doosra raja 19:1-37
19 jaise hi raja hijkiyah ne yah suna, usne apne kapde faade aur taat odhkar yahova ke bhavan mein gaya.+
2 fir usne raaj-gharane ki dekhrekh ke adhikari elyakeem, raaj-sachiv shebnah aur yaajkon ke mukhiyaon ko aamoj ke bete bhavishyavakta yashayah+ ke paas bheja. woh sabhi taat odhe uske paas gaye.
3 unhonne usse kaha, “hijkiyah ne kaha hai, ‘aaj ka din bhaari sankat ka din hai, ninda* aur apman ka din hai. hamari haalaat aisi aurat ki tarah ho gayi hai jiske bachche hone ka vakt aa gaya hai, magar usmein bachcha janne ki taakat nahin hai.+
4 isliye tu is desh mein bache huon ki khaatir parmeshvar se binti kar.+ ho sakta hai tera parmeshvar yahova rabshake ki saari baaton par dhyan de jise ashshoor ke raja ne jeevit parmeshvar par taana kasne bheja.+ aur tera parmeshvar yahova usse un saari baaton ka hisab le jo usne suni hain.’”
5 jab raja hijkiyah ke sevkon ne yashayah ko yah sandesh sunaya,+
6 to yashayah ne unse kaha, “tum jaakaar apne maalik se kehna, ‘yahova ne kaha hai, “ashshoor ke raja ke sevkon ne meri ninda mein jo baatein kahi hain,+ unki vajah se tu mat dar.+
7 main uske dimag mein ek baat daaloonga aur woh ek khabar sunkar apne desh laut jaayega. fir main use usi ke desh mein talvar se marva daaloonga.”’”+
8 rabshake ko khabar mili ki ashshoor ka raja laakeesh+ se apni sena lekar chala gaya hai, tab rabshake vaapas apne raja ke paas laut gaya aur usne dekha ki raja libna se yuddh kar raha hai.+
9 ashshoor ke raja ko khabar mili ki ithiyopiya ka raja tirhaka usse yuddh karne aaya hai. isliye usne apne dooton+ se yah kehkar unhein fir hijkiyah ke paas bheja:
10 “tum jaakaar yahooda ke raja hijkiyah se kehna, ‘tu apne parmeshvar ki baat par yakeen mat kar. woh tujhe yah kehkar dhokha de raha hai ki yarooshalem ashshoor ke raja ke haath mein nahin kiya jaayega.+
11 tu achhi tarah jaanta hai ki ashshoor ke raajaon ne doosre sabhi deshon ka kya haal kiya, unhein kaise dhool chata di.+ fir toone yah kaise soch liya ki tu akela bach jaayega?
12 mere purkhon ne jin raashtron ka naash kiya tha, kya unke devta apne raashtron ko bacha sake? gojan, haaran+ aur resep, aaj ye saare raashtra kahaan hain? talassar mein rehnevale adan ke log kahaan gaye?
13 hamat ka raja, arpad ka raja aur saparvaim, hena, ivva,+ in saare shehron ke raja kahaan rahe?’”
14 hijkiyah ne dooton se woh chitthiyaan lin aur unhein padha. fir woh yahova ke bhavan mein gaya aur usne yahova ke saamne chitthiyaan failakar rakh di.+
15 fir hijkiyah yahova ke saamne binti karne laga,+ “hey israel ke parmeshvar yahova, tu jo karoobon par* virajman hai,+ dharti ke sab raajyon mein tu akela sachcha parmeshvar hai.+ toone hi aakash aur dharti ko banaya hai.
16 hey yahova, meri taraf kaan laga aur sun!+ hey yahova, hum par nazar kar!+ sanhereeb ne tujh jeevit parmeshvar ko taana maarne ke liye jo baatein likhi hain, un par dhyan de.
17 hey yahova, yah sach hai ki ashshoor ke raajaon ne kai raashtron aur unke ilakon ko tahas-nahas kar diya+ aur
18 unke devtaon ko aag mein jhonk diya. magar woh un devtaon ko isliye naash kar paaye kyonki woh devta nahin,+ bas insanon ki kaareegari the,+ patthar aur lakdi the.
