doosra raja 15:1-38

  • yahooda ka raja ajaryah (1-7)

  • israel ke aakhiri raja: jakaryah (8-12), shalloom (13-16), manhem (17-22), pakah-yaah (23-26), pekah (27-31)

  • yahooda ka raja yotam (32-38)

15  jab israel mein raja yaarobam* ke raaj ka 27vaan saal chal raha tha, tab yahooda mein raja amajyah+ ka beta ajaryah*+ raja bana.+  us samay ajaryah 16 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 52 saal raaj kiya. uski maa ka naam yakolyah tha jo yarooshalem ki rehnevali thi.  ajaryah apne pita amajyah ki tarah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.+  magar uske raaj mein unchi jagah nahin mitayi gayin+ aur log ab bhi un jagahon par balidan chadhate the taaki unka dhuaan uthe.+  yahova ne ajaryah ko kodh ki beemari se peedit kiya+ aur woh apni maut tak kodhi raha. woh ek alag ghar mein rehne laga+ aur us dauran uske bete yotam+ ne mahal ki baagdor sambhali aur woh desh ke logon ka nyay karta tha.+  ajaryah ki zindagi ki baaki kahani,+ uske sabhi kaamon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.  fir ajaryah ki maut ho gayi*+ aur use daavidpur mein uske purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta yotam raja bana.  jab yahooda mein ajaryah+ ke raaj ka 38vaan saal chal raha tha, tab israel ke saamriya mein yaarobam ka beta jakaryah+ raja bana. jakaryah ne chhe: maheene raaj kiya.  usne apne purkhon ki tarah aise kaam kiye jo yahova ki nazar mein bure the. usne woh paap karne nahin chhode jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ 10  fir yaabesh ke bete shalloom ne jakaryah ke khilaf saazish rachi aur use yiblam+ mein maar daala.+ uska katla karne ke baad woh khud raja ban gaya. 11  jakaryah ki zindagi ki baaki kahani israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likhi hai. 12  is tarah yahova ki woh baat poori hui jo usne yehoo se kahi thi, “chaar peedhiyon tak tere bete+ israel ki raajgaddi par baitheinge.”+ aur vaisa hi hua. 13  jab israel mein yaabesh ka beta shalloom raja bana, tab yahooda mein ujjiyah+ ke raaj ka 39vaan saal chal raha tha. shalloom ne saamriya se israel par ek maheene raaj kiya. 14  fir gaadi ka beta manhem, tirsa+ se saamriya aaya aur vahaan usne yaabesh ke bete shalloom ko maar daala.+ uska katla karne ke baad woh khud raja ban gaya. 15  shalloom ki zindagi ki baaki kahani aur usne jo saazish ki, uska byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 16  usi dauran manhem, tirsa se tipsah aaya aur usne tipsah aur uske aas-paas ke ilake par hamla kar diya. tipsah ke logon ne uske liye faatak nahin khole, isliye usne tipsah aur aas-paas ke ilake ke sabhi logon ko maar daala. usne tipsah ko tabah kar diya aur vahaan ki garbhvati aurton ke pet cheer diye. 17  jab israel mein gaadi ka beta manhem raja bana, tab yahooda mein ajaryah ke raaj ka 39vaan saal chal raha tha. manhem ne saamriya se israel par das saal raaj kiya. 18  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. usne saari zindagi woh paap karne nahin chhode jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ 19  ashshoor ka raja pool+ israel par hamla karne aaya. tab manhem ne pool ko is irade se 1,000 tode* chaandi di ki woh israel par uska raaj mazboot karne mein uski madad kare.+ 20  usne ye chaandi israel ke bade-bade raison se vasool karke ikatthi ki thi.+ usne har rais se 50 shekel* chaandi lekar ashshoor ke raja ko di. isliye us raja ne desh par hamla nahin kiya aur vaapas laut gaya. 21  manhem ki zindagi ki baaki kahani,+ uske sabhi kaamon ka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 22  fir manhem ki maut ho gayi* aur uski jagah uska beta pakah-yaah raja bana. 23  jab israel ke saamriya mein manhem ka beta pakah-yaah raja bana, tab yahooda mein ajaryah ke raaj ka 50vaan saal chal raha tha. pakah-yaah ne do saal raaj kiya. 24  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. usne woh paap karne nahin chhode jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ 25  fir uske sahayak sena-adhikari pekah+ ne, jo ramalyah ka beta tha, uske khilaf saazish ki aur argob aur arye ke saath milkar uska katla kar diya. pekah ne use saamriya mein raajmahal ki meenar mein maar daala. pekah ke saath gilad ke 50 aadmi the. pakah-yaah ka katla karne ke baad pekah khud raja ban gaya. 26  pakah-yaah ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 27  jab israel ke saamriya mein ramalyah ka beta pekah raja bana, tab yahooda mein ajaryah ke raaj ka 52vaan saal chal raha tha. pekah+ ne 20 saal raaj kiya. 28  woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha. usne woh paap karne nahin chhode jo nabat ke bete yaarobam ne israel se karvaye the.+ 29  israel ke raja pekah ke dinon mein ashshoor ke raja tiglat-pileser+ ne israel par hamla kiya aur iyyon, aabel-bet-maaka,+ yaanoh, kedesh,+ haasor, gilad+ aur galeel par yaani naptali ke poore ilake par kabza kar liya+ aur vahaan ke logon ko bandi banakar ashshoor le gaya.+ 30  fir elah ke bete hoshea+ ne ramalyah ke bete pekah ke khilaf saazish ki aur use maar daala. uska katla karne ke baad hoshea khud raja ban gaya. yah ghatna ujjiyah ke bete yotam ke raaj ke 20vein saal+ mein ghati thi. 31  pekah ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura israel ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 32  jab israel mein ramalyah ke bete pekah ke raaj ka doosra saal chal raha tha, tab yahooda mein ujjiyah+ ka beta yotam+ raja bana. 33  us samay yotam 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 16 saal raaj kiya. uski maa ka naam yaroosha tha jo saadok ki beti thi.+ 34  yotam apne pita ujjiyah ki tarah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha.+ 35  magar uske raaj mein unchi jagah nahin mitayi gayin aur log ab bhi un jagahon par balidan chadhate the taaki unka dhuaan uthe.+ yotam ne hi yahova ke bhavan ka oopri faatak banvaya tha.+ 36  yotam ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 37  unhin dinon yahova ne seeriya ke raja raseen aur ramalyah ke bete pekah+ ko yahooda par hamla karne bheja.+ 38  fir yotam ki maut ho gayi* aur use uske purkhe daavid ke shehar daavidpur mein purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta aahaj raja bana.

kai footnote

yaani yaarobam dviteeya.
matlab “yahova ne madad ki.” use 2ra 15:13; 2it 26:1-23; yash 6:1 aur jak 14:5 mein ujjiyah kaha gaya hai.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ek shekel ka vazan 11.4 g. tha. ati. kha14 dekhein.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”