doosra raja 24:1-20
24 yahoyakeem ke dinon mein baibilon ke raja nabookadnessar+ ne yarooshalem par hamla kiya aur yahoyakeem teen saal tak uske adheen raha. magar fir woh nabookadnessar ke khilaf utha aur usse bagavat karne laga.
2 tab yahova, yahoyakeem par hamla karne ke liye kasdiyon,+ moabiyon, ammoniyon aur seeriya ke logon ke lutere-dal bhejne laga. woh un sabko isliye bhejta raha taaki woh yahooda ko naash kar dein. is tarah yahova ki woh baat poori hui+ jo usne apne sevkon yaani bhavishyavaktaon se kehalvayi thi.
3 beshak yahooda par yah sankat yahova ke aadesh par hi aaya. parmeshvar ne yahooda ko apni nazron se door karne ke liye aisa kiya+ kyonki manashshe ne behisab paap kiye the+
4 aur maansoomon ke khoon se poore yarooshalem ko bhar diya tha.+ yahova ne yahooda ko maaf karna na chaha.+
5 yahoyakeem ki zindagi ki baaki kahani, uske sabhi kaamon ka byaura yahooda ke raajaon ke itihas ki kitab mein likha hai.+
6 fir yahoyakeem ki maut ho gayi*+ aur uski jagah uska beta yahoyakeen raja bana.
7 misra ke raja ne fir kabhi apni senaon ko kisi se yuddh karne nahin bheja, kyonki baibilon ke raja ne uska saara ilaka le liya tha+ jo misra ghaati*+ se lekar farat nadi tak faila tha.+
8 jab yahoyakeen+ raja bana tab woh 18 saal ka tha aur usne yarooshalem se yahooda par teen maheene raaj kiya.+ uski maa ka naam nahushta tha jo yarooshalem ke rehnevale elnatan ki beti thi.
9 yahoyakeen apne pita ki tarah yahova ki nazar mein bure kaam karta raha.
10 un dinon baibilon ke raja nabookadnessar ke sevkon ne aakaar yarooshalem par hamla kar diya aur shehar ko gher liya.+
11 jab nabookadnessar ke sevak shehar ko ghere huye the to us dauran woh shehar aaya.
12 yahooda ka raja yahoyakeen, apni maa aur apne sevkon, haakimon aur darbaariyon+ ke saath baibilon ke raja nabookadnessar ke saamne gaya+ aur nabookadnessar ne yahoyakeen ko bandi bana liya. yah ghatna nabookadnessar ke raaj ke aathvein saal mein hui thi.+
13 fir nabookadnessar ne vahaan yahova ke bhavan aur raajmahal ke khazane se saara dhan nikaal liya.+ usne sone ki un saari cheezon ke tukde-tukde kar diye jo israel ke raja sulaiman ne banvakar yahova ke mandir mein rakhi thi.+ yah bilkul vaise hi hua jaise yahova ne bhavishyavani ki thi.
14 nabookadnessar, poore yarooshalem ko yaani sabhi haakimon,+ veer yoddhaon, kaareegaron aur dhaatu-kaareegaron* ko bandi banakar le gaya+ jo kul milakar 10,000 the. desh ke sabse gareeb logon ko chhod woh sabko le gaya.+
15 is tarah woh yahoyakeen+ ko bandi banakar baibilon le gaya.+ saath hi, woh uski maa, uski patniyon, darbaariyon aur desh ke sabse khaas-khaas aadmiyon ko bhi bandi banakar yarooshalem se baibilon le gaya.
16 baibilon ka raja yarooshalem ke sabhi 7,000 yoddhaon aur 1,000 kaareegaron aur dhaatu-kaareegaron* ko bandi banakar baibilon le gaya. ye sabhi bade-bade soorma the jinhein yuddh ki taaleem di gayi thi.
17 baibilon ke raja ne yahoyakeen ki jagah uske chaacha mattanyah+ ko raja banaya. usne mattanyah ka naam badalkar sidkiyah+ rakh diya.
18 sidkiyah jab raja bana tab woh 21 saal ka tha aur usne yarooshalem mein rehkar 11 saal raaj kiya. uski maa ka naam hamootal tha jo libna ke rehnevale yirmayah ki beti thi.
19 sidkiyah, yahoyakeem ki tarah woh saare kaam karta raha jo yahova ki nazar mein bure the.+
20 yarooshalem aur yahooda ke saath ye buri ghatnayen isliye ghatin kyonki yahova ka krodh un par bhadka hua tha aur aakhir mein usne unhein apni nazron se door kar diya. sidkiyah ne baibilon ke raja se bagavat ki.+
kai footnote
^ shaa., “apne purkhon ke saath so gaya.”
^ ya shaayad, “suraksha-deevar bananevalon.”
^ ya shaayad, “suraksha-deevar bananevalon.”