19 ab hey hamare parmeshvar yahova, daya karke tu hamein uske haath se bacha le taaki dharti ke sab raajya jaan lein ki tu yahova hi parmeshvar hai.”+
20 tab aamoj ke bete yashayah ne hijkiyah ke paas yah sandesh bheja: “israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘toone ashshoor ke raja sanhereeb ke baare mein mujhse jo prarthna ki, woh mainne sun li hai.+
21 yahova ne sanhereeb ke khilaf yah faisla sunaya hai:
“siyyon ki kunvari beti tujhe tuchh samajhti hai, teri khilli udati hai.
yarooshalem ki beti sir hila-hilakar tujh par hansti hai.
22 tu jaanta bhi hai toone kise taana maara hai, kiski ninda ki hai?+
kiske khilaf aavaz uthayi hai?+
tu ghamand se bharkar kise aankh dikha raha hai?
israel ke pavitra parmeshvar ko!+
23 toone apne dooton+ ke haath yah sandesh bhejkar yahova ko taana maara hai:+
‘main apne behisab yuddh-rath lekar aaunga,pahadon ki chotiyon par chadh jaaunga,labanon ke door-door ke ilakon tak pahunch jaaunga.
main uske unche-unche devdar, badhiya-badhiya sanovar kaat daaloonga.
main door-door tak base aashiyane mein, uske sabse ghane janglon mein ghus jaaunga.
24 main parayi zameen par kuyen khudvaunga, vahaan ka paani peeunga,apne pairon ke talve se misra ki saari nadiyaan* sukha doonga.’
25 kya toone nahin suna? mainne bahot pehale hi yah faisla kar liya tha.+
arson pehale iski taiyari kar li thi.*+
ab vakt aa gaya hai ise anjam dene ka.+
tu kileband shehron ko malbe ka dher bana dega.+
26 unke nivasi bebas ho jaayenge,unmein dar sama jaayega, woh sharminda ho jaayenge.
woh maidan ke ped-paudhon aur hari ghaas ki tarah kamzor ho jaayenge,+chhat ki ghaas jaise ho jaayenge jo poorab ki hava se jhulas jaati hai.
27 main tera uthna-baithna, aana-jaana sab jaanta hoon,+yah bhi ki tu kab mujh par bhadak uthta hai.+
28 kyonki tera krodh karna+ aur tera dahadna mere kaanon tak pahuncha hai.+
main teri naak mein nakel daaloonga aur tere munh mein lagam lagaunga,+tujhe khinchkar usi raaste vaapas le jaaunga jisse tu aaya hai.”+
29 ye baatein zaroor hongi, iski main tujhe* yah nishani deta hoon: is saal tum log woh anaj khaaoge jo apne aap ugta hai,* agle saal woh anaj khaaoge jo pichhle anaj ke girne se ugta hai+ aur teesre saal tum beej booge aur uski fasal kaatoge aur angooron ke baag lagaoge aur unke fal khaaoge.+
30 yahooda ke gharane ke jo log bach jaayenge,+ woh paudhon ki tarah jad pakdeinge aur fal paida kareinge.
31 bache huye log yarooshalem se nikleinge, haan, jo zinda bach jaayenge woh siyyon pahad se nikleinge. senaon ka parmeshvar yahova apne josh ke kaaran aisa zaroor karega.+
32 isliye yahova ashshoor ke raja ke baare mein kehta hai,+
“woh is shehar mein nahin aayega,+na yahaan ek bhi teer chalayega,na dhaal lekar hamla karega,na hi gherabandi ki dhalan khadi karega.+
33 woh jis raaste aaya hai usi raaste laut jaayega,woh is shehar mein nahin aayega.” yah yahova ka ailan hai.
34 “main apne naam ki khaatir+ aur apne sevak daavid ki khaatir+is shehar ki raksha karoonga, ise bachaunga.”’”+
35 fir usi raat yahova ka swargdoot ashshooriyon ki chhaavni mein gaya aur unke 1,85,000 sainikon ko maar daala.+ jab log subah tadke uthe to unhonne dekha ki chaaron taraf laashein bichhi hain.+
36 tab ashshoor ka raja sanhereeb vahaan se chala gaya aur neenve+ laut gaya aur vahin raha.+
37 ek din jab woh apne devta nisrok ke mandir mein jhukkar dandvat kar raha tha to uske apne beton ne, adra-melek aur shareser ne use talvar se maar daala.+ fir woh ararat desh bhaag gaye.+ sanhereeb ki jagah uska beta esar-haddon+ raja bana.
kai footnote
^ ya “beizzati.”
^ ya shaayad, “ke beech.”
^ ya “neel nadi ki nahrein.”
^ ya “ise racha tha.”
^ yaani hijkiyah ko.
^ ya “bikhre huye daanon se hui paidavar khaaoge.”