doosra raja 20:1-21
20 un dinon hijkiyah beemar ho gaya. uski haalaat itni kharab ho gayi ki woh marnevala tha.+ tab aamoj ka beta, bhavishyavakta yashayah uske paas aaya aur usse kaha, “yahova ne kaha hai, ‘tu apne gharane ko zaroori hidaytein de kyonki tu is beemari se theek nahin hoga, teri maut ho jaayegi.’”+
2 yah sunkar hijkiyah ne deevar ki taraf munh kiya aur woh yahova se prarthna karne laga,
3 “hey yahova, main tujhse binti karta hoon, yaad kar ki main kaise tera vishvasyogya bana raha aur poore dil se tere saamne sahi raah par chalta raha. mainne hamesha vahi kiya jo teri nazar mein sahi hai.”+ yah kehkar hijkiyah fut-futkar rone laga.
4 hijkiyah ko sandesh sunane ke baad yashayah mahal ke beechvale aangan tak pahuncha bhi na tha ki yahova ka yah sandesh uske paas aaya,+
5 “tu mere logon ke aguve hijkiyah ke paas vaapas jaa aur usse keh, ‘tere purkhe daavid ke parmeshvar yahova ne kaha hai, “mainne teri prarthna suni hai, tere aansoo dekhe hain.+ main teri beemari door kar doonga.+ teesre din tu yahova ke bhavan mein jaayega.+
6 main teri umra 15 saal aur badha doonga. main tujhe aur is shehar ko ashshoor ke raja ke haath se bachaunga.+ apne naam ki khaatir aur apne sevak daavid ki khaatir main is shehar ki hifazat karoonga.”’”+
7 fir yashayah ne raja ke sevkon se kaha, “sookhe anjeeron ki ek tikiya le aao.” unhonne sookhe anjeeron ki tikiya laakaar hijkiyah ke fode par lagayi. iske baad woh dheere-dheere theek ho gaya.+
8 hijkiyah ne yashayah se poochha tha, “main kaise yakeen karoon ki yahova meri beemari door kar dega aur teesre din main yahova ke bhavan mein jaa paaunga? kya tu mujhe iski koi nishani dega?”+
9 yashayah ne usse kaha, “yahova ki taraf se tere liye yah nishani hogi jisse tu yakeen kare ki yahova ne jo kaha hai use woh poora bhi karega: tu kya chahta hai, seedhiyon* par chhaaya das kadam aage badhe ya das kadam peechhe jaaye?”+
10 hijkiyah ne kaha, “chhaaya ka das kadam aage badhna aasan hai, magar peechhe jaana mushkil.”
11 tab bhavishyavakta yashayah ne yahova ko pukara aur parmeshvar ne aahaj ki seedhiyon par woh chhaaya das kadam peechhe kar di jo aage badh chuki thi.+
12 us vakt baibilon ke raja barodak-baldan ne, jo baldan ka beta tha, apne dooton ke haath hijkiyah ko chitthiyaan aur ek tohfa bheja kyonki use hijkiyah ki beemari ka pata chala tha.+
13 hijkiyah ne un dooton ka swagat kiya* aur unhein apna saara khazana dikha diya.+ usne saara sona-chaandi, balsan ka tel, doosre kism ke beshkeemti tel, hathiyaron ka bhandar aur woh saari cheezen dikhayin jo uske khazanon mein thi. uske mahal aur poore raajya mein aisi ek bhi cheez nahin thi jo usne unhein na dikhayi ho.
14 iske baad bhavishyavakta yashayah raja hijkiyah ke paas aaya aur usse poochha, “ye aadmi kahaan se aaye the aur inhonne tujhse kya kaha?” hijkiyah ne kaha, “woh ek door desh baibilon se aaye the.”+
15 fir yashayah ne poochha, “unhonne tere mahal mein kya-kya dekha?” hijkiyah ne kaha, “unhonne mere mahal ki har cheez dekhi. mere khazanon mein aisa kuch nahin jo mainne unhein na dikhaya ho.”
16 tab yashayah ne hijkiyah se kaha, “ab tu yahova ka sandesh sun.+
17 yahova kehta hai, ‘dekh! woh din aa raha hai jab tere mahal ka saara khazana baibilon le jaaya jaayega. tere purkhon ne aaj ke din tak jitna dhan jama kiya tha, woh sab bhi loot liya jaayega.+ ek bhi cheez nahin chhodi jaayegi.
18 aur tere jo bete honge unmein se kuch ko baibilon le jaaya jaayega+ aur vahaan ke raajmahal mein darbaari banaya jaayega.’”+
19 hijkiyah ne yashayah se kaha, “toone yahova ka jo faisla sunaya hai, woh sahi hai.”+ fir usne kaha, “parmeshvar ki badi daya hai ki mere jeete-ji* mere raaj mein shaanti aur suraksha* rahegi.”+
20 hijkiyah ki zindagi ki baaki kahani, uske bade-bade kaamon ka aur kaise usne kund+ aur paani ki surang banvakar shehar mein paani laane ka intazam kiya,+ un sabka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.
21 fir hijkiyah ki maut ho gayi*+ aur uski jagah uska beta manashshe+ raja bana.+
kai footnote
^ shaayad in seedhiyon ka istemal ek dhoop-ghadi ki tarah samay maapne ke liye kiya jaata tha.
^ ya “ki suni.”
^ shaa., “dinon mein.”
^ ya “sachchai.”
^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”