doosra raja 17:1-41
17 jab yahooda mein aahaj ke raaj ka 12vaan saal chal raha tha, tab israel mein elah ka beta hoshea+ raja bana. usne saamriya se israel par nau saal raaj kiya.
2 woh yahova ki nazar mein bure kaam karta raha, magar us had tak nahin jis had tak usse pehale ke israel ke raajaon ne kiye the.
3 ashshoor ke raja shalman-eser ne hoshea par hamla kar diya+ aur hoshea uske adheen ho gaya aur use kar dene laga.+
4 kuch samay baad ashshoor ke raja ko pata chala ki hoshea uske khilaf saazish kar raha hai kyonki hoshea ne misra ke raja so ke paas apne doot bheje the+ aur usne ashshoor ke raja ko kar laakaar nahin diya, jaise woh beete saalon mein diya karta tha. isliye ashshoor ke raja ne hoshea ko pakad liya aur kaid mein daal diya.
5 iske baad ashshoor ke raja ne aakaar poore israel desh par hamla kar diya aur saamriya ki gherabandi ki aur teen saal tak use ghere raha.
6 usne hoshea ke raaj ke nauvein saal mein saamriya par kabza kar liya.+ fir woh israel ke logon ko bandi+ banakar ashshoor le gaya aur unhein halah mein, gojan nadi+ ke paas haabor mein aur maadiyon ke shehron mein basa diya.+
7 yah sab isliye hua kyonki israel ke logon ne apne parmeshvar yahova ke khilaf paap kiya tha, jo unhein misra ke raja firaun ke changul se chhudakar vahaan se nikaal laaya tha.+ israel ke log doosre devtaon ko poojte the.*+
8 unhonne un raashtron ke reeti-rivaz apna liye jinhein yahova ne unke saamne se khaded diya tha, saath hi woh israel ke raajaon ke banaye reeti-rivaz bhi maante the.
9 israeli aise kaamon mein lag gaye jo unke parmeshvar yahova ke mutabik sahi nahin the. woh apne sabhi shehron mein unchi jagah banate gaye, unhonne pehre ki meenar se lekar kileband shehron tak ka kona-kona unchi jagahon se bhar diya.*+
10 woh har unchi pahadi par aur har ghane ped ke neeche+ apne liye pooja-stambh aur pooja-laath* banate gaye.+
11 woh un sabhi unchi jagahon par balidan chadhate the taaki unka dhuaan uthe. woh un raashtron ki dekha-dekhi aisa karne lage jinhein yahova ne unke saamne se khaded diya tha.+ woh lagatar dusht kaam karke yahova ka krodh bhadkate rahe.
12 woh un ghinauni moorton* ki pooja karte rahe+ jinke baare mein yahova ne unse kaha tha, “tum aisa mat karna!”+
13 yahova apne sab bhavishyavaktaon aur darshiyon ko bhejkar israel aur yahooda ko chetavni deta aur samjhata raha,+ “tum log ye dusht kaam karna chhod do aur palatkar mere paas laut aao!+ aur us kaanoon mein likhi aagyayen aur vidhiyaan maano jo mainne tumhare purkhon ko diya tha aur apne sevak bhavishyavaktaon ke zariye tumhein diya tha.”
14 magar unhonne uski baat nahin maani aur woh apne purkhon ki tarah dheeth bane rahe jinhonne apne parmeshvar yahova par vishvas nahin kiya tha.+
15 woh uske niyamon ko thukrate rahe aur unhonne woh karar tod diya+ jo parmeshvar ne unke purkhon ke saath kiya tha. parmeshvar unhein yaad dilakar chetavni deta raha magar woh ansuni karte rahe.+ woh nikammi moorton ki pooja karte rahe+ aur khud nikamme ban gaye.+ is tarah unhonne apne aas-paas ke raashtron ke taur-tareeke apna liye, jabki yahova ne unhein aagya di thi ki tum unke taur-tareeke mat apnana.+
16 woh apne parmeshvar yahova ki saari aagyayen todte rahe. unhonne dhaatu ke do bachhde taiyar kiye *+ aur ek pooja-laath+ banayi aur woh aakash ki saari sena ke aage jhukkar dandvat karne lage+ aur baal devta ko poojne lage.+
17 itna hi nahin, unhonne apne bete-betiyonn ko aag mein hom kar diya,+ jyotishi ke kaam karne lage,+ shakun vicharne lage aur aise kaamon mein doob gaye* jo yahova ki nazar mein bure the aur unhonne aisa karke uska krodh bhadkaya.
18 isliye yahova israel par bahot krodhit hua aur usne unhein apni nazron se door kar diya.+ usne yahooda gotra ke siva kisi aur ko na chhoda.
19 yahooda ke logon ne bhi apne parmeshvar yahova ki aagyayen nahin maanin.+ unhonne bhi vahi reeti-rivaz apna liye jo israel ke logon ne apnaye the.+
20 yahova ne israel ke sabhi vanshajon ko thukra diya, unhein neecha dikhaya aur luteron ke haath mein kar diya. woh aisa tab tak karta raha jab tak usne unhein apne saamne se hata na diya.
21 usne daavid ke gharane se israel ko chheen liya. fir nabat ke bete yaarobam ko raja banaya gaya.+ magar yaarobam israeliyon ko yahova ki upasna se door le gaya aur unse ek bahot bada paap karvaya.
