jagah raja banaya.+ us vakt ajaryah 16 saal ka tha.+ 22  jab raja* ki maut ho gayi* to usne elat+ ko fir se banaya aur use vaapas yahooda ke adhikar mein kar diya.+ 23  jab yahooda mein yahoash ke bete, raja amajyah ke raaj ka 15vaan saal chal raha tha, tab israel mein raja yahoash ka beta yaarobam+ raja bana. yaarobam ne saamriya se israel par 41 saal raaj kiya. 24  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. woh un sabhi paapon se baaz nahin aaya jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ 25  usne lebo-hamat*+ se lekar arba ke saagar*+ tak israel ka poora ilaka vaapas le liya. is tarah israel ke parmeshvar yahova ki woh baat poori hui jo usne apne sevak, bhavishyavakta yona+ se kehalvayi thi. yona, amittai ka beta tha aur gat-heper+ ka rehnevala tha. 26  yahova ne dekha tha ki israel par kaisa ghor atyachar ho raha hai.+ israel ki madad karnevala koi nahin tha. yahaan tak ki laachar ya gareeb log bhi nahin reh gaye the. 27  magar yahova ne vaada kiya tha ki woh dharti se israel ka naam nahin mitne dega.+ isliye usne yahoash ke bete yaarobam ke zariye israel ko bachaya.+ 28  yaarobam ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye unka, uske bade-bade kaamon ka aur usne kaise yuddh kiye aur kaise damishk+ aur hamat+ shehar vaapas yahooda aur israel mein milaye, un sabka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 29  fir yaarobam ki maut ho gayi* aur use israel ke raajaon ki kabraa mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta jakaryah+ raja bana.

kai footnote

ya “ka saamna.”
shaa., “tamboo.”
kareeb 178 m. (584 fut). ati. kha14 dekhein.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
yaani yaarobam dviteeya.
matlab “yahova ne madad ki.” use 2ra 15:13; 2it 26:1-23; yash 6:1 aur jak 14:5 mein ujjiyah kaha gaya hai.
yaani uska pita amajyah.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
yaani lavan saagar ya mrit saagar.
ya “hamat ke pravesh.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”