doosra raja 21:1-26

  • yahooda ka raja manashshe; khoon ki nadiyaan bahayin (1-18)

    • yarooshalem naash kiya jaayega (12-15)

  • yahooda ka raja aamon (19-26)

21  manashshe+ jab raja bana tab woh 12 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 55 saal raaj kiya.+ uski maa ka naam hepseeba tha.  manashshe ne yahova ki nazar mein bure kaam kiye. usne un raashtron ke jaise ghinaune kaam kiye+ jinhein yahova ne israel ke logon ke saamne se khaded diya tha.+  usne woh unchi jagah fir se banva di jo uske pita hijkiyah ne dhaa di thi.+ usne baal ke liye vediyaan khadi karvayin aur ek pooja-laath* banvayi,+ theek jaise israel ke raja ahab ne kiya tha.+ manashshe aakash ki saari sena ke aage dandvat karta tha aur uski pooja karta tha.+  usne yahova ke us bhavan mein bhi vediyaan khadi kar di+ jiske baare mein yahova ne kaha tha, “yarooshalem se mera naam juda rahega.”+  usne yahova ke bhavan ke donon aanganon+ mein aakash ki saari sena ke liye vediyaan khadi kin.+  usne apne bete ko aag mein hom kar diya. woh jaadoo karta tha aur shakun vicharta tha+ aur usne desh mein mare huon se sampark karne ka daava karnevalon aur bhavishya batanevalon ko thehraya tha.+ usne aise kaam karne mein saari hadein paar kar di jo yahova ki nazar mein bure the aur uska krodh bhadkaya.  usne jo pooja-laath tarashkar banvayi thi+ use le jaakaar yahova ke bhavan mein rakh diya, jiske baare mein parmeshvar ne daavid aur uske bete sulaiman se kaha tha, “is bhavan aur yarooshalem ke saath mera naam hamesha juda rahega, jinhein mainne israel ke sabhi gotron ke ilake mein se chuna hai.+  main israeliyon ko is desh se nikaalkar fir kabhi nahin bhatkaunga jo mainne unke purkhon ko diya tha,+ basharte woh meri sab aagyaon ko sakhti se maanein,+ us poore kaanoon ko jo mere sevak moosa ne unhein diya tha.”  magar unhonne parmeshvar ki aagya nahin maani aur manashshe unhein sahi raah se door le jaata raha aur un raashtron se bhi badhkar dusht kaam karvata raha, jinhein yahova ne israeliyon ke saamne se mita diya tha.+ 10  yahova apne sevkon yaani bhavishyavaktaon ke zariye baar-baar unse kehta tha,+ 11  “yahooda ke raja manashshe ne ye saare ghinaune kaam kiye hai. usne un sabhi emoriyon se badhkar dushtata ki hai+ jo usse pehale hua karte the.+ usne ghinauni moortein* khadi karvakar yahooda se paap karvaya hai. 12  isliye israel ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main yarooshalem aur yahooda par aisa kehar dhaaunga+ ki sunnaevalon ke kaan jhanjhana jaayenge.+ 13  main yarooshalem ko usi naapne ki dori se naapoonga+ jisse mainne saamriya ko naapa tha+ aur us par vahi saahul istemal karoonga jo mainne ahab ke gharane par istemal kiya tha.+ main yarooshalem ka aisa safaya kar doonga jaise koi katore ko saaf kar deta hai aur use ponchhkar ulat deta hai.+ 14  main apni jaageer ke bache huye logon ko tyag doonga+ aur unhein unke dushmanon ke havale kar doonga. unhein bandi bana liya jaayega aur unke saare dushman aakaar unki cheezen loot leinge+ 15  kyonki unhonne meri nazar mein bure kaam kiye hain aur jis din unke baap-daade misra se nikle the tab se lekar aaj tak woh lagatar mera krodh bhadkate aaye hain.’”+ 16  manashshe ne yahooda ke logon se aise kaam karvaye the jo yahova ki nazar mein bure the. is paap ke alava, usne behisab maansoomon ka khoon bahaya. usne yarooshalem ke ek chhor se doosre chhor tak khoon ki nadiyaan baha di.+ 17  manashshe ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye, unka aur uske sabhi paapon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 18  fir manashshe ki maut ho gayi* aur use usi ke mahal ke baag mein, jo ujja ka baag kehlata hai, dafnaya gaya.+ uski jagah uska beta aamon raja bana. 19  jab aamon+ raja bana tab woh 22 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par do saal raaj kiya.+ uski maa ka naam mashullemet tha jo yotba ke rehnevale haaroos ki beti thi. 20  aamon apne pita manashshe ki tarah yahova ki nazar mein bure kaam karta raha.+ 21  woh apne pita ke hi nakshe-kadam par chala. woh un ghinauni moorton ke aage dandvat karta tha aur unki pooja karta tha jinhein uska pita poojta tha.+ 22  usne apne purkhon ke parmeshvar yahova ko chhod diya aur woh yahova ki raah par nahin chala.+ 23  baad mein aamon ke sevkon ne uske khilaf saazish rachi aur usi ke mahal mein uska katla kar diya. 24  magar desh ke logon ne un sabko maar daala jinhonne raja aamon ke khilaf saazish ki thi. fir unhonne aamon ki jagah uske bete yoshiyah ko raja banaya.+ 25  aamon ki zindagi ki baaki kahani, usne jo-jo kaam kiye, unka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 26  aamon ko ujja ke baag mein uski apni kabraa mein dafnaya gaya.+ uski jagah uska beta yoshiyah+ raja bana.

kai footnote

shabdavli dekhein.
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”