doosra raja 18:1-37

  • yahooda ka raja hijkiyah (1-8)

  • israel ke ant par dobara nazar (9-12)

  • yahooda par sanhereeb ka hamla (13-18)

  • rabshake ne yahova par taana kasa (19-37)

18  jab israel mein elah ke bete hoshea+ ke raaj ka teesra saal chal raha tha, tab yahooda mein raja aahaj+ ka beta hijkiyah+ raja bana.  us samay hijkiyah 25 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 29 saal raaj kiya. uski maa ka naam abee* tha jo jakaryah ki beti thi.+  hijkiyah yahova ki nazar mein sahi kaam karta raha,+ theek jaise uske purkhe daavid ne kiya tha.+  hijkiyah hi woh raja tha jisne unchi jagah hatayin,+ pooja-stambh choor-choor kar diye aur pooja-laath* kaat daali.+ usne tambe ka woh saanp bhi choor-choor kar diya jo moosa ne banvaya tha.+ us saanp ko ‘tambe ke saanp ki moorat’* kaha jaata tha. israeli ab bhi uske aage balidan chadhaya karte the taaki unka dhuaan uthe.  hijkiyah ne hamesha israel ke parmeshvar yahova par bharosa rakha.+ yahooda mein jitne raja huye the unmein hijkiyah jaisa raja koi na tha, na uske pehale na uske baad.  woh hamesha yahova se lipta raha+ aur uski batayi raah se kabhi door nahin gaya. woh un aagyaon ko maanta raha jo yahova ne moosa ko di thi.  aur yahova ne bhi uska saath nahin chhoda. hijkiyah ne jo bhi kaam kiya badi buddhimani se kiya. usne ashshoor ke raja se bagavat ki aur uski seva karne se inkar kar diya.+  usne palishtiyon ko bhi hara diya+ aur pehre ki meenar se lekar kileband shehar tak* unke sabhi ilakon par kabza kar liya. unmein gaaza aur uske aas-paas ke ilake bhi the.  jab yahooda mein hijkiyah ke raaj ka chautha saal aur israel mein elah ke bete hoshea+ ke raaj ka saatvaan saal chal raha tha, tab ashshoor ke raja shalman-eser ne saamriya par hamla kar diya aur uski gherabandi karne laga.+ 10  gherabandi ka teesra saal khatm hote-hote, ashshooriyon ne saamriya par kabza kar liya.+ us samay yahooda mein hijkiyah ke raaj ka chhatha saal chal raha tha aur israel mein hoshea ke raaj ka nauvaan saal. 11  saamriya par kabza karne ke baad ashshoor ka raja israel ke logon ko bandi+ banakar ashshoor le gaya aur unhein halah mein, gojan nadi ke paas haabor mein aur maadiyon ke shehron mein basa diya.+ 12  yah isliye hua kyonki unhonne apne parmeshvar yahova ki baat nahin maani aur woh uske karar ke khilaf kaam karte rahe, yaani yahova ke sevak moosa ne jitni aagyayen di thi, un sabka unhonne ullanghan kiya.+ unhonne na to parmeshvar ki baat suni aur na uski aagya maani. 13  hijkiyah ke raaj ke 14vein saal mein ashshoor ke raja sanhereeb+ ne yahooda ke sabhi kileband shehron par hamla kar diya aur un par kabza kar liya.+ 14  tab yahooda ke raja hijkiyah ne ashshoor ke raja ke paas laakeesh mein yah sandesh bheja: “mujhse galti ho gayi. tu mujh par jo jurmana lagana chahe laga de, main dene ko taiyar hoon. tu yah gherabandi hata de.” ashshoor ke raja ne hijkiyah par 300 tode* chaandi aur 30 tode sone ka jurmana lagaya. 15  isliye hijkiyah ne yahova ke bhavan aur raajmahal ke khazanon se saari chaandi nikaalkar us raja ko de di.+ 16  us vakt hijkiyah ne yahova ke mandir ke darvaze+ aur unke baazoo nikaal diye jin par usne khud sona madhvaya tha+ aur yah sab ashshoor ke raja ko de diya. 17  tab ashshoor ke raja ne laakeesh+ se tartan,* rabsarees* aur rabshake* ko ek vishal sena ke saath raja hijkiyah ke paas yarooshalem bheja.+ woh yarooshalem gaye aur vahaan ke ooparvale taalab ki nahar ke paas khade ho gaye, jo dhobi ke maidan ki taraf jaanevale raajmarg ke paas thi.+ 18  jab unhonne yahooda ke raja ko baahar aane ke liye aavaz di, to uske raaj-gharane ki dekhrekh karnevala adhikari elyakeem+ (jo hilkiyah ka beta tha), raaj-sachiv shebnah+ aur shaahi itihaskar yoah (jo aasap ka beta tha) baahar unke paas aaye. 19  rabshake ne unse kaha, “jaakaar hijkiyah se kaho, ‘ashshoor ke raajadhiraj ka yah sandesh hai: “tu kis baat par bharosa kiye baitha hai?