doosra raja 22:1-20

  • yahooda ka raja yoshiyah (1, 2)

  • mandir ki marammat ke baare mein nirdesh (3-7)

  • kaanoon ki kitab mili (8-13)

  • hulda ne vipatti ki bhavishyavani ki (14-20)

22  yoshiyah+ jab raja bana tab woh aath saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 31 saal raaj kiya.+ uski maa ka naam yadeeda tha jo boskat+ ke rehnevale adayah ki beti thi.  yoshiyah ne yahova ki nazar mein sahi kaam kiye aur woh apne purkhe daavid ke nakshe-kadam par chala.+ woh parmeshvar ki batayi raah se na kabhi daayen muda na baayen.  yoshiyah ne apne raaj ke 18vein saal mein raaj-sachiv shaapan ko (jo asalyah ka beta aur mashullam ka pota tha) yah kehkar yahova ke bhavan mein bheja:+  “mahayajak hilkiyah+ ke paas jaa aur usse keh ki woh yahova ke bhavan se saara paisa nikaale jo logon ne daan mein diya hai+ aur jise darbanon ne ikattha kiya hai.+  unhein batana ki woh paisa un aadmiyon ko dein jinhein yahova ke bhavan mein kaam ki nigrani saunpi gayi hai. fir nigrani karnevale paisa le jaakaar yahova ke bhavan ki marammat karnevale+  kaareegaron, raajgeeron aur raajmistriyon ko deinge. woh us paise se bhavan ki marammat ke liye shahteerein aur gadhe huye patthar khareedeinge.+  magar nigrani karnevalon se us paise ka koi hisab-kitab na liya jaaye kyonki woh bharosemand aadmi hain.”+  baad mein mahayajak hilkiyah ne raaj-sachiv shaapan+ se kaha, “mujhe yahova ke bhavan mein kaanoon ki kitab mil gayi hai!”+ hilkiyah ne woh kitab shaapan ko di aur shaapan use padhne laga.+  fir raaj-sachiv shaapan raja ke paas gaya aur use bataya, “tere sevkon ne bhavan ka saara paisa nikaalkar un aadmiyon ko de diya hai jinhein yahova ke bhavan mein kaam ki nigrani saunpi gayi hai.”+ 10  raaj-sachiv shaapan ne raja ko yah khabar bhi di, “yaajak hilkiyah ne mujhe ek kitab+ di hai.” fir shaapan raja ko woh kitab padhkar sunane laga. 11  jaise hi raja ne kaanoon ki kitab mein likhi baatein sunin, usne apne kapde faade.+ 12  fir usne yaajak hilkiyah, shaapan ke bete aheekam,+ meekayah ke bete akbor, raaj-sachiv shaapan aur apne sevak asayah ko yah aadesh diya: 13  “tum log meri taraf se aur logon aur poore yahooda ki taraf se jaao aur yah jo kitab mili hai, ismein likhi baaton ke baare mein yahova se poochho. hamare purkhon ne is kitab mein likhi aagyaon ka paalan nahin kiya, ismein jo likha hai use nahin maana, jiska hamein bhi paalan karna chahiye. isliye yahova ka gussa, uske krodh ki jvala hum par bhadak uthi hai.”+ 14  tab yaajak hilkiyah, aheekam, akbor, shaapan aur asayah, sab milkar bhavishyavaktin+ hulda ke paas gaye. bhavishyavaktin hulda, shalloom ki patni thi jo tikva ka beta aur harhas ka pota tha. shalloom poshak-ghar ki dekhrekh karnevala tha. hulda ‘yarooshalem ke naye hisse’ mein rehti thi aur vahin yoshiyah ke bheje huye aadmiyon ne usse baat ki.+ 15  hulda ne unse kaha, “israel ke parmeshvar yahova ne kaha hai, ‘jis aadmi ne tumhein mere paas bheja hai, usse kehna: 16  “yahova ne kaha hai, ‘main is jagah par aur yahaan rehnevalon par vipatti laaunga, theek jaise us kitab mein likha hai jo yahooda ke raja ne padhi hai.+ 17  unhonne mujhe chhod diya hai aur woh doosre devtaon ke saamne balidan chadhate hain+ aur apne haath ki banayi cheezon se mujhe gussa dilate hain,+ isliye mere krodh ki jvala is jagah par bhadak uthegi aur woh nahin bujhegi.’”+ 18  magar tum yahooda ke raja se, jisne yahova ki marzee jaanne ke liye tumhein bheja hai, kehna, “toone jo baatein suni hain unke baare mein israel ka parmeshvar yahova kehta hai, 19  ‘jab toone suna ki main is jagah aur yahaan rehnevalon ko is kadar naash karoonga ki woh shaapit thehreinge aur unki barbadi dekhnevale dehal jaayenge, to is baat ne tere dil par gehra asar kiya aur toone khud ko yahova ke saamne namra kiya hai+ aur tu apne kapde faadkar+ mere saamne roya. isliye mainne teri binti suni hai.’ yahova ka yah ailan hai. 20  ‘isliye tere jeete-ji main is jagah par kehar nahin dhaaunga. tu shaanti se maut ki nind soyega* aur tujhe apni kabraa mein dafna diya jaayega.’”’” tab un aadmiyon ne jaakaar yah sandesh raja ko sunaya.

kai footnote

shaa., “apne purkhon mein jaa milega.”