doosra raja 23:1-37

  • yoshiyah ne desh mein sudhaar kiya (1-20)

  • fasah manaya gaya (21-23)

  • usne aur bhi sudhaar kiya (24-27)

  • yoshiyah ki maut (28-30)

  • yahooda ka raja yahoahaj (31-33)

  • yahooda ka raja yahoyakeem (34-37)

23  isliye raja ne aadesh diya aur unhonne yahooda aur yarooshalem ke sabhi mukhiyaon ko bulvaya.+  iske baad raja yoshiyah, yahooda ke sabhi aadmiyon ko, yaajkon aur bhavishyavaktaon ko aur yarooshalem ke chhote-bade sab logon ko lekar yahova ke bhavan mein gaya. fir usne sabko karar+ ki poori kitab+ padhkar sunayi jo yahova ke bhavan mein mili thi.+  raja khambhe ke paas khada hua aur usne yahova ke saamne yah karar kiya*+ ki hum sab yahova ke peechhe chaleinge aur poore dil aur poori jaan se uski aagyaon aur vidhiyon par chaleinge, jo hidaytein woh yaad dilata hai unhein maaneinge aur is kitab mein likhi karar ki baaton ka hamesha paalan kareinge. tab sab logon ne is karar ke mutabik kaam karne ki haami bhari.+  iske baad raja ne mahayajak hilkiyah+ aur doosre yaajkon aur darbanon ko hukm diya ki woh yahova ke mandir se woh saari cheezen baahar nikaale jo baal aur pooja-laath*+ aur aakash ki saari sena ke liye banayi gayi thi. fir usne woh saari cheezen yarooshalem ke baahar le jaakaar kidron ki dhalanon par jala di aur unki raakh betel+ le gaya.  usne paraye devtaon ke pujariyon ko hata diya jinhein yahooda ke raajaon ne yahooda ke shehron aur yarooshalem ke aas-paas ki unchi jagahon par balidan chadhane ke liye thehraya tha taaki unka dhuaan uthe. usne un logon ko bhi nikaal diya jo baal, soorya, chaand, raashi ke nakshatron aur aakash ki saari sena ke liye balidan chadhate the taaki unka dhuaan uthe.+  woh yahova ke bhavan se pooja-laath+ nikaalkar yarooshalem ke baahar kidron ghaati mein le gaya aur vahaan use jala diya.+ fir usne use choor-choor kar diya aur uski raakh aam logon ki kabraon par bikhra di.+  usne yahova ke bhavan mein un aadmiyon ke liye bane ghar bhi dhaa diye jo mandiron mein doosre aadmiyon ke saath sambhog karte the.+ un gharon mein aurtein pooja-laath ke liye tamboovale pooja-ghar bunkar banati thi.  fir woh yahooda ke shehron se sabhi yaajkon ko baahar le aaya aur usne geba+ se bersheba+ tak saari unchi jagahon ka aisa haal kar diya ki vahaan pooja na ki jaa sake. un jagahon par pujari balidan chadhaya karte the taaki unka dhuaan uthe. usne shehar ke mukhiya yahoshoo ke faatak ke paasvali woh sabhi unchi jagah bhi dhaa di jo shehar mein daakhil hone par baayin taraf padti thi.  jo yaajak unchi jagahon mein pujari ka kaam karte the unhein yarooshalem mein yahova ki vedi ke paas seva nahin karne diya gaya,+ magar unhein baaki yaajkon ke saath bin-khameer ki roti khaane diya gaya. 10  raja ne ‘hinnom ke vanshajon ki ghaati’*+ ke topet+ ka bhi aisa haal kiya ki vahaan pooja na ki jaa sake. usne aisa isliye kiya taaki topet mein koi apne bete ya beti ko molek ke liye aag mein hom na kar sake.+ 11  aur raja ne soorya ko arpit ghodon ko yahova ke bhavan mein le jaane par rok laga di. ye ghode, yahooda ke raajaon ne soorya ko arpit kiye the aur inhein darbaari natan-melek ke kamre* se hote huye bhavan mein le jaaya jaata tha, jo khambhonvale baramde ke paas tha. saath hi, raja ne soorya ki pooja mein istemal honevale saare rath jala diye.+ 12  raja ne woh saari vediyaan bhi dhaa di jo yahooda ke raajaon ne aahaj ke oopri kamre ki chhat+ par khadi karvayi thi. saath hi, woh vediyaan bhi nasht kar di jo manashshe ne yahova ke bhavan ke do aanganon mein khadi karvayi thi.+ usne un vediyon ko choor-choor kar diya aur unki dhool kidron ghaati mein bikhra di. 13  aur jo unchi jagah yarooshalem ke saamne aur tabahi pahad* ke dakshin* mein thi, unka bhi raja ne aisa haal kiya ki vahaan pooja na ki jaa sake. ye unchi jagah israel ke raja sulaiman ne seedoniyon ki ghinauni devi ashtoret ke liye, moab ke ghinaune devta kamosh ke liye aur ammoniyon ke ghinaune devta milkom+ ke liye banvayi thi. 14  raja yoshiyah ne pooja-stambh choor-choor kar diye, pooja-laathein kaat daalin+ aur unhein jin-jin jagahon par khada kiya gaya tha vahaan insanon ki haddiyaan bhar di. 15  usne betel ki vedi aur unchi jagah bhi dhaa di jinhein nabat ke bete yaarobam ne khada karke israel se paap karvaya tha.+ fir usne woh jagah aag se bhasm kar di, sabkuch choor-choor kar diya aur pooja-laath jala di.+ 16  jab yoshiyah ne mudkar pahad par kabrein dekhin to usne unmein se haddiyaan nikaalvayin aur unhein us vedi par jala diya taaki vahaan pooja na ki jaa sake. is tarah yahova ki woh baat poori hui jo usne apne sevak se ailan karvayi thi. sachche parmeshvar ke us sevak ne bhavishyavani ki thi ki ye saari ghatnayen hongi.