+ 20  tu jo kehta hai ki mere paas yuddh ki ranneeti taiyar hai, mere paas bahot taakat hai, yah sab bakvas hai! toone kis par bharosa karke mujhse bagavat karne ki jurrat ki hai?+ 21  us misra par? woh to kuchla hua narkat hai! agar koi uska sahara lene ke liye us par haath rakhe to woh uski hatheli mein chubh jaayega. misra ke raja firaun par jitne log bharosa rakhte hain+ unke liye woh ek kuchle huye narkat ke siva kuch nahin hai. 22  ab yah mat kehna ki hamein apne parmeshvar yahova par bharosa hai.+ hijkiyah ne to uski saari unchi jagah aur vediyaan dhaa di+ aur woh yahooda aur yarooshalem ke logon se kehta hai, ‘tum sirf yarooshalem ki is vedi ke aage dandvat karna.’”’+ 23  ab aa aur mere maalik ashshoor ke raja se yah baazee laga: main tujhe 2,000 ghode deta hoon, tu unke liye savaar laakaar dikha.+ 24  jab tu yah nahin kar sakta, to hamari sena ka mukabla kaise karega? tu chahe misra ke saare rath aur ghudsavaar le aaye, fir bhi mere maalik ke ek raajyapal ko, uske sabse chhote sevak ko bhi hara nahin paayega. 25  aur kya main bina yahova ki ijazat ke is jagah ko naash karne aaya hoon? yahova ne khud mujhse kaha hai, ‘jaa us desh par hamla kar, use tabah kar de.’” 26  tab hilkiyah ke bete elyakeem aur shebnah+ aur yoah ne rabshake+ se kaha, “meharbani karke apne sevkon se araami* bhasha+ mein baat kar kyonki hum woh bhasha samajh sakte hain. tu hamse yahoodiyon ki bhasha mein baat na kar kyonki sheharpanah par khade log sun rahe hain.”+ 27  magar rabshake ne unse kaha, “mere maalik ne mujhe sirf tumhein aur tumhare maalik ko sandesh sunane ke liye nahin bheja. yah sandesh sheharpanah par khade aadmiyon ke liye bhi hai, kyonki unki aur tumhari aisi haalaat hogi ki tum apna hi mal khaaoge aur apna hi peshab peeoge.” 28  fir rabshake yahoodiyon ki bhasha mein zor-zor se kehne laga, “ashshoor ke raajadhiraj ka sandesh suno,+ 29  ‘tum log hijkiyah ki baaton mein mat aao, woh tumhein mere haath se nahin chhuda sakta.+ 30  uski baat par yakeen mat karo jo tumhein yahova par bharosa dilane ke liye kehta hai, “yahova hamein zaroor bachayega aur yah shehar ashshoor ke raja ke haath mein nahin kiya jaayega.”+ 31  tum uski baat bilkul mat sunnaa. ashshoor ke raja ne kaha hai, “tum log mere saath sulah kar lo aur apne hathiyar daal do,* tab tummein se har koi apne-apne angooron ke baag aur anjeer ke ped se khaa sakega aur apne kund se paani pi sakega. 32  fir main aakaar tumhein ek aise desh mein le jaaunga jo tumhare desh jaisa hai.+ vahaan anaj, nayi daakh-madira, roti aur shehad ki bharmar hogi aur jagah-jagah angooron ke baag aur jaitoon ke ped honge. tab tumhari jaan salamat rahegi, tumhein maut ka khatra nahin hoga. hijkiyah ki baat mat suno, woh yah kehkar tumhein gumrah kar raha hai, ‘yahova hamein bacha lega.’ 33  kya aaj tak kisi raashtra ka devta apne desh ko ashshoor ke raja ke haath se bacha paaya hai? 34  hamat+ aur arpad ke devta kahaan gaye? kahaan gaye saparvaim,+ hena aur ivva ke devta? kya woh saamriya ko mere haath se bacha sake?+ 35  kya unmein se ek bhi devta aisa hai jo apne desh ko mere haath se bacha paaya ho? to fir yahova kaise yarooshalem ko mere haath se bacha paayega?”’”+ 36  magar log chup rahe, unhonne javab mein kuch nahin kaha kyonki raja ka yah aadesh tha: “tum use koi javab mat dena.”+ 37  iske baad raaj-gharane ki dekhrekh karnevala adhikari elyakeem (jo hilkiyah ka beta tha), raaj-sachiv shebnah aur shaahi itihaskar yoah ne (jo aasap ka beta tha) apne kapde faade aur hijkiyah ke paas aakaar use rabshake ki saari baatein batayin.

kai footnote

yah abiyah naam ka chhota roop hai.
shabdavli dekhein.
ya “nahush-taan.”
yaani har jagah par, fir chahe vahaan thode log base hon ya ghani aabadi ho.
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
ya “pradhan saaki.”
ya “mukhya darbaari.”
ya “senapati.”
ya “seeriyai.”
shaa., “mere saath aasheervad karo aur mere paas nikaal aao.”