22 woh un sabhi paapon mein doobe rahe jo yaarobam ne kiye the.+ unhonne woh paap karne nahin chhode.
23 aakhirkar yahova ne israel ko apni nazron se door kar diya, theek jaise usne apne sab sevkon yaani bhavishyavaktaon se kehalvaya tha.+ isliye israel ke logon ko bandi banakar ashshoor le jaaya gaya+ aur woh aaj tak vahin hain.
24 fir ashshoor ka raja baibilon, koota, avva, hamat aur saparvaim+ shehar se logon ko le aaya aur usne un sabko saamriya ke shehron mein basa diya jahaan israeli rehte the. un logon ne saamriya ko apne adhikar mein kar liya aur woh uske shehron mein bas gaye.
25 jab woh log vahaan base to shuroo mein woh yahova ka dar nahin maante the.* isliye yahova ne unke yahaan sheron ko bheja+ jinhonne unmein se kuch logon ko maar daala.
26 ashshoor ke raja ko yah khabar di gayi: “toone jin raashtron ke logon ko bandi banakar saamriya ke shehron mein basaya hai, woh us desh ke parmeshvar ki upasna karne ka tareeka* nahin jaante. isliye woh parmeshvar unke beech sheron ko bhej raha hai jo logon ko maar daalte hain. aisa isliye ho raha hai kyonki unmein se koi bhi us desh ke parmeshvar ki upasna karne ka tareeka nahin jaanta.”
27 yah khabar sunkar ashshoor ke raja ne hukm diya, “tum jin logon ko saamriya se bandi banakar laaye ho unmein se ek yaajak ko vaapas vahaan bhej do. woh vahaan rehkar logon ko us desh ke parmeshvar ki upasna karne ka tareeka sikhayega.”
28 tab saamriya se bandi banaye gaye yaajkon mein se ek yaajak vaapas betel+ aaya aur vahaan rehkar woh logon ko sikhane laga ki unhein kaise yahova ka dar maanna* chahiye.+
29 fir bhi har raashtra ke logon ne apne-apne devta ki moorat banayi* aur un moorton ko unchi jagahon par bane pooja-gharon mein rakha. ye sabhi unchi jagah saamri logon ne banayi thi. har raashtra se aaye logon ne un shehron mein aisa kiya tha jahaan woh bas gaye the.
30 baibilon ke logon ne sukkot-banot ki moorat banayi, koot ke logon ne nergal ki, hamat ke logon+ ne asheema ki
31 aur avva ke logon ne nibhaj aur tartak ki moortein banayin. saparvaim ke log apne yahaan ke devta adra-melek aur an-melek ke liye apne beton ko aag mein hom karte the.+
32 haalanki log yahova ka dar maante the magar unhonne aam logon mein se kuch aadmiyon ko chunkar unhein unchi jagahon ke pujari bana diya aur ye pujari unchi jagahon par bane pooja-gharon mein seva karte the.+
33 is tarah log yahova ka dar to maante the lekin pooja apne devtaon ki hi karte the aur un raashtron ke dharmon* ko maante the jahaan se unhein bandi banakar yahaan laaya gaya tha.+
34 aaj tak ye log apne purane dharmon* ko hi maante hain. unmein se koi bhi yahova ki upasna nahin karta,* na hi yahova ki vidhiyon, uske nyay-siddhaanton, kaanoon aur uski aagyaon ko maanta hai jo usne yakub ke beton ko di thi, jiska naam badalkar usne israel rakha tha.+
35 yahova ne uske beton ke saath ek karar kiya tha+ aur unhein yah aagya di thi, “tum doosre devtaon ka dar mat maanna aur unke aage dandvat mat karna, na unki seva karna aur na hi unke liye balidan chadhana.+
36 tum sirf yahova ka dar maanna+ jo apna haath badhakar apni mahashakti se tumhein misra se nikaal laaya tha.+ tum usi ke aage dandvat karna aur usi ke liye balidan chadhana.
37 usne tumhare liye jo niyam, nyay-siddhaant, kaanoon aur aagyayen likhvayi thi,+ tum unka sakhti se paalan karna aur doosre devtaon ka dar mat maanna.
38 tum woh karar kabhi mat bhoolna jo mainne tumhare saath kiya tha+ aur doosre devtaon ka dar mat maanna.
39 magar tum sirf apne parmeshvar yahova ka dar maanna kyonki vahi tumhein sabhi dushmanon ke haath se chhudayega.”
40 magar unhonne uski aagya nahin maani aur woh apne purane dharm* ko hi maante rahe.+
41 woh yahova ka dar maanne lage,+ par saath hi apni gadhi hui moorton ki seva karte the. unke bete aur pote bhi unhin ki leek par chale aur aaj tak woh aisa hi karte hain.
kai footnote
^ shaa., “ka dar maante the.”
^ yaani har jagah par, fir chahe vahaan thode log base hon ya ghani aabadi ho.
^ inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
^ ya “do bachhdon ki moortein dhaalkar banayin.”
^ shaa., “ke liye khud ko bech diya.”
^ ya “ki upasna nahin karte the.”
^ ya “ke dhaarmik rivaz.”
^ ya “ki upasna karni.”
^ ya “devtaon ki moortein banayin.”
^ ya “dhaarmik rivazon.”
^ ya “dhaarmik rivazon.”
^ shaa., “ka dar nahin maanta.”
^ ya “dhaarmik rivazon.”