+ 17  iske baad yoshiyah ne poochha, “yah kabraa kiski hai?” shehar ke aadmiyon ne use bataya, “yah kabraa sachche parmeshvar ke us sevak ki hai jo yahooda se aaya tha.+ aur toone betel ki vedi ke saath abhi jo kiya hai, uske baare mein usi ne bhavishyavani ki thi.” 18  tab raja ne kaha, “uski kabraa chhod do. uski haddiyon ko koi haath na lagaye.” isliye unhonne uski haddiyon ko kuch nahin kiya aur saamriya ke bhavishyavakta ki haddiyon ko bhi nahin chhua.+ 19  yoshiyah ne saamriya ke shehron ki unchi jagahon par bane sabhi pooja-gharon ko bhi mita diya.+ ye pooja-ghar banvakar israel ke raajaon ne parmeshvar ka krodh bhadkaya tha. yoshiyah ne inka bhi vahi haal kiya jo usne betel ke pooja-ghar ka kiya tha.+ 20  usne unchi jagahon par seva karnevale sabhi pujariyon ko vediyon par bali kar diya aur un vediyon par insanon ki haddiyaan jala di.+ iske baad woh yarooshalem laut gaya. 21  fir raja ne sab logon ko aagya di, “apne parmeshvar yahova ke liye fasah manao,+ jaise karar ki is kitab mein likha hai.”+ 22  yoshiyah ke dinon mein jis tarah ka fasah manaya gaya, vaisa israel ke nyayiyon ke zamane se ab tak nahin manaya gaya tha, na israel ke kisi raja ke dinon mein aur na hi yahooda ke kisi raja ke dinon mein.+ 23  yahova ke liye yah fasah yoshiyah ke raaj ke 18vein saal mein yarooshalem mein manaya gaya. 24  yoshiyah ne yahooda aur yarooshalem se un logon ko bhi nikaal diya jo mare huon se sampark karne ka daava karte the aur bhavishya batate the,+ saath hi usne kul devtaon ki moortein,+ ghinauni moortein* aur doosri saari ghinauni cheezen hata di. usne yah sab isliye kiya kyonki woh us kitab mein likhe kaanoon ka paalan karna chahta tha+ jo yaajak hilkiyah ko yahova ke bhavan mein mili thi.+ 25  yoshiyah ne jaise moosa ke poore kaanoon ka paalan karke yahova ke paas laut aane mein poori jaan, poora dil+ aur poori taakat laga di, vaise kisi aur raja ne nahin kiya. na usse pehale koi aisa raja hua tha aur na uske baad. 26  fir bhi yahooda par yahova ka krodh bhadka raha kyonki manashshe ne bahot-se dusht kaam karke use gussa dilaya tha.+ 27  yahova ne kaha, “main yahooda ko apni nazron se door kar doonga,+ theek jaise mainne israel ko door kar diya.+ main yarooshalem shehar ko thukra doonga jise mainne chuna tha aur us bhavan ko bhi thukra doonga jiske baare mein mainne kaha tha, ‘mera naam usse hamesha juda rahega.’”+ 28  yoshiyah ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai. 29  uske dinon mein misra ka raja firaun niko ashshoor ke raja ki madad karne farat nadi ki taraf nikala. tab raja yoshiyah, niko se yuddh karne gaya, magar jab niko ne use dekha to magiddo mein use maar daala.+ 30  yoshiyah ke sevak uski laash rath mein rakhkar magiddo se yarooshalem le aaye aur uski kabraa mein use dafna diya. fir yahooda ke logon ne yoshiyah ke bete yahoahaj ka abhishek kiya aur uske pita ki jagah use raja banaya.+ 31  yahoahaj+ jab raja bana tab woh 23 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar teen maheene raaj kiya. uski maa ka naam hamootal+ tha jo libna ke rehnevale yirmayah ki beti thi. 32  yahoahaj apne purkhon ki tarah aise kaam karne laga jo yahova ki nazar mein bure the.+ 33  firaun niko+ ne use hamat ke ilake ke ribla mein kaid kar diya+ taaki woh yarooshalem mein raaj na kar sake. fir niko ne yahooda desh par 100 tode* chaandi aur ek tode sone ka jurmana laga diya.+ 34  aur firaun niko ne yoshiyah ki jagah uske bete elyakeem ko raja bana diya aur uska naam badalkar yahoyakeem rakh diya. magar niko, yahoahaj ko misra le gaya+ jahaan baad mein uski maut ho gayi.+ 35  yahoyakeem ne firaun ko chaandi aur sone ka jurmana bhara, magar uski maang poori karne ke liye use desh ki zameen par kar lagana pada. yahoyakeem ne har aadmi ki zameen ki keemat ke hisab se sona-chaandi vasool kiya taaki firaun niko ko ada kar sake. 36  yahoyakeem+ jab raja bana tab woh 25 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par 11 saal raaj kiya.+ uski maa ka naam jabeeda tha jo rooma ke rehnevale padayah ki beti thi. 37  yahoyakeem apne purkhon ki tarah aise kaam karta raha+ jo yahova ki nazar mein bure the.+

kai footnote

ya “dobara karar kiya.”
shabdavli dekhein.
shabdavli mein “gehennaa” dekhein.
ya “bhojan ke kamre.”
yaani jaitoon pahad, khaaskar dakshini kona jise apradh ka pahad bhi kaha jaata hai.
shaa., “daayin taraf.” yaani jab koi poorab ki taraf munh karta hai to uske dakshin mein.
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.