doosra raja 16:1-20

  • yahooda ka raja aahaj (1-6)

  • usne ashshooriyon ko rishvat di (7-9)

  • jhoothe devtaon ki vedi ki nakaal banayi (10-18)

  • aahaj ki maut (19, 20)

16  jab yahooda mein raja yotam ka beta aahaj+ raja bana, tab israel mein ramalyah ke bete pekah ke raaj ka 17vaan saal chal raha tha.  us samay aahaj 20 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par 16 saal raaj kiya. usne aise kaam nahin kiye jo uske parmeshvar yahova ki nazar mein sahi the, jaise uske purkhe daavid ne kiye the.+  iske bajay usne israel ke raajaon ke taur-tareeke apna liye+ aur un raashtron ke jaise ghinaune kaam kiye,+ jinhein yahova ne israeliyon ke saamne se khaded diya tha. yahaan tak ki usne apne bete ko aag mein hom kar diya.+  itna hi nahin, woh unchi jagahon aur pahadiyon par aur har ghane ped ke neeche+ balidan chadhata tha taaki unka dhuaan uthe.+  unhin dinon seeriya ka raja raseen aur israel ka raja pekah, jo ramalyah ka beta tha, aahaj se yuddh karne yarooshalem aaye.+ unhonne shehar ko gher liya magar woh us par kabza nahin kar paaye.  usi dauran seeriya ke raja raseen ne edom ko elat shehar vaapas dilaya+ aur uske baad elat se yahoodiyon* ko bhaga diya. aur edomi aakaar elat mein rehne lage aur woh aaj tak vahin base huye hain.  isliye aahaj ne apne dooton ke haath ashshoor ke raja tiglat-pileser+ ke paas yah sandesh bheja: “maalik, meri madad kar. main tera sevak hoon, tere sahare jeeta hoon.* hamein seeriya ke raja aur israel ke raja se bacha le, jo hum par hamla karne aaye hain.”  tab aahaj ne yahova ke bhavan aur raajmahal ke khazanon se saara sona-chaandi liya aur ashshoor ke raja ko rishvat mein bheja.+  ashshoor ke raja ne uski guzarish maan li. usne damishk jaakaar us par hamla kiya aur us par kabza kar liya. woh uske logon ko bandi banakar keer le gaya+ aur usne raseen ko maar daala.+ 10  tab raja aahaj ashshoor ke raja tiglat-pileser se milne damishk gaya. jab aahaj ne vahaan ki vedi dekhi to usne uska ek namoona yaajak ureeyah ko bheja jismein vedi ki banavat ki saari baareekiyaan batayi gayi thi.+ 11  yaajak ureeyah+ ne un saari hidayton ke mutabik ek vedi banayi+ jo raja aahaj ne damishk se bheji thi. usne woh vedi raja ke damishk se lautne se pehale banakar taiyar kar di. 12  jab raja damishk se lauta to usne jaakaar vedi dekhi. fir woh vedi ke paas gaya aur usne us par balidan chadhaye.+ 13  woh ek-ke-baad-ek hom-baliyaan aur apne anaj ke chadhave chadhata raha taaki unka dhuaan uthe. usne apna argh bhi chadhaya aur apni shaanti-baliyon ka khoon vedi par chhidka. 14  fir usne tambe ki woh vedi hata di+ jo bhavan ke aage yahova ke saamne rakhi hui thi. usne us vedi ko apni banayi hui vedi aur yahova ke bhavan ke beech se hata diya aur apni vedi ke uttar mein rakha. 15  raja aahaj ne yaajak ureeyah+ ko aadesh diya, “tu ab se isi mahavedi par subah ki hom-bali+ aur shaam ka anaj ka chadhava+ aur raja ki di hui hom-bali aur anaj ka chadhava, saath hi logon ki di hui hom-baliyaan, anaj ke chadhave aur argh chadhana. tu hom-baliyon aur doosre balidanon ka saara khoon isi vedi par chhidakna. jahaan tak us tambe ki vedi ki baat hai, main sochkar batata hoon ki uska kya kiya jaana chahiye.” 16  raja aahaj ne jo-jo aadesh diya, yaajak ureeyah ne un sabka paalan kiya.+ 17  iske alava, raja aahaj ne bhavan ki hath-gaadiyon mein se haudiyaan nikaal di+ aur gaadiyon ki pattiyaan kaatkar unke tukde-tukde kar diye.+ tambe ke bailon par jo bada haud rakha tha+ use usne utar diya aur patthar ke ek farsh par rakh diya.+ 18  bhavan mein sabt ke liye jo chhatvali jagah bani thi, use aur us darvaze ko usne hata diya jahaan se raja yahova ke bhavan mein jaaya karta tha. usne ashshoor ke raja ki vajah se aisa kiya. 19  aahaj ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye, unka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.+ 20  fir aahaj ki maut ho gayi* aur use daavidpur mein uske purkhon ki kabraa mein dafnaya gaya. uski jagah uska beta hijkiyah*+ raja bana.

kai footnote

ya “yahooda ke logon.”
shaa., “tera beta hoon.”
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
matlab “yahova mazboot karta hai.”